Kab Tak......
(Imtiaz Rajar, Hyderabad)
                9 Nov Ka Din Hamesha Ki Tarha 
Bhi Eik Udaas Qoum Ka Pegham Sun Kar Apne Ikhtataam Per Pouncha.....Iss Saal Bhi 
Logoon Key Zubannon Per Wohi Shikayat Thy Jo Last 60 Saal Se Thy......Is Saal 
Bhi "Iqbal Day" Bhare Doom Dhaam Se Manaya Gya ..Tv Pe Iqbal Ki Poetry Pe Shows 
Kae Gae,Cities Mei Mahfalei Hue Lekin Koi Aesa Nojawan Na Tha Jis Ne Iqbaal Ko 
Peghaam Ko Aaga Lane Ka Iraada Kiya Ho.........Koi Aesa Na Tha Jise Iqbal Key 
Kirdaar Ne Mutasir Kiya Ho Aur Wo Use Research Karne Key Liye Aage Barha 
Ho............................Aaakhir Kab Tak Hamare Horeos Ko Aesy Izzat Dete 
Rahe Key Naam To Bare Izzat Se Le Par Parhne Ya Tahqeeq Key Liye Koi Tyar Na 
Ho.............Yeh Kesi Izzat Hai......................Iss Se Acha Iqbal India 
Mei Hota Jaha Ghalib Ki Tahqeeq Ki Jati Hai Jiss Ne Tamaan Poetry Urdu Mei Ki 
Thi.........