Yun Tw Qudrat K Banae Hue 4
Mausam Hain; Sardi, Garmi, Khizan, Bahar, Jo Har Saal Ek Muqarara Waqt Pe Ek
Tarteeb Se Aa Kar Chale Jaty Hain. Lekin In Mausamon K Ilawa Mulk-E-Pakistan K
Apny Bhi Kuch Balke Kayi Mausam Hain, Jo Kisi Tarteeb K Paband Nahi. Ye Apni
Marzi K Malik Hain, Jb Chahty Hain Aaty Hain, Jb Chahty Hain Chaly Jaty Hain.
Yeh Mausam Qudrati Mosam Ki Tarha Beik Waqt Ek Nahi, Balke Kayi Ek Sath Haavi Ho
Jate Hain. Ajkal Mulk-E-Pakistan Mein Mausam-E-Azadi Chahya Hua Hai. Ye Mausam
Wese Tw Lahore Mein Aya Aur Phr Is Ka Rukh Islamabad Bana, Mgr Ab Is Ne Apna
Rukh Mulk K Degar Shehron Ki Taraf Bhi Mor Liya Hai Aur Ab Is K Asraat Pure Mulk
Mein Numayan Tor Pe Dekhe Ja Sakte Hain.
Is K Sath Sath Punjab Mein Ek Aur Mausam Ki Aamad Aamad Hai "Mausam-E-Dengue".
Is Mausam Ka Shumar Hmare Mulk K Dheet Mausamon Mein Kiya Jae Tw Galat Na Hoga.
Is Mausam Ne Yun Tw Kuch Saal Qabal Hmare Mulk Mein Qadam Rakha, Magar Ab Ise
Hmare Mulk Se Kuch Aisa Lagao Ho Gaya Hai K Har Saal Hi Tashreef Ly Ata Hai.
Magar Hm Sharminda Hai Is Mausam K Mehman 'Dengue' Se, K Hum Achy Mezban Sabit
Na Ho Paege. Hmare Mulk Ki Awam K Paas Ab Bacha Hi Kya Hai Jise Hum Apny Mehman
Ki Khidmat Mein Pesh Karen. Hmare Jism K Khoon Ko Ek Taraf Se Beruni Mulk
Quwaten Chus Rahi Hain, Tw Dosri Taraf Se Hmare Apne Balke Baraye Naam 'Apne'
Hme Das Rahe Hain. Bacha Kucha Khoon Mehangai, Berozgari Aur Siyasi Macharon Ki
Nazar Ho Chuka Hai. Ab Hmare Pas Khoon Ki Aakhri Bond K Siwa Kuch Nahi Jo Hm
Unki Khidmat Mein Pesh Kar Saken.