Zara Sochye......! Kiya Zindagi 
Ka Yehi Maqsad Hai? Khany K Liye Intezar Karna Achay Say Acha Khana Banana  
Pehanny K Liye Achay Kapray Ho Rehnay K Liye Acha Ghar Ho Parhnay K Liye Acha 
School,College,University Ho Computer K Sath Internet Connection Bhi Ho Ghomny K 
Liye Achi Car Ho Khobsurat Mobile Ho Har Wo Chiz Hamay Hasil Ho Jo Hamay Pasand 
Ho Wo Hamaray Pas Ho........Zara In Sub Bato Ko Ghor Say Sochye....Kiya Hum Is 
Liye Peda Howey Hain.
Nahi Nahi.....Ye Dunyawi Zindagi Tu Ek Dhoka Hai,Yanhan Tu Hum Apny Piyaray 
ALLAH PAK Ki Ebadat K Liye Aye Hain.Us K Piyaray Habib RASOOL-E-KAREEM(S.A.W) Ki 
Batai Howi Zindagi K Tareqay Say Zindagi Guzarnay K Liye Aye Hain. QURAN Ki 
Talimat Par Amal Karny Aye Hai. Lekin Aj Kanhan In Bato Ko Sochany Ka Waqat Hai, 
Hamaray Pas.Kash....Hum Apny Maqsad-E-Hayat Ko Jan Le, Tu Marny K Bad Hamay 
Ruswai  Ka Samna Na Karna Paray.
Ye Dunya Ek Kamra-E-Imtehan Hai, Jis Ka Result Hamay Marny K Bad Akhrat Ma Milay 
Ga. Aj Hamary Papar Ho Rahay Ho Tu....Hum Kitni Mehnat Karty Hain, K Ye Bhi Yad 
Kar Le Wo Bhi Yad Kar Le, Na Jany Kiya Pouch Liya Jay. Lekin Jo Asal Imtehan 
Hai,Us Ki Hamay Bilkul Bhi Parwha Nahi Hai Kitny Afsos Ki Bat Hai....Lekin Yad 
Rakhye K......Mar Jany K Bad Is Ghalti Ka Azala Hum Kar Hi Nahi Sakty. Na Phir 
Bad Ka Afsos Kam Aye Ga Abhi Jism Main Sansay Mojood Hain.Abhi Say 
Maqsad-E-Hayat Ko Pehchan Lo Or Akhrat Ki Tayari Kar Lo. INSHA ALLAH Hamay 
Hamaray Piyaray ALLAH Pak Betreen Badla JANNAT Ki Sorat Main Ata Karin Gain. 
Mout K Bad Amal Nahi Ho Ga Is Liye Abhi Waqat Hai Zindagi Ko ISLAMI Tarz Say 
Basar Kijeye Ye Na Ho Bad Ma Pactana Paray. ALLAH PAK Hum Sub Ko Nekiyan Karny 
Ki Tufiq Ata Farmay.Or Gunaho Bhari Zindagi Guzarny Say Bachaye. (Ameen)