Ehsas
(Taskeen Fatma, New Delhi)
Ehsas,Mohabbat,Khayal,Inayat,Zikr,Latafat,Noor,Ebadat Jab Yakja Hue To Takmeel
Hui Iss Duniya Ki.Din Ke Ujalon Mein Agar Ek Chamakti Raushni Ka Nazara Hai To
Raat Ka Daaman Mein Bhi Chand Aur Taron Ki Saughat Chupi Hai.Har Pal,Har Lamhe
Mein Bhi Ek Suroor Hai,Khubsoorati Hai,Dil Ka Sokun Aur Insaniyat Ki Takmeel
Nehan Hai.Zaroorat Hai Apni Soch Aur Dil Ki Nooraniyat Ko Ujagar Karne Ki.Phir
Dekhiye Yeh Zindagi Ketni Khubsoorat Lagti Hai Ankhon Ko Aur Dilon Ko.Guzarta
Hua Har Pal Besh-Baha Aur Qeemti Cheezon Ko Samoye Hue Hae Apne Daaman Mein.Rok
Lete Hain Inn Lamhon Ko,Kya Pata Ye Phir Laut Kar Aayen Ya Na Aayen.