Imam-e-Aazam

(Chiraghdeen, Karachi)

Imam-E-Azam, Hazrat Imam Abu Hanifah, Kisi Ta'aruf K Mohtaj Nahi Kiyon K Pakistan K Sunniyon Ki Aksaryet "Fiqa Hanfi" Se Ta'alluq Rakhti Hey. Imam Sahib Apne Daur K Barrey Aalim-E-Deen, Muhaqqiq And Faqeeh Hein.

Imam Sahab Ka Naam "Nauman Bin Sabit" Hey. "Hanifah" Aapki Sahibzadi Ka Naam Hey. Jiski Wajah Sey Aapki "Kunniyet" Abu Hanifah; Hogai Yani; Hanifah K Walid. Aur Phir Isi Kunniyet (Naam) Se Aap Mashhoor Bhi Howe.

Hazrat Imam Abu Hanifah Ko Imam-E-Azam Is Liye Kaha Jata Hey Kiyon Keh Aap Baqiyah Tinon (3) Imamon K Bhi Ustad Hein, Yani, *Imam Shafai, *Imam Ahmad Bin Hanbal Aur *Imam Malik (Reh.A.).

Hazrat Imam Abu Hanifah, Tabaeen Mein Se Hein, Yani Aap Ne Direct Sahaba Kiram (Rizwanul Lahe Alaihim Ajmaeen) Sey Ahadees Lee Hein, Sahaba Kiram (R.A.) Ko Dekha Hey, Jabkeh Baqiah Tinoon Imam Sahibaan Taba Tabaeen Hein, Yani Un Hon Ney Ahadees Tabaeen Hazraat Sey Li Hein. Unhon Ne Sahaba Kiram Ko Nahi Dekha.

Imam-E-Azam Ne Un Ahadees Se Fiqahi Masail Nakale Hein Keh Jo RASOOL-E-PAK (S.A.W.) K Aakhri Daur Se Ta'alluq Rakhti Hein. Choonkeh Deen-E-Islam 23 Salon K Doraan Ahista Ahista Ayaa Hey Aur Pehley Kuchh Baton Ki Ijazat Thi Magar Baad Mein Who Ijazat Khatam Hogai Isliye, Imam-E-Azam Ne Un Ahadees Ka Ehata Kia Hey Jo Keh Akhri Daur Ki Hein. For Example; Pehley Rafa Yadain Kerney Ki Ijazat Thi Jo Baad Mein Mansookh Ho Gai. Isi Tarah Sharaab Ko Ek Dam Mana Nahi Kia Gaya Kiyoon Keh Sharab Unki Ghutti Mein Parri Hoi Thi Isliye Ek Dafa Kaha Gaya Keh Sharab Mein Kuchh Faede Hein Aur Kuchh Nuqsanaat, Phir Kaha Gaya Keh Namaz K Qareeb Na Jao Jab Tum Nasheh Ki Haalat Mein Ho Phir Teesri Martaba Bilkul Manadi Hoi.

Jo Log Makkah And Madina K Rehne Wale Nahi They Balkeh Doosrey Ilaqon Se Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ki Khidmat Mein Hazir Hotey Aur Islam Qubool Kerke Apney Ilaqoon Mein Chaley Jate Aur Us Waqt Jo Tareeqe Raij Hotey Woh Apne Ilaqoon Mein Jaker Unhi Tareeqon Per Amal Kerte They, Isi Liye, Mukhtalif Ilaqon Aur Mukhtalif Mulkon Mein, Namaz Waghera Ke Mukhtalif Tareeqe Raij Hein. Koi Rafa Yadein Kerta He Koi Nahi, Koi Haath Bandh Ker Namaz Parhta Hey Koi Khol Ker, Koi Zair-E-Naaf Haath Bandhta Hey, Koi Naaf K Ooper, Koi Us Se Bhi Ooper Aur Koi Seeney Per, Yeh Sab Tareeqe Mukhtalif Ahadees Sey Sabit Hein Isliye Kisi Tareqe Per Eteraaz Nahi Kerna Chaheye Balkeh Jo Tareeqa Aap Ne Apne Barron Ka Dekha Hey Uske Barrey Mein Ulma-E-Kiram Se Mushwara Kerke Amal Kerna Chaheye. Agar Aapka Taulluq Hanfi Maslak Sey Hey Tau Hanfi Maslak K Ulmae Kiram Se Mashwara Karain, Agar Shafai, Ya Hanbali Ya Maliki Hey Tau Unhi Maslak K Ulmae Kiram Se Mashwara Karain Takeh Aapki Namaz Aur Deegar Deeni Aamaal Drust Hoon. Choonkeh Tamam Aaimmah K Tareeqe Ahadees K Mutabiq Hein Isliye Sab Sahih Hein. Aisa Na Karein Keh Koi Tareeqa Kisi Imam Ka Aur Koi Tareeqa Kisi Imam Ka, Yeh Ghalat Hey Isliye Keh, Yeh Phir Deendari Nahi Balkeh Apni Marzi Aur Apni Sahulat Ka Mazhab Ho Jaey Ga. Kisi Bhi Ek Imam Sahib Ki Pairvi Karain Aur Her Waqt ALLAH TABARAK WA TA'ALA Se Saheeh Ilm K Husool Ki DUA Karein, Hidayet Mangain, Yaqeen Sahih Bana Ain, Eemaan Sahih Bana Ain Kiyoon Keh Agar Hadayet Aur Eeman Ki Daulat Hasil Ho Gai Tau Samjho Keh Sab Kuchh Mil Gaya.

Her Shakhs Tau Aalim-E-Deen Ban Nahi Sakta, Lekin Deen K Mote Mote Usolon Ko Jan Ney Ki Usey Zuroorat He Takeh Woh Haram, Halal, Jaiz, Najaiz Ki Pehchan Ker Sake, Namaz Choon Keh Rozana 5 Times Perhni Jati Hey Isliye Uske Masail Bhi Yaad Rakhney Chahyen Takeh Sahih Namaz Parh Sakain Aur Har Waqt Ulmae Kiram Se Jurrey Rahain Takeh Deen Ka Sahih Ilm Milta Rahey.

ALLA TA'ALA Sahih Ilm Hasil Kerne Ki Aur Us Per Sahih Tareqe Se Amal Kerney Ki Her Muslaman Ko Taufeeq Ata Farmaey, Aameen.

WA MA ALAINA ILLAL BALA GHUL MUBEEN.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196286 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.