Insan
(Shumaiya Amber Gill, Karachi)
Insan Ki Fitrat Me Agar Gour
Kiya Jaye To Ek Bechaini Si He Ek Ajeeb Sa Aztaraab He,Wo Kabi Kisi Haal Me
Pursukoon Nahi Reh Sakta,Uska Dil Yeh Nahi Manta K Jo Uske Paas He Wo Bohat He
Kafi He,Wo Humesha Zyda Paane Ki Jad O Jehd Krta Rehta He.Ek Hawas He Jo Bhar
Nahi Paati,Ek Dar He Jo Khatam Nahi Hota,Ek Shak He Jo Kabhi Door Nahi Jata.Usko
Hawas Hoti He K Sab Krlun Sab Paalun Jbke Sb Kch Na Hota He Insaan Se Aur Na Wo
Sab Kuch Paa Skta He Aur Dar K Kuch Reh Na Jaye Koi Agey Na Nikal Jaye Koi Apna
Kahin Piche Na Choot Na Jaye,Shak Hota He Apne Aap Par K Mujme Kuch Kami He Jbke
Parwardigaar Ne Apko Mukamal Bnaya He Aur Yeh Sab Insan Ki Adat Nahi He Jisko
Badlna Koi Zyda Mushkil Ho Yeh Fitrat He Uski.Aur Adaten Badlna Asaan He Kisi
Had Tk Pr Fitrat Badlna Bht Mushkil He.
Acha Ek Baat,Humari Aksariat Ka Manna He K Fitrat Jo Insaan Lekr Peda Hota He Wo
Mrte Dum Tk Rehti He Par Agar Ap Kuch Dair K Lye Meri Is Upar Wale Paragraph Ki
Last Line Ko Dekho To Mene Likha He K"Adaten Badlna Asaan He Kisi Had Tk Pr
Fitrat Badlna Bht Mushkil He".Mene Yahan Pe Bht Mushkil Ka Lafz Istemaal Kiya He
Aur Dekhiye Maana K Ek Chez Krne Me Bht Mushkil He Pr For Once Just Look At It
Wo Namumkin To Nahi He Naa..............To Phir Kyun Hum Koshish Nahi Krte Apne
Is Dar Ko Mitane Ki Is Shak Ko Door Krne Ki Is Hawas Ko Khatm Krne Ki Jise Hmne
Fitrat Bana Rkha He Hum Inhen Badl Skte Hn Apni Manshah Se Apne K Ek Pukhta
Irade Se Aur Ek Atal Koshish Se K Haan Hmne Is Dar Ko Is Hawas Ko Is Shak Ko
Apni Zindagi Se Nikalna He Qk Ek Behtar Insan Wohi He Jo Apni Fitrat Me Se In
Khamiyon Ko Nikaal Skta He Mere Likhne Ka Maqsad Tanqeed Krna Ni He Qk Me Khud
Ap Jesi Ek Normal Human Being Hun Aur Chahti Hun K Agr Meri Soch Kisi Ki Life Me
Positive Change La Skti He To Kyun Na Isko Share Krun.
Me Bht Bari Bari Baaten To Ni Krskti But Yeh Ek Chota Sa Msg He Jo Agr Apko Sahi
Lage To Ap Plz Is Badlao Ko Apni Life Me Laiyega.
Apko Kuch B Mistake Lgti He Is Thought Me Jo Mene Apse Share Ki To Ap Mujse Keh
Sakte Hen.
Thank You!