Pehli October Hum Ne Buzarghu
Kay Naam Kar Dee Baqi Saal Aish Karo Ye Gori Chamree Walay Bee Ajeeb Hein In Kay
Pass Zyda Time Nahi Is Liye Apni Nanhee See Zindaghi Mein Har Cheez Ko Saal Mein
Serf 24 Ghantay Detein Hein Jabh Kay Hum Jabh Tak Un Bazrghu Se Jahrro Ya Chapal
Na Kha Lein Hamaray 24 Ghantay Guzar Kay Hee Nahi Detay.Jabh Kay Wahan Har Kisam
Ki Izzat Or Beizaaty Ka Din Muqarer Hay Jabh Kay Ham Bila Nagha Khud Se Tyaar
Rehtein Hein.Hamray Koi Makhsoos Din Nahi Kay Iss Din Saas Se Ya Bv Se Jhaar
Khani Hy Us Din Office Mein Zaleel Huna Hay .Jabh Kay Gorra Ye Sabh Kaam Bhut
Hee Discipline Se Krta Hay Bewaqat Ki Raaghni Usay Pasand Nahi.Ya Bee Kia
Zindeghi Hay Kay Har Kaam Hu Time Par Ek Nawjawaan Ki Shadi Hu Gai Pehlay Wo Har
Waqt Afsurrda Rehta Tha Kuch Aci Halat E Zaar Thi Kay Baqowl Shaier Roz Subah
Huty Hay Shaam Huty Hay Zindeghi Yun Hi Tamaam Huty Hy,,,Shaadi Kay Baad Roz Bv
Se Izzat Ka Postmartum Krwanay Kay Baad Sheir Yun Hu Gia Roz Subah Huty Hay
Shaam Huty Hay Izzat Yun Hee Tamaam Huty Hay,,,Ye Humaray Buzargh Is Sab Se
Guzaar Chuckay Tabh Hii Tu Inhein Mout Se Zra Bhar Daar Nahi Laghta Q Kay Har
Kamiyaab Shaks K Peechay Ek Orat Huty Hy Or Nakaam Shakkss K Pechay Bhut See
Ortein,,,