Urdu Aur Hum

(farah ejaz, dearborn,mi USA)

Ji Haan Urdu Ki Tangain Tor Nay Or Alfaaz Ki Haira Phairi May Hum Phd Ker Chukay Hain....Baaz Dafa Hummaray Miyan Ji Bhi Fermanay Lugtay Hain ...Farah Bibi Bus Karo Or Is Zuban Bechari Per Rahum Karo.....Or Hum Kehtay Hain....Nahin Kersaktay Bholay Miyan ...Yai To Hummara Khomi Fareezay May Shamil Hay....Angraizi Style May Mun Terato Nahin Kertay Na...Jahan Jaatay Hain Apni Zuban Ko Jila Hi Bukhsh Nay Ki Koshish Ker Tay Hain.......Chahay Log Hip Hon Ya Apni Khomi Zaban Say Nalan....Hum Shuroo Ho Jatay Hain...Baath Angraizi May Horahi Ho Hum Discussion Urdu May Lay Atay Hain....Chahay Imla Ki Ghultiyon Say Hi Bharpoor Ho Lakin Baath Urdu May Kernay Ki Koshish Ker Tay Hain......Ab Ammi Say Lughath Bhi Manga Nay Ki Koshish Ker Rahay Hain.......Daikhain Ammi Kiya Jawab Daiti Hain.........Urdu Novels Parh Tay Hain Pehla Safah Or Akheer Ka Safah Or Puri Kahani Samujh Ajati Hay...Mehnath Kaun Karay Poora Novel Parhnay May...Novel Say Yaad Aya Kuch Likhnay Ki Jasarath Kertay Rehtay Hain Per..Itnay Kamyaab Nahin Huay Or Sonch Bhi Thori Tairi Hay ...Is Liyai Shaid Tanqeed Kay Bhi Khabil Aaj Tuk Urdu Adab May Sumjhay Nahin Jatay .....Urdu Wo Wahid Zaban Hay Jo Hummay Bohoth Piyari Hay...Lakin Janab Ab Kiya Kijiyai Jub Amma Yani Ammi Ka Taluq Hayderabad Duccan Say Ho To Zahir Hay Lehjay May Khataiyee Bhi Shamil Ho Ker Alfaz Khutti Daal Or Karhaiyee Chiken Ka Marghooba To Bun Jaingay Na...Lakin Khusoor Kis Ka Hay Janab......Khair Hummara To Nahin....Baherhaal Hum To Sirf Taang Tortay Hain....Logon Nay To Urdu Bechari Ka Jo Haal Kiya Hay...Wo Daikhnay Say Nahin Mehsoos Ker Kay Matam Ki Inteha Per Pohncha Daita Hay........Hummari Aik Cousin Hain Allah Bhala Keray ....Mosoofa Aik Saal Chand Mahinay America Reh Ker Wapis Loteen Thin Lakin Lehja Or Chaal Dono Hi Badal Gai Thay.....Mun Tera Kerkay Jub Angraizi Lehjay May Urdu Bolteen Thin To Aisa Lugta Tha Kay Luqwa Ho Gaya Hay Mohterma Ko.....Phir Hum Sub Pakistani Unhain Keeray Makoray Mehsoos Hona Shuru Hogai......Or Khud Wo Khud Ko America Ka Janasheen Samajhnay Lagin.........Khair Choriyai Baath Horahi Thi Urdu Ki....Or Humari To Janab...Hum To Koshish Ker Rahay Hain Urdu Ko Mazeed Seekhnay Ki ....Lakin Lugta Hay Itna Assan Kaam Nahin Hay....Phir Bhi Jehday Musalsil Kamiyabi Ki Nishani Hoti Hay Aaj Nahin To Kal:D ........Hum Bhi Surkhuroo Ho Hi Jaingay Aik Na Aik Din (Y) ......Agar Achi Musannifa Nahin To Achay Urdu Daan Hi Sahi.....Baath Yahi Per Qatum Kertay Hain Ab Neend Bhi Zoron Ki Arahi Hay....Is Liayai Fiamannillah:)

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 230375 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More