Saffar Hay Shart

(hukhan, karachi)

Geedar Ki Mout Aty Hay Tu Wo Saher Kaa Rukh Karta Hay Hamarii Shaamat Ayi Tu Ham Nay Safar Ki Niyat Kar Li .Ham Khushgawaar Mood Mein Kici Khushaal Lafanagay Ki Tarz Se Seety Baja Rhaya Thay Kay Dost Ne Poch Lia Bahi Khan Saab Tabiat Tu Theek Hay Iss Dour Pur Ashob Main Itni Zinda Dili Ham Bolay Bas Bahi Na Poch Ap Ka Ye Dost Bhut Jald Train Se Lahore Janay Wala Hay Wo Goya Huay Ticket Lainay Ki Hemat A Gai Hum Bolay Pasay Se Sab Khareeda Ja Sakta Hay Bahar Haal Us Nay Humaray Pahaar Jasay Huslon Ko Azmanay Kay Liye Safar Se Bee Zyda Ticket Kee Tyaari Kee Hedayaat Dein .Booking Office Par Ponchay Tu Shaitaan Ki Aant Ki Trah Ki Lambee Line Bas Humari Qismat Mein Shaeed Huna Nahi Tha Serf Chand Ghnton Kay Baad Hum Nay Ek Mardam Bezaaar Bazaahir Khatoon Numma Orat Se Ticket Lay Hi Liya.Waqte Rukhsati Train Loghun Kay Hajoom Mein Bhut Mushkil Se Dhundee Gai Uss Ne Waqt E Ruksut Asa Bura Sa Horn Bjaya Kay Laga Train Kay Haan Koi Moiyet Hu Gai Hu,,,,Jabh Us Ne Kaharama Kharama Chalna Suro Kia Hamein Laga Lahore Hunoz Door Aasst Train Kay Andar Musafer Asay Laday Huay Thay Kay Jasay Akhbaaraat Ki Thapian Lagi Hun Kici Ka Bacha Kici Ki Godh Mein Kici Ka Shohar Kici Or Ki Bv Say Daant Kha Rha Hay,Bv Shoahar Ko Bahi Bahi Keh Rhi Hay Bahi Seat Kay Nechay Dubhka Para Hua Hay.Humein Mehsoos Hua Kay Kay Hum Gymnastics Seekh Gaye Hein Humara Paon Hamaray Kaan Kay Pas Tha Baad Mein Pata Chala Kay Wo Tu Kici Ki Lakri Ki Tangh Hay Ju Us Nay Utaar Li Thi Hum Ne Pocha Bahi Iss Ki Malish Kasay Krtay Hu Uss Nay Humein Asa Ghora Jasay Bv Shohar Ko Dahee Ki Jgah Achaar Lay Anay Par Ghoorty Hay Bahhar Haal Hum Nay Iss Beadbi Ko Nzaarandaaz Kar Dia Wo Sahib Bolay Bahi Mein Iss Lakkri Ki Tangh Ki Malish Nahi Polish Krta Hun.Train Walon Nay Asa Khana Diya Kay Hum Nay Bzaaher Waiter Se Pocha Bahi Ye Cook Bahi Pehlay Kaha Pakaya Krta Tha Tu Wo Bola Mamoli Cook Nahi Hay Ye 23 Saal Jail Mn Khana Pakata Rha Hay Ju Kici Se Nahi Maan Kay Deta Tha Ya Munh See Laita Tha Is Kay 2 Khanoo Kay Baad Hee Asay Far Far Bolta Tha Kay Apnay Dada Kay Jurrm Bhi Bata Deta Tha .Baas Dostu Ubh Or Husla Nahi Wo Sab Yaad Karnay Ka ,,,Kabi Husla Hua Tu Dastaan E Alaam Sunaown Ga.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1196878 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.