Sleem Akkas
(Faizan Shahzad, Karachi)
Guzishta Dino Mujhe Shair
Saleem Akkas Ki Kitab 'Akas E Sukhan' Parhne Ka Itefaq Hoa.Ye In Ka Dosra Sheri
Majmoa Hai Jo K Hal Hi Main Shaya Hoa Hai.Is Say Qabal Sleem Akkas Sahab Ka
Pehla Majmoa 'Juram E Agahi'1996 Main Manzar E Am Par Aya Tha Jis K Bad Main 3
0r Adetion Musanif Ko Shaya Karne Pare The. Sleem Akkas Sahab Ki Shairi Awami
Umango Par Mubani Hai.Or In Ki Dono Kitabo K Mutale Say Ap Ko Ye Andaza Ho Jaye
Ga K In K Shairi Mhez Shairi Nhi Blke Awam Ki Janib Say Apne Masail Hal Na Hone
K Khelaf F I R Hai. In Ka Ek Sher Mulahiza Farmayen.
Ek Begunha Police Ki Hirasat Main Tha Magar
Logo Say Ye Suna K Wo Tashadud Say Mar Gya
Dulhan K Surkh Mehndi Rache Hath Dekh Kar
Kese Yaqeen Aye K Shohar Is Ka Mar Gya
In K Degar Ashar Say Bhi Main Ap Ko Apne Degar Colam Main Roshnas Krata Rahonga.
Ap In Ki Is Kitab Ka Mutala Krean. Mojoda Dor Main Adab Ko Roba Zawal Hone Say
Bachane K Lye Sleem Akas Sahab Ki Kawaishon Ko Hargiz Nazar Andaz Nahi Kya
Jaskta Hai. In Ki Shairi Sachai Par Mubni Hai. Main Dua Go Hon K Is Ka Ye Majmoa
Ahel Adab Main Apni Bhar Poor Tawja Hasil Karne Main Kamyab Ho Jaye Ga.