Aur wor sharminda ho gi

(shagufta sarmast, taunsa sharif)

Imran Ke Ghar Ke Pas Aik Talab Tha Usay Batkhain Rakhnay Ka Bohat Shauq Tha.Us Ne Apney Walidain Se Kaha K Mujhe Batkhain La Dain Ta Ke Main Un Ko Talab Main Tairta Hua Daikh Sakon.Us Ke Walid Ne Usay Do Batkhain La Kar Deen.Aaj Woh Bohat Khush Tha Us Ne Aik Batakh Jo Bari Thi Us Ka Naam Munno Rakha Aur Jo Batakh Choti Thi Us Ka Naam Tanno Rakha.

Munno Ko Pani Main Khob Tairna Aata Tha Jab Ke Tanno Abhi Choti Thi Aur Usay Sahi Tarah Se Tairna Nahin Aata Tha.Munno Iss Baat Main Bara Fakhar Mehsos Karti Thi Aur Us Ne Tanno Ke Samne Tairna Shuroo Kar Dia.Us Ne Tanno Se Kaha Ke Maloom Nahin Tum Kab Tairna Seekho Gi.Tanno Ne Kaha Ke Woh Din Zaroor Aye Ga Jab Main Bhi Tairna Seekh Jaun Gi.

Munno Ne Zor Se Qahqaha Lagya Aur Kaha........Han Han Tum Seekh Jao Gi Magar Us Waqat Jab Iss Talab Ka Pani Khatam Ho Jay Ga.Munno Ne Phir Zor Se Qahqaha Lagya Aur Pani Main Tairtay Huey Bolney Lagi Han Han....Tum Tairna Seekh Jao Gi Ha..Ha..Ha.

Tanno Ki Aankh Main Aanso Aa Gay Woh Sochney Lagi Ke Maloom Nahin Jab Tak Main Seekhon Gi Talab Main Pani Ho Ga Ya Nahin.Udasi Ke Aalam Main Usay Neend Aa Gai.Us Ne Khawab Main Apni Maan Ko Daikha Aur Woh Apni Maan Ke Saath Issi Talab Main Tair Rahi Hai Aur Khushi Se Jhoom Rahi Hai-Uss Ki Aankh Khuli Ab Ussay Yaqin Ho Gaya Ke Woh Bohat Jald Tairna Seekh Jay Gi.

Kuch Arsa Ke Baad Uss Ne Mukamal Taur Par Tairna Seekh Lia Talab Main Aaj Bohat Pani Tha Munno Jaisay Hi Talab Ke Pas Ayi Us Ne Tanno Ko Tairtay Huey Daikha-Tanno Khushi Se Chahek Rahi Thi Lakin Uss Ke Lahjay Main Gharoor Nahin Tha-Uss Ne Munno Se Kaha Mana Keh Aap Bari Hain,Aap Ne Pehlay Tairna Seekh Lia-Main Abhi Choti Thi Lekin Har Cheez Ka Aik Waqt Hota Hai Jab Tak Badal Nahin Aatay Barish Bhi Nahin Aati Bilkul Aisay Hi Jaisay Meri Umar Tairney Ke Qabil Hui Mujhe Khud Ba Khud Tairna Aa Gaya-Hamain Apni Salahiton Par Gharor Nahin Karna Chahiay Aur Na Hi Iss Ka Istimal Kar Ke Dodron Ko Tang Jarna Chahiay Kion Ke Zindgi Main Munasib Waqat Har Aik Ke Liay Aata Hai Aur Uss Ka Intizar Karna Chahiay-

Manno Ne Apnay Se Choti Tanno Ki Batain Sunin Tu Sharminda Hui Aur Uss Ne Tanno Se Muaffi Mangi Aur Donon Hansanay Lagin.

shagufta sarmast
About the Author: shagufta sarmast Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.