Record

(Chiraghdeen, Karachi)

Aapne Bhi Yeh Khabar Akhbaar Mein Parhi Hogi Keh Karachi Expo Centre Mein Ek Taqreeb Mun'aqid Honey Wali Thi Jis Mein Ek Shaving Razor Banane Wali Company Apne Razor Ki Tashheer K Liye 1800 Afraad Ki Ijtemai Shaving Kerti Takeh India Ka Record Beat Ker Sake.

Lekin Allah Bhala Kare Un Chand Sisasi Aur Mazhabi Partion Ka Aur Un Students Ka Keh Jin Hon Ne Ehtejaj Kerke Yeh Taqreeb Munaqid Na Honey Di.

Pakistan Jahan Aksaryet Mein Musalman Rehtey Hein Aur Jo Mulk Apne Aap Ko Islam Ka Qila Kehelvata Hey Us Mulk Mein Is Tarah Ki Taqreebaaat Ka Munaqid Hona Kia Koi Achhi Baat Hey? Woh Tau Allah Bhala Kerey Un Bashaoor Aur Her Taraf Nigah Rakhne Wale Students And Ulmae Kiram Ka Keh Jin Hon Ne Yeh Taqreeb Munaqid Na Hone Di Warna Tau Yeh Gunah Ka Kaam Bhi Ho Jata?

Agar Aap Ne Record Beat Kerne Hein Tau Kisi Achhey Kaam Mein Record Beat Karain Jaisa Keh Sahaba Kiram (R.A.) Kia Kerte They………Who Her Khair K Kaam Mein Ek Doosrey Sey Sabqat Le Jane Ki Koshish Kia Kerte They Aur Aisey Moqon Ki Talash Mein Rehtey They.……..Kia Ham Un K Naqshe Qadam Per Chaltey Howe Achhey Kamoon Mein Doosrey Mulkon K Record Beat Nahi Kersaktey???

Jaisa Keh Log Kehte Hein, Bangladesh Key Capital Dhaka Mein Sab Se Ziadah Masjidain Hen, Yeh Bohot Achhi Baat Hey. Karachi Ki Abadi Mere Khiyal Mein Dhaka K Muqabley Mein Ziadah Hey Iss Liye Karachi Mein Masjidain Bhi Ziadah Hona Chaheye? Agar Ham Karachi Mein Masjidain Banana Shuroo Kerdein Tau Yaqeenan Ek Waqt Aa Ey Ga Keh Jab Karachi Dunya Ka Who Wahid Sheher Hoga Keh Jahan Sab Sey Ziadah Masjidein Hongi, Yeh Ek Record Bhi Ban Jaey Ga, Namazion Ki Tadad Bhi Barh Jaey Gi, Allah Pak Bhi Razi Ho Ja Ein Ge.

Ummed He Keh Ham Pakistani Log Aisey Amaaal Ki Taraf Tawajjoh Dein Jin Se Dunyawi Masail Bhi Hal Hojaein And Ukhravi Bhi……

JAZAKALLAH.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196284 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.