Zindagi

(sidra khurshid, gujrat)

Ye Ek Aisa Lafz Ha Jiska Matlab Hum Sari Zindagi Nh Jaan Paty Aur Na Aj Tak Koi Is Ko Bayaan Kr Paya Ha. Zindagi Ek Sawal Sy Suru Hoti Ha R Sawal Par He Khatam Ho Jati Ha. Har Shakhs Isy Apni Marzi Ka Mehfoom Dta Ha, Agr Zingadi Me Rahat Aur Aram Ha To Zindagi Hushyun Ka Majmoa Hai Aur Agr Ye Ap K Liye Sirf Dukh Ki Tehreer Raqam Krti Ha To Zindagi Gham K Siwa Kuch Nh. Agr Ap Me Kuch Pany Ki Lagan Nh Ha R Ap Apni Zindagi Ka Maqsad Nh Janty To Ap Iska Matlab B Dhondny Ki Koshish Nh Krty Aisy Logun Ki Zindagi Bema’ani Hoti Ha Aur Kuch Logun K Liye Zindagi Khany Piny Aur Moj Masti Ka Nam Ha. Gharz Ye K Jtny Log Utny Mehfoom. Lekin Haqeeqat Me Ye Zindgi Kya Ha? Akhir Ye Kahan Sy Suru Hui R Kahan Htm Ho Ge? Hum Kis Liye Jee Rahy Hain? Is Trha Ky Angina Sawalaat Hain Jin Kay Jawab Hmary Pas Nh Hain. Sochny Bethain To Damage Maoof Ho Jata Ha. Aj Dunya Taraqi Ki Bulandiyun Par Ha Chand Sitarun, Sayarun Blky Ab To Meteorides Aur Asteroids Tk Puhnch Gai Ha Lekin In Sb Ki Suruaat Kahan Sy Hui R Q Hui Ye Nh Jaan Pai. Hum Apni Saari Zingdi Sirf Ye Jan’ny K Liye Guzaar Dety Hain K ‘Zindagi Kya Ha????????

Agr Hum Zindagi Ka Mehfoom Smjh Jaein Jo K Intahai Mushkil Kaam Ha To Agla Marhala Ata Ha Iska Maqsad Jan’ny Ka. Hme Ye Zindagi Q Di Gai??? Akhir Is Ka Maqsad Kya Ha?? Hum Ne Kya Krna Ha Is Zindagi Ka???? Jb Ap Koi Cheez Haridty Hain Ya Ap Ko Di Jati Ha To Sb Sy Pehly Ap Ye Malm Krty Hain K Iska Mqsad Kya Ha? Ye Kis Kaam K Liye Ha? Hum Ne Is Sy Kya Krna Ha? Iska Kya Faida Ha Aur Kya Nuqsanaat Hain??Phr Hum Usy Istemaal Krty Hain. To Hum Zindagi Ky Baray Me Q Nh Sochty?? Q Sochy Smjhay Bgear Isy Istemaal Krna Suru Kr Dety Hain??? Q Apni Zindagi Ko Zaya Kr Dety Hain Aur Phr Afsos Sy Hath Malty Reh Jaty Hain K Ye Kya Ho Gya???? Lekin Wqt Guzar Chukka Hta Ha Aur Hum Hali Hath Reh Jaty Hain. Phr Dil Ky Ek Kony Sy Ek Khawhish Sar Uthati Ha Aur ‘Kaash’ Ka Lafz Ek Siski Ban K Labun Sy Nikalta Ha Aur Usky Agy Ka Fiqra Apny Pury Ilfaaz Aur Ma’ani Rakhny Ky Bawajuud Bema’ni Ho Jata Ha…………..Aur Ek Lafz Reh Jata Ha ‘Afsoos’……..Aur Zindagi Hmari Smjh Me Aye Bina Htm Ho Jati Ha.
 

sidra khurshid
About the Author: sidra khurshid Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.