Bai'shak yah toor qiyamat se kisi tara kam nahain. Kya
karain choon'kah yah eak rovaeya raha hai aur her dour main is ki bari
shan se tajdeed hoti rahi hai is liay is ke khalaf awaz othana mout ko
masi kehnay ke motradif hai. Haan main haan milatay hain to monafiq,
mokhalfit siraf Sarmad se log hi kar saktay hain aur Hussain se log hi
sach ko samnay la saktay hain.
Bad'qismati daikheay yazeed hi in tabqoon ka amam chala ata hai aur
baray dharallay se os ke naam ke sath r a ka lahqa jora jata hai. khair
choriay mein kya likhnay baith gya hoon.
Akhter Hussain Jafri Hoon ya Bai'dil Haidri, ki haqiqi paziraee kabhi
nahain hoee. Jab kisi ne kuch kaha rasmi sa hi kaha. Haan ab donoon par
MPhil sata ke moqalay howay hain. Akhter Hussain Jafri ki taqribun 20-22
saal baad soni gaee hai. Haan albata bai'dil sahib ki zara jald hi soni
gaee hai.
Baidil Haidri ki zoban aur fikr bari hi tawana hai. Zoban bikul sada aur
aam fehm hai ta'hum is sada aur aam feham zoban main ki gaee batain is
ehad ki zinda shahadat hain. Ata waqt oon ki shaeri ke hawala se, is
ehad ko aur is ehad ke moamlaat ko, khoob khoob jan le ga.
Ahal e sawrvat her ehad main motakabar aur khuda nahain to khuda'nama
zaroor rahe hain. Gozartay waqt ke sath is andaz o rovaeay main bari
shidat aee hai. dehleez se bahar qadam rakhte hi maha faraonoon se wasta
parta hai. On ko mokhatab kartay howay Baidil kehtay hain:
Is qadar bhi na sar otha kar chalo
Janay pagri kahaan otar ja'ay
Oon ka adaz khlistan tambhi hai. Gharoor aur takabar ka sar hamaisha
nicha hi hota hai.
Aaj ke shakhas ke tour ki akasi malahza ho. Kya kamal ki
baat kar gaee hain. Zara ird gird ka jaeza kar daikhain yah'hi kuch
nazar aa'ay ga.
Yah kaise riya'karoon ki basti hai kah jis main
Her shakhas ne pehna hai sharafat ka libada
Issi qamash ka eak aur shear malahza ho
Hum se ommeed rehnamaee na rakh
Hum monafiq sadi ke rehbar hai
Ghear to ghear, apnay bhi baad'diyanti main apna kamal dikha rahe hain.
Oon makanoon pa Khuda apna karam farma'ay
Jin main khud oon ke makein' naqab laganay lag jaein
Is ehad main mojood gurbat o osrat ke hawala se yah shear malahza
farmaein:
Tira yah haal' ab ay muflasi daikha nahain jata
Tiri ongli pakartay hain, tujhy andha banatay hain
Achaee aur khair ki ommeed rekhne waloon se kehtay hain.
Subh ke khaab daikhnay walo!
Khair mango, kah shab gozar ja'ay
Haq baat ke izhaar ke hawala se Bai'dil ka nazriya malazah ho. Talmeh ka
bare hi nafees andaz main istamal howa hai.
Haq baat ke izhaar ke tehwar manaya
Sachaee ka jashan os ne sar e daar manaya
Waqt aur halaat jo zakham daitay hain. Admi lafzoon aur halaat ki talwar
se zindgi main un'gint baar qatl hota hai. Is amr ka kya khobi se izhar
kartay hain. malahza ho:
Chehray ki jhuroon ko kabhi ainay main daikh
Kis kis jaga howa hai tira intaqal soach
Zarorat, hajit, halaat, majbori waghera main insan kya kuch kar jata hai,
malahza ho.
Darya main otarnay se mujhy roknay walo!
Piyasay ko sumundar bhi sumundar nahain lagta
Insan kis halat aur halaat main raha hai, malahza ho:
Shah ke saya e nawazesh main
Hum sabhi hain ghulam gardesh main
Sada zoban fasahat o balaght main bhi apna kamal rakhti hai. Khoob'surat
marakbaat ki tashkeel ka hunar woh khoob jantay hain. maslun
Dasht e hunar, Paikar e sehra, Qarya e jaan, Ehad e barood, Khush'bu ke
punchi
Mohavraat ka istamal bhi bar'mohal karty hain. maslun
Sar phorna: Mein kahan phorta raha sar ko
Sokhnay dalna: zanana mohvra hai, istamal daikhiay
Choor is tashnagi ke chakar ko
Sokhnay daal de Sumundar ko
Tofan othna:
Eak tofan sa otha Bai'dil
San'atoon ka bhi bari khobi se istamal kar jatay hain. San'at tazaad ki
dou eak misalain malahza hoon:
oroj o zawal:
Daikhay hain tu ne kitnay oroj o zawal soch
Subh Shab:
Subh ke khaab daikhnay walo!
Khair mango, kah shab gozar ja'ay
San'at tazaad aur mota'alqaat ka istamal malahzah ho.
Jagta hoon to zehan sonay lagay
Sona chahoon to niand ochat ja'ay
Bai'dil Haidri marhoom ke hath se likhi kuch ghazlain dastyaab hoee
hain. Ahbaab ki khidmat main bare hi khalous piyar aur ehtaram se paish
kar raha hoon. Marhoom is sata ke shair hain kah oon par bohat kuch
likha ja'ay.Yah ghazlain issi gharz se paish kar raha hoon kah sahib e
ilm is janib khalous aur mohabat se tovajo dain.
fani
maqsood hasni |