Tanhai (Loneliness).
(Mohammad Fahad Rizwan, Sukkur)
Tanhai Ko Mainey Bohat Kuch
Paya Hai Tanhai Aik Lafz Nahi Aik Soch Aik Ahsas Hai Tanhai Ki Shiddat Ya Ahsas
Ka Andaza Is Sey Paida Honey Wali Situation Se Laga Saktey Hain Key Kabhi To
Tanhai Zehen Main Peda Honey Waley Fitoor Ka Sabab Banti Hai To Kabhi Kisi Ki
Khudkushi Sey Is Baat Ka Andaza Lagaya Ja Sakta Hai Key Tanhai Kya Hai?Tanhai
Kya Hai Is Ka Jawab To Shayad Hi Koi Batey Sakey Kyun Key Sab Key Liye Tanhai Ka
Apna Matlab Hota Hai Magar Tanhai Wo Hai Jo Do Hazar Logon Key Majmey Main Bhi
Insaan To Akela Mehsoos Karati Hai.Koi Tanhai Mein Aik Lutf Mehsoos Karta Hai Or
Koi Chirta Hai Lekin Tanhai Mein Aik Nasha Sa Hota Hai Ye Insaan Ko Ya To Bilkul
Hi Nalayak Ya Bilkul Hi Laiq Banadeti Hai Kisi Ko Apney Ap Key Barey Mein
Mehsoos Karati Hai Or Sochne Ka Moqa Deti Hai Key Mein Kiya Hun Jab Insane
Tanhai Mein Is Dunya Key Barey Mein Gour Karta Hai To Wo Newton,Einstein Ya
Shakspeere Banta Hai Jab Insan Tanhai Mein Apne Rab Ke Bare Ya Key Apney Is
Dumya Mein Aney Ki Waja Ya Apney Wajood Ke Barey Mein Sochta Hai To Usey
Haqeeqat Ka Pata Chalta Hai Agar Insane Tanhai Mein Galat Sochta Hai To Shayad
Tanhai Hi Mein Usey Us Ka Jawab Bhi Milta Hai Tanhai Hikmat Deti Hai Tanhai Hi
Sey Apney Tajurbat Ko Eik Simt Milti Hai Aur Tanhai Hi Sey Tajurba Eik Aqalmand
Soch Banatey Hain. Tajurba Khud Kuch Nahi Hai.
Tanhai Hi Khud Ko Theek Karney Ka Jazba Deti Hai (Apni Galtiyan Theek Karney Ki)
Tanhai Hi Hosh Dilati Hai.Par Khud Ko Apni Hi Qahiri Nazar Aye To
Khud Hi Ko Jab Nazar Aati Hai Qahiri Apni
Wohi Maqam Hai Kehtey Hain Jis Ko Sultani.
Dr. Allama Iqbal