Thori Madad Ki Zarorat Hai

(Sayyeda Aariba, Latur)

'Tu Jane Na' Jaise He Train Chal Pare Gane Ki Makhsus Avaz Par Chonk Kar Mutvajja Hue 9-10sal Ka Larka Bare Sureli Avaz Me Ga Raha Tha Dance Bhi Kar Raha Tha Saaf Suthre Kapre Saleqe Se Bane Bal Sliper Pahne Vo Bollywood Ke Mukhtalef Filmy Hero Ki Naql Utar Raha Tha Mazhiya Latife Aise Bole K Sab Ka Hans K Bura Hal Hogya Sabhe Musafer Na Chahte Hue Bhe Use Dekh Rahe The Or Apne Din Bhar Ki Tention Thkan Se Ek Dam Free Ho Kar Lutf Le Rahe The Jaise He Agla Stop Aya Larke Ne Hath Phalae Mere Tarha Vaha Par Baithe Bahot Sare Musafer Hairan Ho Gaye Is Leye Nahi K Hame Paise Dene The Balke Is Liye K Vo Kisi Bhi Tarha Kamao Nahi Lag Raha Tha Sab Ne Kushi Se Us K Mehnat Ki Ujrat Di Us Larke Ka Naam Shakeel Hai Rozana Subha Nikle Isi Tarha Har Train K Mukhtalif Dabbo Mai Charh K Apne Hunar Se Kamae Karta Hai Musafer Khush Ho Kar Bahot Kuch De Datay Hain Shakeel Ko Parhne Ka Shoq Hai Magar Halat Se Majboor Vo Apne Khawahish Puri Nahi Kar Sakta Maa Sabze Baichti Hai Bap Thaile Par Baitha Hai Do Waqt Ki Roti Kliye Shakeel Ne Bhi Apne Maa Bap Ki Madad Karne Ki Thani Or Kam Karna Shru Kiya. Bano 9 Sal Ki Khush Shakal Larki Hai Vo School K Samne Ice Cream Baichti Hai Use Bhi School Jana Kitabe Parhna Acha Lagta Hai Magar Halat Ne Us K Nazuk Kandhu Par Do Waqt Ki Roti Ka Bojh Rakh Diya Maa Gharo K Bartan Dhone Ka Kam Karti Hai Bap Jo Kam Mile Kar Leta Hai Bano Rozana Hasrat Bhari Nazro Se Dosri Larkeyo Ko School Jate Parhte Dakti Hai Din Bhar Gali Gali Ghom Kar Ice Cream Baichti Hai Or Apne Maa Bap Ka Hath Batati Hai Hamare As Pas Aise Kai Bache Hain Jo Parhna Chahte Hain Kiya Ham In Ki Koi Madad Nahi Kar Sakte?

Sayyeda Aribaa
About the Author: Sayyeda Aribaa Read More Articles by Sayyeda Aribaa: 17 Articles with 24534 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.