WESAY Tu Pakistanio Kay Liye
Koi Bee Chese Tazee Reh Jana Ya Mil Jana Bazaat E Khud Ek Khabar Mein Ek Khabar
Hay.Kia Mehanghaie Kia Sailaabh(Flood)Ki Tabah Karaian,Badamni Kici Bee Khabar
Mein Koi Tazghee Naa Rahee Magar Pher Bee Kuch Khabarein Asee Hein Ju Bhut Taza
Balkay Kaie Dafa Apni Tazghee Ki Waja Say Jhooty Lagnay Laghty Hein.Pakistan
Mein Tazaa Khabar Ki Defination Serf Ye Reh Gai Hay Kay,,,Koi Bee Achee See
Khabar Sunaa De Meray Kanoo Ki Ronaaq Lotta De,,,,,Yeni Koi Bee Achee Kahabr
Humaray Liye Bilkul Tazaa Khabar Ban Jaty Hay Tazaa Khabar Kaa Taluq Banday Kay
Standard Kay Hisabh Or Khabr Kay Grade Ya Maqboliat Ki Nature Sy Huta Hay Hum
Apnay Parnay Walon Ko Samjha Detay Hein ,,Banda Agar Sarkaree Mulaazim Hay Tu
Uss Ki Deharee Mein Izafa Kar Diya Jaye Tu Iss Kay Liye Taza Khabar,,,Banda Agar
Assembly Ka Member Hay Uss Kay Allowance Ya Commision Mein Izafaa Hu Jaye Tu Uss
Kay Liye Tazaa Khabar Hay,,Agar Koi White Collar Mujhrim Nahi Balkay Sherwaani
Collar Mujhrim Hay Tu Apnay Jasay Police Officer Ki Area Mein Posting Uss Kay
Liye Tazaa Khabar ,,Agar Ustaad Hay Tu Achee See Tuition Or Nalaieq Tareen
Student Uss Kay Liye Tazaaa Kahabr,,,,Banda Agar Zayda Ya Yun Keh Lein Bhut
Zayda Shadi Shuda Hay Us Ki Bv Ka Lambay Arsay Kay Liye Apni Jesee Orat Kay Ghar
Qiyaaam Yeni Bv Ka Apni Ammee Kay Han Daira Daal Laina Mazloom Kay Liye Tazaa
Khabar,,,Awaam Ko 29 Din Pehlay Sey Bata Diya Jaye Kay Petrol Bijli Gas Poray 25
Pasay Kam Hu Jaye Gee Uss Kay Liye Tazaa Khabar.Pakistani Hakoomat Or Awaam Kaa
Aps Peshawar Kay Sanihay Kay Baad Akhatay Hu Jana Ekk Taza Khabar.Koi Tv Taakray
Mein Ye Keh De Kay Establishment Or Jamhoori Hakoomat Ek Page Par Hay Ye Bee Ek
Tazaa Khabar. Agar Khbar Kuch Iss Traa Ki Hu Kay Sarkaree Mulaazim Kaam Karnay
Laghay Hein Tu Ye Bee Tazaa Khbar Ki Hee Darjay Mein Aty Hay.Paksitani
Politician Ubh Corruption Nahi Karein Gay Ye A Grade Tazaa Khbar Kehlaty Hay
Magar Iss Kaa Doraania (Period Or Duration)Bhut Mukhtaser Saa Hee Huta Hay.Taza
Khabar Ka Taluq Ubh Time Sy Nikal Kar Nature Par Hu Chalaa Hay Dekhtein Ankh Or
Kaan Ko Ye Khushnaseebi Kab Hasil Hu Paaty Hay.