Islam Or Aman E Alam
(fatima mahmood, karachi)
Islam Salm Say Mushateq Hai, Is
K Lughwi Mayenay Aman O Salamti, Sulah O Ashti Hifz O Aman Or Tasleem O Raza K
Hain, Ye Lafz Quran Kareem Or Ahadees Shareef Mai In Tamaam Mayenon K Liye
Istemal Hua Hai.. Allah Talah Ka Irshad Hai K
“Allah Talah Is K Zariye Un Tamaam Logon Ko Jo Us Ki Raza K Talabgar Hain
Salamti K Raston Ki Hedayat Atta Karta Hai.” (Surah Al-Maeda)
Islam K Jo Lughwi Mayenay Hain Us K Istelahi Mafhoom Mai Bhi Is Ka Asar Mojud
Hai, Chunacha Wo Apni Taleem Or Sadar E Awal Ki Tarekh Ki Majmowe Surat E Haal K
Etebar Say Ek Aese Mazhab Ki Tasweer Paish Karta Hai Jo Insan Ko Khud Bhi Aman O
Sukoon Say Rehny Ki Talqeen Karta Hai Or Dusro Ko Bhi Aman O Sukoon K Sath Rehny
Ki Taleem Deta Hai.. Yahi Nahi K Wo Mehez Hedayat Day Kar Kinara Kash Ho Jata
Hai Balky Apny Mannay Walon Say Ye Mutalba Bhi Karta Hai K Wo In Tamaam Ehkaam
Ki Mukamal Ita’at Karyn, Kyunky Wo Tasleem O Raza Ka Pekar Ban Kar Hi Ek Shakhs
Mukamal Tor Par Kehlaye Janay Ka Mustaheq Ho Sakta Hai.. Amli Tor Par Bhi Ek
Musalman Ko Ye Taleem Di Jati Hai K Wo Moashray Mai Aman O Salamti Ka Paighamber
Banay, Na K Tashadud,Na Insafi Or Zulm O Ziyadti Ka Safer, Chunacha Usay Hukom
Diya Gya Hai K Her Roz Tashahud K Andar Bar Bar In Alfaz Ki Takrar Kary “Asalam
O Alaik Aeha Ulnabi O Rehmatullah Wabarakatu, Asalam O Alaina O Ali Ibadullah Us
Saleheen”.. Yehi Nahi Balky Namaz Ka Ikhtetaam Hi In Alfaz Par Hota Hai “ Asalam
O Alaikum Warahmatullah”.. Ek Dusry Say Milnay K Waqt Salam Ki Hedayat, Is Par
Hasil Honay Walay Ajar O Sawab Ka Zikar, Salam Mai Pehel Karny Or Jawab Deny Ki
Fazeelat Say Pata Chalta Hai K Islam Aman O Salamti Ko Kis Qadar Ehmiat Deta Hai..
Jannat K Ek Darjay Ka Naam Hi Dar Usalam Hai, Jo Makhsoos O Mukareb Bandagan E
Khuda Ko Atta Kiya Jaye Ga.. Allah Talah Ka Irshad Hai K “Un K Rab K Pas Jannat
Mai Ek Ghar Hai Jis Ka Naam Dar Usalam Hai” (Surah Al-Inaam)
Is Mai Rehnay Walay Jab Ek Dusray Say Milayn Gayn To Sab Say Pehly Wo Salam Hi
Karyn Gayn Or Salam Hi Ki Dua Dayn Gayn.. Irshad E Khuda Wandi Hai “Jis Roz Wo
Allah Say Milayn Gayn Un Ka Salaam Hoga Asalam O Alaikum” (Surah Al-Ehzaab)
Eteqay E Ummat Ko Ye Besharat Di Gaye Hai K Jannat Mai In Ka Istaqbal Kalma E
Salam Say Kiya Jaye Ga Irshad E Bari Talah Hai “ Jin Ki Pakeeza Rohaynfarishtay
Qabz Kartayn Hain Un Say Ye Kehty Hain Tum Par Salamti Ho Tum Apnay Amaal Ki Ba
Dolat Jannat Mai Dakhil Ho Jao”(Surah Nahal)
In Hedayat Say Maloom Hota Hai K Musalman Wo Hain Jo Dusro K Liye Aman O Salamti
Ka Baes Hon Jis K Tarz E Amal Say Dusray Logon Ko Aman O Tamaniyat Ka Ehsaas Ho,
Chunacha Ek Hades Mai Hai K “Momin Wo Hai Jis Say Log Apni Jaan O Maal K
Mutalluk Aman Main Hon”(Jama Tirmizi )
Ek Mokah Par Aap Sallalaho Alaihi Wassalam Nay Irshad Farmaya “Allah Ki Kasam Wo
Shakhs Musalman Nahi Ho Sakta, Khuda Ki Kasam Wo Shakhs Sahib E Imaan Nahi Ho
Sakta, Arz Kiya Gya Aap Sallalaho Alaihi Wassalam! Wo Shakhs Kon Hai Farmaya Jis
Ka Parosi Us Ki Aeza Say Mehfoz Nahi”( Sahih Bukhari)