Ma'zaah

(Chiraghdeen, Karachi)

Mazah Ek Insani His Hey. Her Shakhs Chahta Hey Keh Kabhi Kabhi Hanse Aur Hansae Aur Usk Liye Wo Latifey Suntan Aur Sunama Hey. Log Samajhtey Hein Keh Latifa Usi Waqt Achha Hoga Keh Jab Usmein Kisi Ka Mazaaq Urraya Jaey, Kisi Ki Zaban Ya Lehje Ko Target Kia Jaey, Jhoot Bola Jaey, Dhoka Dia Jaey. Magar Yeh Sab Batein Ghalat Hein. Mazaah K Liye Yeh Sab Kerne Ki Zuroorat Nahi……..Agar Yeh Sab Karain Ge Tau Samney Wala Thori Deir K Liye Hans Tau Jaey Ga Magar Kehne Wala Gunahgar Hoga. Behter Hey Keh Aisey Latefe Aur Clips Banaey Jaein Jismen Na Tau Kisi Ki Zaban, Lehja, Ilaqa, Shak O Surat Ko Target Kia Jaey Na Hi Koi Jhoot Bola Jaey.

Hamarey Nabi (S.A.W.) Bhi Mazaah Fermaya Kertey They Magar Shari'yet-E-Mutahira K Ander Rehtey Howe. Iski Missal Per Ek Waqey Sonata Hoon, Aap Ne Bhi Suna Hoga Keh Ek Roz Ek Burrhi Aurat Rassol-E-Pak (S.A.W.) Ki Khidmat-E-Aqdas Mein Hazir Hui Aur Puchha Keh Ey ALLAH K Nabi (S.A.W.) Kia Mein Jannat Mein Jaoon Gi Tau Aap (S.A.W.) Ney Farmaya Keh Koi Burrha Jannat Mein Nahi Jaeyga. Wo Aurat Yeh Sun Ker Pareshan Hogai Magar Iss Se Pehley Keh Wo Aurat Mazeed Pareshan Hoti RASOOL-E-PAK (S.A.W.) Ney Muskurat-E-Huwe Farmaya Keh Jannat Mein Sarey Jannati Jawan Honge. Yani Koi Bhi Shakhs Dunya Mein Kisi Bhi Halat Ya Umar Mein Inteqal Karey Wo Wahan Hoga, Ek Riwayet K Mutabit (ALLAH Ta'ala Kami Beshi Muaf Farmaey) Jannatiyoon Ki Umar 14 Baras K Lag Bhag Hogi, Sab Jawan Honge Aur Kisi K Chehrey Per Darrhi Na Hogi Aur Sab Ka Qad Kei Guna Barra Hoga. RASOOL-E-PAK (S.A.W.) Ka Jawab Sun Ker Borrhi Aurat Khush Hogai Keh Wo Bhi Na Sirf Yeh K Jannat Mein Jae Gi Balkeh Wahan Wo Jawan Bhi Hogi…Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ne Na Jhoot Bola, Na Kisi Ki Tazheek Ki Balkeh Baat Bhi Kehdi Aur Usmein Mazaah Bhi Peda Kerdia. Agar Ham Log Bhi Aisa Mazaah Logon Ko Dein Jis Mein Kisi Ki Tazheek Na Hoti Ho And Jhoot Bhi Na Ho Tau Phir Insha ALLAH Her Sunney Walk Khush Hoga Isliye Keh Us Mazaah Mein Kisi Ki Bhi Koi Burai Na Hogi Aur Jhoot Bhi Na Hoga. Ummeed Hey Khas Ker Comedians Iss Baat Ka Khas Kheyal Rakkhein Ge. ALLAH Amal Kerne Ki Taufeeq Ataa Fermaey. Aameen.
 

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 197892 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.