Ajh Kal Pak India Cricket Ki
Kat Pat Bhut Zoron Par Hay Pakistani Borad Bechara Ghreeb Ki Bewa Ki Tra Indian
Board Ki Minat Samajat Kar Raha Hay Pata Nahi Katrina Kareeena Ashyriya Rai Ki
Tra Indian Cricket Board Ki Adaein Kam Hu Kar Nahi Dety Pakistan Cricket Board
Zidi Mehboob Ki Tra Uss Ki Ek Han Ko Taras Saa Gia Hay,,,Uss Ki Adaaein Khatam
Nahi Huty Humaray Sabar Ko Wo Azmaatay Hein Baar Baar Hazaar Baar.Humaray Board
Walay Daily Apnay Cell Phone Mein Balance Daal Kar Kabi Miss Bell Or Kabi Pori
Call Kar Kar Kay Halkaan Hutay Ja Rahay Hein Magar Kambakht Nazuk Mizajh Indian
Board Kay Paier Zameen Par Hee Nahi Partay Shaied Wahan Ki Abaadee Bhut Zayda
Hay Jabh Bee Paon Parta Hu Ga Koi Na Koi Ghreeb Indian Paon Talay Kuchla Jata Hu
Ga Kuch Saal Pehlay Salman Khan Nay Kahien Say Muft Shraabh Zayda Pee Lee Or Us
Nay Footpath Par Soye Hu Ghreeb Indians Ko Kuchal Dala,,,,Wo Pee Kar Or Bee
Zalim Hu Jata Hay Free Ki Sharbh Mein Ghazab Ki Masty Hay ,,,,,,,Pakistan
Cricket Board Rota Hay Pitaa Hay Magar Indian Board Ek Zara See Candal Jala Kar
Khud Khamoshi Say Pakistan Cricket Ki Full Time Tafree Laita Hay Pakistani
Mayuss Hu Kar Zara Sa Ghusa Kartein Hein Waha Ka Koi 2 Number Wazeer Jis Ghareeb
Ki Ghar Mein Koi Nahi Sunta Wo Bol Deta Hay,,,,,Hum Samjhtay Hein Dono Deshon
Kay Beech Cricket Kay Sambhand Hunay Chaiye,,,,,,,,,,Bas Ye Khabar Pakistani
Media Nach Nach Kar Sunata Hay Fer Humray Chairman Saab Subah Uthtay Hee Guzshta
Raat Kiye Gay Ghusay Ko Haraam Qaraar De Detay Hein Chairman Saab Shave Kar Kay
Gel Laga Kar Muskara Kar Umeed Kay Diye Jalaa Laitay Hein Ajh Kal Ye Bhut Bari
Khabar Ya Karnama Samjha Ja Rahay Hay Kay Kis Kay Dour Mein Pak India Cricket Hu
Sakay Gee Ya Yay Jhanda Kon See Management Ya Hakoomat Gaarh Sakay Gee,,Sharam
Tum Ko Nahi Aty Magar .Pakistani Team Agar India Say Cricket Nahi Khalay Ge Tu
Cricket ,Players,Board Sab Bhookay Mar Jaien Gay .Asay Rizaq Say Mout Achee Jis
Say Aty Hu Parwaaz Mein Kotahee.Pakistan Cricket Board Apni Jagah Atal Khura Hu
Jaye Ek Asa Principal Stand Lay Jis Mein Qawaaneen Ka Pass Rahay Izat Nafs Be
Majhroh Na Hu Agar Humaray Mulk Mein Security Concerns Hein Tu Kuch Arsaa Hum
Sabar Kar Lein Sath Sath Hum Apnay Ghar Ko Behtar Kar Lein Iss Mein Koi Qabahat
Nahi Hay Agar Indian Board Kahien Par Bee Khelnay Ko Tyaar Nahi Tu Pakistan Bee
India Na Jaye Kha Koi Bee Muqablay Hun ,,,,Kuch Tu Asaa Kar Jis Say Rooh E Qaid
Bee Ek Baar Hee Sahi Par Muskaraa Tu Ley.