Abhee Tu Mein Jawaan Hun

(hukhan, karachi)

Sada Bahaar Jumla Ju Har Borha Bolta Magar Ye Jumla Bohraa Nahi Huta Har Dhalty Umar Kay Insaan Ko Kha Mard Hu Ya Orat Ye Jumla Bhut Aziz Hay Jabh Bee Koi Taqat Ya Aqal Kaa Muzahera Kiya Jaye Ye Jumla Zuban Par A Jata Hay Hukoomat Bee Ju Taqat Yeni Power Mein Hu Asa Bol Kar Oposition Koapnay Muscle Dekhaty Rehty Hay Uss Par Tanqeed Ki Jaye Tu Itnay Project Genwaa Dety Hay Kay Awaam Samjhnay Laghtay Hein Kay Wo Shaied Usa Ya Grt British Kay Shaeri Hein Jabh Un Say Taleem Bijli Sehat Pani Ki Baat Kro Tu Wo Pechli Hakoomat Par Sara Ilzaam Daal Kar Bariuzima Hunay Ki Koshish Kartein Hein Hakomat Mein Anay Kay Baad Aqsar Loghun Ka Marghoob Mashghala Shadian Huta Hay. Qun Kay Hakoomat Ek Asa Tonic Hay Ju Inn Ko Sadaa Jawaan Rakhta Hay .Hum Nay Hakeem Jalebi Khan Say Pocha Kay Sada Jawaan Kasa Raha Jaa Sakta Hay Wo Jhat Say Bolay Bas Gonghay Behray Ban Jao Sada Jawaan Rahu Gay Hum Bolay Wo Kasay Hakeem Bolay Bas Apnay Andar Ki Awaaz Na Suno Khass Kar Zameer Bahi Ki ....Hum Bolay Asa Kasay Mumkin Hay Wo Bolay Jao Kici Be Wazeer Say Poch Lo Wo Nuskha Bata De Ga Kay Gongha Behra Kasay Hua Jata Hay Hum Bolay Asee Jawaani Kis Kaam Ki Wo Bolay Ye Jawani Nahi Nadaani Hay Qabar Kaa Haal Murda Janta Hay Ye Bay Zameer Logh Zinda Nahi Hein Ye Apni Qabron Mein Laawaris Paray Rhaein Gay Koi Pochnaya Wala Nahi Hu Ga ,,,Ek Fateha Bee Naseeb Naa Hu Gee Teri Asee Akher Hu Gee,,,,,Hum Bolay Hakeem Saab Asa Ghusa Kis Liye Wo Bolay Saree Umar Ye Humaree Jaibein Garam Kartein Rehtein Jawani Kay Chakar Mein Bas Sada Jawaan Rehhna Hay Tu Achay Lazwall Kaam Kerin Loghun Ki Naa Serf Yadon Mein Zinda Rahein Gay Balkay Un Ki Duaown Say Sada Jawaan Bee Rahein Gay Lakhon Fatehaa Bee Naseeb Hun Gee ,,,Kici Ghareeb Ki Dua Lay Kar Tu Dekhu Na Dawa Na Hakeem Fer Bee Sab Mil Jaye Ga,,,,,Insaan Bee Ajeeb Cheese Hay Masnoi Life Kay Pechay Bhaghta Rehta Hay Pasay Orat Garee Mein Khushiaan Dhundhta Rehta Hay Ass Pas Loghun Say Mehroom Hu Jata Hay,,,,,Fana Hunay Ki Tyaree Hay Jaan Lay Bhut Jald Teri Baari Hay-

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254145 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.