Tanhai! Yani Tanha Inassan. 
Tanhai Koi Bazaar Main Biknay Wali Cheez Nahi K Bazaar Gaye Or Kharid Li. Tanhai 
Insaan Khud Takhliq Karta Ha,Or Is Ki Wajah Is Ka Apna Akela Pan. Jis Ki Khas 
Shakal Tanhai Ha. Tanhai Do Tarhan Ki Hoti Ha. Khud Kar Or Mohabbat Ka Thukraya 
Howa. Khud Kar Insane Wo Ha Jis Ka Daromadar Sirf Apni Zaat Tak Rehta Ha Yani 
Agar Us K Pas Daolat Ha To Wo Apna Aap Ko Duniya Ka Khush Nasib Insaan Samajhta 
Ha K Wo Duniya Ki Her Nemat Kharid Sakta Ha Or Her Cheez Hasil Kar Sakta Ha. 
Lakin Apni Tanhai K Sathi Nahi Dhoondh Sakta. Balkay Waqt Us Ko Ye Moqa Deta Ha 
Ka K Wo Apni Tanhai Ka Sathi Dhoondh Sakay Lakin Us Waqt Us Per Apna Ghumand 
Sawar Rehta Ha. Main Her Cheez Kharid Sakta Hoon Main Jahan Chahon Ja Sakta Hoon. 
Lakin Ya Sab Cheezain Us Ko Us Waqt Nazar Nahi Aati Or Phir Jab Waqt Apni Rafter 
Pakarta Ha To Us Ko Is Baat Ka Ahsas Hota He Jo Us Ne Kiya Wo Ghalat Tha Or Wo 
Ya Sochta Rehta Ha K Us Ki Zindagi Main Kuch Kami Si Ha K Koi To Ho Jo Us K Liya 
Socha Jis Ko Us Ka Intizar Ho Magar Tab Tak Bhaut Dair Ho Chuki Hoti Ha. Kahtain 
Hain K, Dariya Ka Guzra Howa Pani, Hawa Ka Guzra Howa Jhonka, Or Zaban Se Nikli 
Hoi Baat Wapis Nahi Aati Bilkul Isi Tarhan Guzra Howa Waqt Bhi Wapis Nahi Aata 
Or Insaan K Pas Sirf Pashtaway K Kuch Nahi Rehta Or Phir Aakhir Kar Insaan Tanha 
Reh Jata Ha. Or Wo Tanhai K Aadi Ho Jata Ha Us Ko Shorro Ghul Bilkul Pasand Nahi 
Aata Logon Se Milnay Sa Kinara Karna Ya Sab Alamaat Us Main Pada Hona Shuru 
Hojati Hain. Or Umar Ka Hisa Aisa Aata Ha Jab Saaya Bhi Us Ka Sath Choor Jata Ha 
Or Us Ka Dhan Dolat Us K Kisi Kaam Nahi Aata Or Or Wo Khalli Hath Le Kar Reh 
Jata Ha Jis Ko Ko Tanhai Kaha Jata Ha.
Mohabbat Ka Thukraya Howa: Dosra Wo Insaan Ha Jis Ko Mohabbat Mili Ho Or Us Ne 
Us Ki Qadar Na Ki Ho. Mohabbat Zaat Paat Ko Nahi Dekhti Ye To Sirf Pakiza Dil 
Talash Karti Ha K Us Main Janam La Suchi Mohabbat Bhaut Kaam Logon Ko Nasib Hoti 
Ha Lakin Mohabbat Sirf Us K Haath Ati Ha Jo Is Ki Qadar Karta Ha Jab Mohabbat 
Insaan Sa Munh Morti Ha To Insaan Us Sehra Ki Manind Ho Jata Jo Kabhi Sarab Nahi 
Ho Sakti Or Phir Aakhir Main Us Ka Hath Main Reh Jati Ha To Sirf Tanhai.