Ibtidaa-E-insan
(Hafiz Muhammad Saim , Hyderabad )
بسم الله الرحمن الرحيم
حضرت اَدم عليه السلام
Ibtida -E-Insan
Allah Taala Ne Zameen O Aasman Ko 6 Dino Me Banaya Or Jb Us Ne Zameen Pr Hr
Qisam Ki Nematen Saja Lin Tou Phr Hazrat Aadam Alaihisslam Ko Bnana Chaha Us Ne
Frishto'n Ko Hukum Dia Ky Zameen Se Nurm, Sakht,Surkh,Safed Mitti Lao Chunaacha
Mitti Lai Gai Jis Ko Khuda Ne Dast-E-Qudrat Se Goondha Us Ka Khameer Tayyar Kia
Gaya Or Phr Us Khameer Se Hazrat Aadam Alaihisslam Ka Putla Bnaya Gaya Us Ky Bd
Khuda Ne Apni Rooh Ko Us Putly Me Daakhil Hone Ka Hukum Dia Rooh Mitti Ky Us
Putly Me Daakhil Hone Se Ghbrai Phr Hukum Hua Daakhil Hoja Tujhe Kuch Muddat Bd
Aazad Krdia Jayga Is Tasalli Se Rooh Hazrat Aadam Alaihisslam Ky Putly Me
Daakhil Hogai Allah Taala Ne Rooh Ki Izzat Or Buzrugi Brhane Ky Lie Apne Tmam
Frishto'n Ko Hukum Dia Ky Wo Aadam Alaihisslam Ko Sajdah Kren Tmam Frishto'n Ne
Sajdah Kia Magar Shatan Ne Asa Krne Se Inkaar Krdia Yehi Wja Thi Ky Khuda Ne
Shatan Ko Pasand Na Kia Magar Shatan Usi Din Se Hazrat Aadam Alaihisslam Ki
Aulad Yani Insan Ko Gumrah Krta Chla Arha Hy Khuda Ky Nek Or Ibadat Guzaar Bndy
Shatan Ky Dhoky Me Nhi Aty Asy Tmam Insano Pr Khuda Taala Apni Rahmate'n Bhejta
Rehta Hy .
Jb Hazrat Aadam Alaihisslam Ko Frishty Sajdah Kr Chuke Tou Khuda Ky Hukum Se
Frishty Unhe Khubsurat Libas Pehna Kr Jannat Me Rehny Ky Lie Ly Gay Jahan Bri
Izzat Se Apko Rkha Gaya Hr Trah Ki Nemat Se Nawaza Gaya Magar Wahan Hazrat Aadam
Alaihisslam Tanahai Mehsoos Krny Lgy Wo Aksr Ghbra Jaty Thy Ek Din Wo Neend Me
Thy Ky Allah Taala Ne Apny Hukum Se Bibi Hawwa Alaihasslam Ko Apki Left Trf Ki
Pasli Se Peda Kia Or Is Trha Wo Dono Jannat Me Bht Khush O Khurram Rehny Lgy Or
Khuda Ki Ibadat Krty Rhy Ek Din Shatan Ne Unko Dhoky Me Dala Jis Ki Wja Se Un
Dono Me Lagzish Hui Khuda Ne Un Dono Ko Hukum De Rkha Tha Ky Fula'n Drakht Ka
Phal Mt Khana Magar Wo Shatan Ky Dhoky Me Akr Wohi Phal Kha Gay Jis Pr
Khudawande Kareem Ne Un Dono Ko Jannat Se Nikal Jane Ka Hukum Dia .
Jis Din Hazrat Aadam Alaihisslam Or Bibi Hawwa Alaihasslam Ko Jannat Se Nikala
Gaya Usi Din Se Insan Ki Pedaish Zameen Pr Shuru Hui Hazrat Aadam Alaihisslam Ky
Han Sb Se Pehly 2 Lrky Qaabeel Or Haabeel Peda Huy Unki Ek Behn Jo Dunya Me Sb
Se Pehli Aurat Thi Wo Bhi Hazrat Aadam Alaihisslam Ky Han Peda Hui Dono Bhaio Me
Se Hr Ek Ne Apni Us Behn Se Shadi Krni Chahi Jis Ki Wja Se Un Dono Me Ek Dsry Ky
Khilaf Hasad Peda Hogya Or Dono Apas Me Lr Pary Ye Waqia Mufassireen Likhty Hen
Aakhir Qaabeel Ky Hatho Haabeel Qatal Hogya Dunya Me Ye Pehla Qatal Tha Jis Se
Hasad Or Qatal Ki Rasam Ne Janam Lia Or Roz Baroz Brhti Chali Gai Or Yun Ek
Insan Dsry Ky Hatho Qatal Hona Shuru Hua .
Khudawandy Kareem Ne Shuru Hi Se Aadam Alaihisslam Ki Aulad Yani Insan Ko Dunya
Me Rehny Ky Tareeqy Bata Diye Thy Or Ye Bi Bata Dia Gaya Tha Ky Tmam Kaaynat Or
Makhlooq Ka Maalik Allah Taala Khud Hy Dunya Ka Haakim Bi Wo Hi Hy Wohi Ibadat
Ky Laaiq Hy Kisi Dsry Ki Ibadat Krna Shirk Hy In Tmam Hidayat Ky Bawajood Insan
Jb Nasal Dar Nasal Mukhtalif Giroho'n Or Qabeelo'n Me Taqseem Hua Or Zameen Pr
Phelta Chla Gaya Tou Wo Is Qadar Gumraah Hua Ky Usy Achai ,Burai Ki Koi Tameez
Na Rhi Loot Maar,Lrai,Qatal,Badkaari Grz Ye Ky Tmam Trah Ki Buraiyan Uski Zindgi
Ka Shugal Bn Gai'n Or Zameen O Aasman Ki Ger Insani Or Maadi Hastio Ko Khudai Me
Shareek Krny Lga Chunky Insan Hamesha Batay Hue Rasty Se Gumraah Hota Rha Hy Is
Lie Usy Seedha Rasta Or Khuda Ka Qanoon Batane Ky Lie Khuda Ki Trf Se Rehnumai
Ka Intizam Hota Rha Or Unhi Logo Me Se Wo Apni Pasand Ka Ek Insan Chunta Jo
Zaahir ,Baatin,Soorat,Seerat,Akhlaq,Aamaal Hr Lihaz Se Pak O Saf Hota Us Me
Atidaal ,Shoq E Ibadat Hota Wo Dunyawi Khuwahishat Or Mahol Ky Asraat Se Bilkul
Mehfooz Hota Usy Nabuwat Deta Taky Bani Aadam Ko Seedhy Rasty Ki Taraf Dawat Dy
Khuda Ki Taraf Sy Nabio'n Or Pegambaro'n Ka Silsila Mukhtalif Qomo'n Me Hazar Ha
Baras Tk Chalta Rha Un Sb Ka Ek Hi Deen Tha Logo Ko Chaand ,Sitaaro'n,Aag,Pani,Sooraj,Buto'nki
Pooja Se Mana Kia Khuda Ki Ibadat Krny Ka Sabaq Dia Magar Aksr Log Gumraah Hi
Rhy Or Khuda Ky Azab Me Phans Kr Barbaad Hoty Rhy.
Dunya Me Nabi 3 Trah Ky Zamany Me Aty Rhy Pehla Zamana Hazrat Aadam Alaihisslam
Se Shuru Hokr Hazrat Nooh Alaihisslam Tk Khatam Hota Hy Dusra Dor Hazrat Nooh
Alaihisslam Se Hazrat Moosa Alaihisslam Tk ATA Hy Teesra Or Akhri Zamana Hazrat
Moosa Alaihisslam Sy Shuru Hokr Hamary Piyary Rasool Hazrat Muhammad Mustafa
Sallallaho Alaihi Waalihi Wasallam Tk Hy Jahan Pr Khudawandy Kareem Ky Farman Ky
Mutabiq Nubuwat Khatam Hojati Hy Quran Pak Me Irshad Hy Ky Hamary Rasool E
Kareem Sallallaho Alaihi Waalihi Wasallam Akhri Nabi Or Sb Nabio'n Ky Sardaar
Hen.
وما علي الا البلاغ المبين.