Muhar (Locked)

(Imtiaz Rajar, Hyderabad)

Hum Eik Musliman Koam Hain, Aaj Kal Jo Kuch Dunia Mei Ho Raha Hay Un Pe Bhi Hum Gahri Nazar Rakhte Hain Aur Har Baat Per Comments Aur Discussion Bhi Karte Hain....Jab Hum Aaj Ki Dunya Ya Dor Ki Baat Kehte Hain To Hum Mei Se Aksar Log Yeh Kahte Hai n''Kesa Doar Aagya Hai ,Qayaamat Ab Door Nahei".....Hum Logo Ko Pata Hota Hai Kya Ghalat Hai Kya Sahei Hai.....Jaese Mujhe Pata Hai Drink Karna Ghalat Hai Lekin Iss Key Bar Aks Mei Woh Chhez Karta Hun ......Q Key Mei Issey Bura Sirf Logon K Saamne Samjhta Hun .....Hum Choori Bhi Karte Hain ,Qatal Bhi Karte Hain, Jhoot Bhi Bolte Hein.....Yeh Pata Hone Key Baad Bhi Key Inhe Hamare Mazhab Mei Ghalat Karar Diya Gya Hai....Sawal Uthta Hai Key Jab Hamein Sab Kuch Pata Hai To Hum Such Ki Tarf Raaghib Q Nhei Hotey .....Q Hum Anjan Bane Hain......Is Ka Jawab Quran Ki Eik Aayat Mei Hai Jiss Ka Mafhoom Ya Tashreeh Hai Key Hum Nei Un Key Dilooon Per Muhar (Lock) Laga Di Jise Wo Na Dekh Sakte Hain Na Sun Sakte Hain.....Har Cheez Un K Saamne Ho Rahi Hogi Lekin Wo Andhey Aur Goonghey Ban Gae Ho Gae Honge................Hamari Haalat Bhi Iss Waqt Aesi Hai Humei Sab Kuch Pata Hai ....Qudraten Aaften (Zilzaley)Bhi Aate Hain Lekin Humain Kuch Ahsas Nahi Hota Aur Hum Apni Zindagi Mei Masroof Hote Hain...............................Zara Sochei

Imtiaz Rajar
About the Author: Imtiaz Rajar Read More Articles by Imtiaz Rajar: 40 Articles with 53578 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.