Mohabbat K Maienay Kashish K 
Hain. Ya Wo Jazba Ha Jo Banda Ko Khuda Sa Mila Deta Hai. Lakin Logon Na Ek 
Mashgala Bana Liya, Ya Mohabbat Ka Dawa To Kartain Hain Lakin Ya Nahin Janta 
Mohabbat Jesi Pakiza Shay Kya Hai? Haqiqi Mohabbat Us Waqt Milti Ha Jab Hum Kisi 
K Zaati Dukh Ko Apna Dukh Samjhain, Is Ki Izaat Ko Apni Izat Samjhain, Jab Hum 
Ko Kisi Zaat Sa Haqiqi Mohabbat Ho Jati To Hum Ya Mahsoos Karna Lagtain Hain. 
Magar Logon Ka Koi Ek Mehboob Ho To! Wo Kisi Sa Bhi Wafa Nahin Karta Unhoon Na 
Sirf Dill Thorna Seekha Ha Kisi K Jazbat Se Khal Kar Khushi Mehsoos Karna Lakin 
Ya Bhoul Jatain Hain Kal Agar Kisi Dosri Zaat Ne In Ko Thais Pauhchai To In Ka 
Kya Hal Hoga. Mohabbat Kya Ha Kya Mohabbat Dosti Ha. Mohabbat Dosti Kasay Ho 
Sakti Ha Agar Mohabbat Dosti Ki Jaga Lay Lay To Phir Dosti Ka Liya Jaga Nahin 
Rahti. Mohabbat Ba Ikhtiyar Hoti Ha. Ya Ek Aisa Dariya Ha Jis Main Insaan Doobta 
Hi Jata Ha Wo Is Dariya Main Kud To Jata Ha Aur Aisa Bhanwar Main Phains Jat Ha 
Jis Se Nikalna Bohut Mushkil Hai.
Mohabbat Ek Pakeeza Jazba Hai. Mohabbat Main Her Wo Insaan Kamyab Ha Jo Dil Se 
Mohabbat Karta Ha Mohabbat Ek Assa Tailaab Ha K Agar Barish Roth Bhi Jai To Pani 
Kam Nahin Hota Is Dariya Per Her Pyassa A Kar Apni Pyass Bujhata Ha. Mohabbat Do 
Tarhan Ki Hoti Ha: Dini Or Dunyavi. Dini Mohabbat Jo Aap Apne Mazhab Se Kartain 
Hain Apna Rab Se Kartain Hein. Or Duniyavi Mohabbat Jo Aap Apni Maa, Baap, Behan, 
Bhai, Rishta Daro Sa Kartain Hain Ya Kisi Farzi Rishta Se Jis Ki Taraf Aap Ka 
Dil Keenchay Jis Ko Dekh Kar Aap Ko Lage K Han Ye Aap Ki Mohabbat K Laik Ha. 
Kisi Ne Such Hi Kaha Ha K Mohabbat Andhi Hoti Ha Mohabbat Karne Wala Zat Pat Ko 
Nahin Dekhta. Ye To Bas Ho Jati Jase Heer Ne Ranjha Se, Shereen Na Farhad Se, 
Sasaasi Ne Punu Se, Laila Ne Majnu Se Ki, Aksar Logon Ka Kehna Ha Mohabbat Dard 
Dati Ha Ya Dard Sirf Us Ko Milta Ha Jo Is Ko Thukrata Ha. Mohabbat Ek Phool Ki 
Manind Hoti He Jahan Khil Jai Apni Khushbo Se Sare Gulshan Ko Mahaka Dati Ha. 
Mohabbat Sansoo K Tasulsul Ki Paband Nahin Hoti, Ye Marna Waloon K Sath Mar 
Nahin Jati Mohabbat Hamasha Zinda Rahti He. Mohabbat Ka Talauq Ek Dil Se Dosra 
Dil Tak Ka Hota Ha. Mohabbat Ko Mahsoos Kiya Ja Sakta Ha. Mohabbat Maangi Nahin 
Jati Maang Kar Hasil Ki Hoi Mohabbat Khairat Ki Tarhan Ha. Mohabbat Eik Attot 
Bandhan Ka Naam Ha. Ye Jis Ko Hasil Hoti Ha Wo Apne Aap Ko Duniya Ka Kush Naseeb 
Admi Tasavur Karne Lagta Ha. 
“Apna Dilon Se Mohabbat Ka Hal Pucho Q K Dil Aisa Gawah Ha Jo Kisi Se Rishwat 
Nahin Leta.” Mohabbat Azad Ha Is Ko Qaaid Main Nahin Rakha Ja Sakta Matlab Agar 
Main Kisi Se Mohabbat Karta Hon To Us Ko Bhi Is Baat Ka Maloom Hona Chahiya Yak 
Tarfa Mohabbat Dil Main Hi Rah Jati Ha. Is Ko Bayan Kar Dena Chahiya. Dil Main 
Basi Hoi Mohabbat Adhori Mohabbat Kehlati Ha. Or Adhori Mohabbat Kabhi Pori 
Nahin Hoti. Mohabbat Ki Nahin Jati Ya To Ho Jati He Kuch Logon Ko Shadi Se Pahla 
Or Kuch Ko Shadi K Bad Lakin Love Marriage Se Arrange Marriage Bahtar Ha. Love 
Marriage Main Doorian Barh Jati Hain Mohabbat Waqt Ka Sath Khatam Ho Jati Ha. Is 
Tarhan Hum Apni Sari Mohabbat Pahlay Hi Bayaan Kar Datain Hain Wo Sare Ahsasaat 
Sare Khawab Sari Arzooain Sab Kuch Is Liya K Hum Eik Doosra Ko Pehlay Hi Jantay 
Thay. Or Jab Miltay Hain Dono K Darmiyan Ka Faasla Barh Jata Hai. Jabk Arrange 
Marriage Main Dono Eik Dosra Se Na Waqif Hotain Hain Eik Dosra K Liya Anjaan 
Hotain Hain Pehli Dafa Ek Dosra Ko Dekhtain Hain Dono K Darmiyan Ek Sharam Hoti 
Ha Lamha Ba Lamha Wo Dono Ek Dosra Ko Jantain Hain Eik Dosra Se Mohabbat Kartain 
Hain Or Ya Mohabbat Agay Chal Kar Or Bhi Ziada Barh Jati Ha. Mohabbat K Kai Naam 
Hain. Pyar, Ishq, Aur Mohabbat, Isi Tarhan Apni Mohabbat Ka Izhar Karna K Lia 
Mohabbat Ka Din Manaya Jata Ha Jis Ko ,Valentine Day Kaha Jata Ha Is Din Aap Jis 
Ko Chahtain Hain Us Se Apni Mohabbat Ka Izhar Kar Saktain Hain Valentine Day Ka 
Matlab Ya Nahin Ha Ka Sirf Eik Larka Larki Ek Dosra Ko Wish Karain Balka Aap Jis 
Ko Chahain Kah Saktain Hain. Mara Peghaam Ha Mohabbat Jahan Tak Phaunchay.