Aamaal Ki Qeemat

(Chiraghdeen, Karachi)

Ek ALLAH WALE Ek Qabrustan Se Guzer Rahe They. ALLAH TABARAK WA TA'ALA Ne Ek Qabr Ki Haqeeqat Un Per Zahir Farmadi. Unhon Ne Dekha Keh Sahib-E-Qabr Apni Qabr Mein QURAN Pak Ki Tilawat Ker Rahey Hein. Inn Buzurg Ne Sahib-E-Qabr Se Kaha Keh Ham Ne Tau Yeh Suna Hey Keh Merney K Baad Insaan Ka Nama-E-Aamaal Band Ho Jata Hey Aur Woh Merne K Baad Koi Amal Nahi Kerta? Tau Sahib-E-Qabr Ne Jawab Dia Keh Han Aap Ne Bilkul Sahih Suna Aisa Hi Hey. Phir Un Buzurg Ne Farmaya Keh Aap Tau Iss Waqt Quran Kareem Ki Tilawat Farma Rahey Hein, Tau Un Sahib-E-Qabr Ne Jawab Dia Keh Jab Koi Murda Qabr Mein Aata Hey Aur Sawal O Jawab Ka Marhala Khatam Ho Jata Hey…..Aur Agar Yeh Shakhs ALLAH PAK Ki Nazar Mein Jannati Hota Hey Tau Us Sey Kaha Jata Hey Keh Abhi Qayamat Aur Hisaab-O-Kitaab Mein Tau Bohot Time Baqi Hey….Yeh Poora Arsa Tumhein Iss Qabr Mein Rehna Hey….Agar Tumhari Koi Khowahish Hey Tau Batado Keh Tum Itney Lambe Arsey Tak Iss Qabr Mein Rehtey Howey Kia Kerna Pasand Karo Ge…Agar Uss Shakhs Ki Khowahish Qabil-E-Qubool Hoti Hey Tau Usey Uski Ijazet Dey Dijati Hey Aur Agar Nahi Tau Mana'a Kerdia Jata Hey.

Phir Sahib-E-Qabr Ne Apne Barey Mein Bataya Keh Main Ek Hafiz-E-Quran Hoon, Dunya Mein Mujhey Quran Parhney Sey Ziadah Koi Aur Cheez Achhi Nahi Lagti Thee, Her Waqt Quran Pak Ki Tilawat Kerta Rehta Tha Aur Bohot Khush Ilhani Sey Aadaab Ki Reayet Rakhtey Huwey, Chunacheh Jab Mera Inteqaal Hogaya Aur Mein Iss Qabr Mein Aagaya Tau Mujh Se Kaha Gaya Keh Itney Arse Tak Kia Kerna Pasand Karogey Tau Mein Ney Arz Ki Keh Quran Ki Tilawat Kerna Chahta Hoon Chunacha Mujhey Iski Ijazet Dedegai Aur Jab Sey Mein Iss Qabr Mein Aya Hoon Tab Sey Iss Waqt Tak Mein Kam-O-Baish 70,000 Quran Shareef Parh Chuka Hoon Aur Ab Meri Khoahish Hey Keh Yeh 70,000 QURAN SHAREEF Mein Aapko Deydoon Aur Iske Badley Mein Aap Mujhey Apni Ek SUBHANALLAH De Dein. ALLAH Waley (Buzurg) Soch Mein Par Gaey Keh Kahan 70,000 Quran-E-Pak Aur Kahan Ek SUBHANALLAH? Soda Mehnga Nahi Magar Yeh Shakhs Merey Ooper Yeh Meherbani Kiyun Ker Raha Hey Chunacha Sahib-E-Qabr Sey Puchha Keh Aap Yeh Soda Kyoon Kerna Chahtey Hein? Sahib-E-Qabr Ne Jawab Dia Pehley Aap Han Kahain Phir Bataoon Ga, Yeh Jawab Sun Ker Buzurg Samajh Gaey Keh Yeh Ghatey Ka Soda Hey Kiyoon Keh Yeh Koi Aam Admi Nahi They Ek ALLAH Waley They. Buzurg Ne Kaha Nahi Pehley Batao Phir Sochoonga. Sahib-E-Qabr Ney Jawab Dia Keh Merney K Baad Kisi Murde Ka Koi Amal Likha Nahi Jata Jabkeh ZINDA Ka Har Chhota Barra Amal Likha Jata Hey Aur Agar Amal Achha Hey Tau Uske Ikhlas K Mutabiq Usey Usper Ajr-O-Sawab Dia Jata Hey. Mein Ney Jo Yeh 70,000 Quran Pak Parhey Hein Inn Per Mujhey Koi Ajr Nahi Miley Ga, Jabkeh Aap Ki Zindagi Ki Ek SUBHANALLAH Bohot Hi Qeemti Hey……..(Jab Koi Musalman Apni Zindagi Mein Ek Dafa SUBHANALLAH Kehta Hey Tau ALLAH TABARAK WA TA'ALA Jannat Mein Uske Liye Ek Bohot Barra Darakht Laga Detey Hein Jiska Sayah Itna Barra Hota Hey Keh Agar Ek Arbi Nasal Ka Ghorra 500 Saal Tak Bhi Us Darakht K Saey Mein Dorrta Rahey Tau Uss Darakht Ka Saya Khatam Na Ho. Agar 100 Dafa SUBHANALLAH Keh Dia Tau 100 Darakht Aur Us Sey Ziadah….1000, Laakh Ya Puri Zindagi SUBHANALLAH, SUBHANALLAHh Kehta Raha Tau Kitney Darakht Lagain Ge Jinka Koi Shumar Nahi Issi Tarah Aur Aamaal Bhi Hein)………Buzurg Ne Sahib-E-Qabr Se Farmaya Keh Mujhey Yeh Soda Manzoor Nahi, Tum Apne 70,000 Quran Apne Paas Rakho, Meri Ek SUBHANALLAH Bohot Qeemti Hey, Yeh Mein De Nahi Sakta.

ALLAH TABARAK WA TA'ALA Mukhtalif Adwar Mein Mukhtalif Waqeyat K Zerey Logon Ki Rahnumai Farmatey Rehte Hein Takeh Logon Mein Achhey Aamaal Ka Shoq Peda Ho Aur Who Apni Jannat Ko Mazeed Khoobsurat Bananey K Liye Ziada Se Ziadah Achhey Aamaal Karain, ALLAH TABARAK WA TA'ALA Mujhey Aur Tamam Musalmano Ko Ziadah Se Ziadah Achhey Aamaal Kerney Ki Taufeeq Ata Farma'ain Aur Burey Aamaal Se Bachney Ki Taufeeq Ata'a Farma Ain. Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196288 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.