Saffar Sumaal Kay(Episode11)
(hukhan, karachi)
hukhan,writer,author,tourist
June Ka Sorajh Asay Aag Barsa
Raha Tha Jasay Wo Usa Hu Or Hum Sab Torra Borra Kay Pahaar Hun Jis Ko Dekhu Munh
Laal Ya Pher Kala Dosra Koi Or Color Nazar Nahi Aa Raha Tha Train Mein Sab Kuch
Tha Bas Hawa Or Pani Kaa Naam U Neshaan Naa Tha Lagh Raha Tha Hum Sab Train Mein
Nahi Thaar Kay Regestaan Mein Hay Agar Ap Ko Humara Dard Mehsoos Karna Hu Tu
WALLAH June Mein Train Ki Economy Class Mein Zror Saffar Kijye Ga ,,,,Hum Bee
Dekhein Gay Aap Mein Kitni Himmat Hay Agar Aap Hosh O Hawaas Mein Rahay Tu Aap
Ko Dheet Hunay Ki Sanad Ata Ki Jaye Gee.Train Baar Baar Rukty Thee Pata Nahi
Chal Chal Kar Ya Fer Ruk Ruk Kar Rukty Thee Kuch Samajh Nahi Aa Raha Tha Humaree
Samajh Wesay Bee Koi Qabil Fakhar Nahi Hay.Hum Nay Ju Khabh Ankhon Mein Sajaa
Rakhay Thay Wo Dhundlay Hutay Hutay Ghaieb Huna Shuro Hu Gaye Thay .Samnay
Baithay Huay Baray Sahib Ju Dil He Dil Mein Humaray Iss Saffar Or Train Ki
Harkaton Ki Waja Say Bhut Khush Thay Unn Ka Khiyal Tha Hum Say Koi Bari Khata
Sarzad Ki Hu Gee Iss Liye Iss Train Mein Sawaar Huay Thay Par Hum Kia Kahtay
,,,Dewwano Ki Batein Dewwanay Jantein Hein Iss Saffar Mein Kia Maza Hay Ye Humm
Parwaanay Hee Jaantay Hein.Train Ekk Kici Bilii Ki Dumm Dubh Janay Wali Awaaz
Kay Sath Ruk Gai Naved Nay Kaha Engine Gia Kaleem Nay Munh Bana Kar Naved Ko
Dekha Baba Ji Bolay Lo Kar Lo Gal,,,Aye Kal Hee Ponchaye Gee ,,,Sohail Bolay
Baba Jee Achi Achi Batein Karni Chaiye Baba Bolay Wada Siana Train Nu Keri
Punjabi Samjh Anni.Sohail Ko Baba Ji Ka Jawab Pasand Na Aya Wo Simran Kay Khabh
Dekhnay Mein Mashghool Hu Gia Naved Ko Washroom Jana Tha Bola Yaar Jutta Kaha
Hay Fer Humaree Traf Dekh Kar Bola Khan Saab Ye Bee Koi Kha Gia Mein Kuch Bolta
Naved Khud Hee Bola Pata Nahi Yahan Mera Knsa Sala Ya Sali Hay Ju Jutta Chuphaie
Ki Rasam Kay Chakar Mein Hay Kaleem Bola Wesay Naved Kitnay Pasay De De Ga Saali
Ko Naved Nay Laparwaie Say Kaha De Dun Ga Hazaar Ya Panch Soo Tak Sohail Bola
Itnay Mein Tu Asay 12 Juttay Aa Jaien Gay Naved Nay Gold Leaf Ka Kash Lia Or
Kaha ,,Jasa Munh Wesee Baat Hum Bolay Yaar Sohail Ka Munh 1000 Tak Hu Ga Kia
....Munh Na Matha Jin Pahron Latha,,,Sohail Nay Kaha Acha Bahi Meray Munh Kay 12
Rupay Kam Kar Lay Khush Hu Ja (Jaaree Hay)