Humaree Society Mein Bee Bilii
Chohay Kay Chomakhy Khel Ki Tra Bhut See Ghantion Ki Zrorat Hay Bas Ye Ghantee
Kon Bandhay Ga Ya Ye Ghantee Kis Kay Galay Par Skty Hay Ys Ek Asa Sawaal Hay Jis
Se Humaray Mashray Kaa Mustaqbil Jurra Hua Hay.Iss Mein Koi Shak Nahi Kay Hum
Min Hasulqom Pastee Ki Janab Ja Rhay Hein Humaree Mashree Mazhabee Aqdaarein
Tabahee Ki Traf Ja Rhaein Hein Pehlay Larki Kay Reshtay Kay Liye Hasab Nasab
Taleem Tarbiat Ko Janchaa Jata Tha Ubh Serf Ye Pocha Jata Hay Kay Larka Kitna
Kamata Hay Kasay Kamata Hay Iss Se Bhut Kam Sarokaar Rkha Jata Hay.Bahuu Chaand
See Chaiye Baita Beshak Langhoor Numa Hu Larki Kitni Bee Pohaar Qun Na Hu Iss Se
Farq Nahi Parta Bas Fair And Lovely Hu.Shaer Kee Sarkon Par Trafic Ko Dekh Lo
Qom Kay Mezaajh Ka Pata Chal Jata Hay Har Shkas Itni Jaldee Mein Huta Hay Jasay
Aagh Bujhnay Ja Rha Hu.Police Kay Mehakmay Ka Ya Haal Hay Jasay Shaer Kay Saray
Criminals Ko Sarkaar Nay Bharty Kar Lia Hu Bina Pasay Kay Ap Police Ki Nokery Ka
Tasawr Bee Nahi Kar Sktay.Kici Bee Sarkaree Daftar Chalay Jaiye Jabh Tak Ap Apni
File Ko Curancy Wheel Na Laga Dein Mjaal Hay Kay Wo Ek Inch Bee Safar Kar Sakay
.Ubh Tu Maa Baap Ko Bee Wo Bacha Acha Laghta Hay Ju Kamaow Hu.Humaray Iss Islami
Mashray Ko Asa Badnuma Krnay Ki Koshish Ki Ja Rhi Hay Kay Shadi Biah Ko Namood O
Numaish Kay Chakar Mein Intehaie Mehnga Or Khthaan Kar Dia Hay Khas Kar Larki
Walay Izzat Or Waqar Ko Qaim Rkhnay Kay Chakar Mein Iss Qadar Maqrooz Hu Jatein
Hein Ki Un Ki Naslein Ye Qarz Utaartey Borhi Hu Jaty Hein Pr Ye Qarz Bank Kay
Loan Kee Trah Khtam Hu Kay Nahi Deta.Ye Or Aci Bhut See Ghantiaan Hein Ju Bajh
Rahein Hein Pr In Ko Na Koi Bandh Skta Hay Na Hee Bjhnay Se Rok Skta
Hay.Humaraee Nai Nasal Bhut Kam Nai Technology Ka Sahi Istemaal Kar Paa Rhi Hay
Hum Ney Kabootar Ki Trah Ankhein Band Kar Lein Hein Magar Khutra Apni Jagah Na
Serf Majud Hay Balkay Iss Mein Jaan Leva Izafa Hu Rha Ay Agar Hum Apnay Nisab E
Taleem Ko Practical Kar Lein Apnay Ajh Or Anay Walay Kal Par Ghor U Fiqar Kerein,
Teacher Maidaan E Amal Mn Sahi Manun Mein Naujawano Ki Rehnaumaie Kaerin ,Humaray
Buzargh Dost Ban Kar Samanay Ayein Cheezon Ko Un Kay Sahi Waqt Or Moqa Par Asaan
Or Sahel Bnaien Tu Iss Mn Koi Shak Nahi Ye Ghantain Na Serf Bandh De Jaien Gee
Balkay Har Koi In Ko Billi Kay Galay Mein Bandhnay Par Tyarr Hu Jaye Ga, Pewasat
Reh Shajar Se Umeed E Bahaar Rakh.