Fairy Land
(ASIF KHAN NAWAB, sialkot)
Yeh Ik Aise Aadmi Ki Kahani Hai
Jo Kisi Kaam Ke Silsile Main Apne Ghar Se Bahar Scotland Jane Ka Itefaaq Huwa
Aur Wahan Par Ja Kar Bas Gya Aur Kuch Arse Baad Apni Saari Family Ko B Wahan Hi
Bhula Liya Aur Wahion Par Rehne Lage Uss Aadmi Ki Nai Nai Shaadi Huwi Thi Aur
Woh Apni Zindagi Main Bara Khush Tha Aur Uss Ka Apne Biwi Bachoon Ke Ilawaa Aur
Koi Ni Tha Uss Aadmi Koi Nai Nai Cheezein Talaash Karne Ka Bara Shauq Tha Aur
Woh Hameesha Khander Aur Poorani Poorani Jaghaon Par Ja Kar Nai Cheezon Ko
Talaash Kar Ke Un Par Bohat Ghaur O Fikr Kiya Karta Ik Din Jab Us Ke Boss Ne Use
Kaam K Silsale Me Bulaya To Use Raat Ko Wapis Ane Main Kaafi Dair Ho Gyi Aur
Andheri Raat Ko Woh Apni Ghari Par Aa Raha Tha Aur Achanak Uss Ki Car Kharaab Ho
Gyi Woh Aadmi Jis Ka Naam Sarmad Tha Bohat Pareeshan Huwa Aur Badkismati Se Uss
Ke Aas Pass Koi Ghar B Nai Tha Uss Ne Apni Car Ko Wahin Par Chora Aur Kisi Jagah
Par Rehne Ke Liye Jagah Dhoondne Laga Aur Uss Ka Apna Ghar B Bohat Door Tha Agr
Paidal Jata To Shayad Poori Raat Ghuzar Jaati Aur Agr Ghaari Par Toh Phir 3-4
Ghantoon Main Pohanch Jata Aur Chunkai Aas Paas Jangal Tha Aur Jangal Main Chala
Gya Aur Jangli Jaanwaron Se Bachne K Liye Ik Darakht Pr Charh K Beth Gya Aur Jab
Woh Darakht Pr Charha To Use Jangal Ke Doosri Side Pe Ik Light Nazar Ayi Woh
Wahana Gya Aur Dekhaa K Ik Bohat Purana Mehal Tha Bahar Se Dekhne Main Kaafi
Purana Aur Bekaar Kisam Ka Khandar Lagata Tha Laikin Jab Sarmad Mehal Me Dakhil
Huwa To Dekhta Hai K Baahir Toh Tareeki Hai Aur Mehal Main Iss Qadar Roshni Hai
K Sooraj Se B Kahin Zyada Aur Pur Kashish Na Koi Lal Tain Dikahi Deti Aur Na Koi
Jhoomar Bas Roshni Hi Roshni Thi.
Yeh Parion Ka Mehal Tha Aur Dekhte Hi Dekhte Kamre Ke Andhar Se Pariyan Ane Lagi
Aur Uss Ke Ird Ghird Jamah Ho Gayi Aur Use Bari Heran Gi Se Dekhne Lage K Yeh
Kis Dunya Ka Ha Aur Hamari Dunya Aminkeya Lene Aya Ha Aur Yeh Hi Baat Sarmad Ke
Zehn Main B Thi K Yeh Koi Khawaab Hai Ya Haqeekat Aur Tamaam Ki Tamaam Pariyan
Uss Se Bayak Ho Kr Poocha K Are Tum Kon Ho Aur Kya Tum Hamein Kaid Krne Aye Ho
Sarmad Bola Nahi Meri Toh Ghari Kharaab Ho Gyi Thi Aur Main Light Dekh Kar Yahan
Ki Taraf A Gya Bahar Thand B Bohat Thi.Unn Me Se Ik Pari Boli K Thand Kya Hoti
Ha Sarmad Muskurane Laga Aur Bola K Apke Han Thand Nahin Lagti Aur Un Ki Rani
Boli K Janab Yahan Na Raat Hoti Hai Na Din Na Garmi Na Sardi Aur Na Hi Neend Ati
Ha .Sarmad Bara Hairan Huwa Aur Bola Ap Log Such Ki Pariyan Ho Ya Waise E Apna
Bhes Badla Huwa Hai,...
To Be Continued.
Like And Comment For Next Part