Lafzon Mein Nahi Likh Pati Mein
Zindagi Ki Haqeqat Ye Bht Mushkil Hai Insani Soch Ko Wo Alfaz Nahi Jo Ye Haqeqat
Bata Sakein . Kia Ha Zindagi Sirf Ik Samjhote Ka Nam Ya Khwahishat Ki Takmeel Ka
Nam Insan Sab Kuch Hote Huye Bhi Khush Nhi Hota. Kuch Batein Kuch Cheizein
Hameshaa Adhori Reh Jati Hai Dusro Ko Khush Karte Karte Aksar Hum Apni Khushi
Bhool Jate Hai Apni Pehchan Bhool Jate Hai Apna Maqsad Bhool Jate Hain Dunya K
Is Shoor M Insan Ki Awaz Kahin Dab Jati Hai. Khuwahisho K Bhunwar Mein Sukoon
Kahi Kho Sa Gaya Hai Kia Waqai Insan Ko Dolut Or Saholato S Khushi Milti Ha Mere
Nazdeek Nahi Insan Ko Haqeqe Khushi Us Ka Maqsad Pora Hne Se Milti Ha Dolut Roti
Kaprha Ye Hamein Satisfy To Kar Dete Hai Magar Kahi Na Kahi Ik Chubhan Reh Jati
Ha Kuch Reh Sa Jata Hai Jise Hum Samajh Nhi Pate ...Sab Kuch Hote Huye Bhi Insan
Khush Nhi Akela Hai Kyunk Doston Mein Rishto Mein Zumedariyon Mein Hum Apna Ap
Bholl Gaye Banwut Ki Itni Dholl Ha Insan K Chehre Pe K Wo Apna Asal Ayina Nhi
Dekh Pata Or Dekh Pata Ha To Pehchan Nhi Pata Mera Ye Sawal K Kia Waqai Hum
Khush Hain Bht Se Sawalo Ko Ubhar Deta Hai Humein Zarurat Ha Ayena Dekhne Ki
Haqeqat Dekhne Ki Apna Ap Or Apna Chehra Pehchanne Ki Kyunk Wo Chehra Is Banawti
Chehro Se Bht Khubsurtiyon Se Bht Alla Jise Kahin Na Kahin Hum Bhool Chuke Hai.