P I A OR Pakistan Dono Mein Ek
Qadar Common Hay Dono Ka Start Bhut Acha Tha Magar Rastay Mein Dono Ki Parwazein
Sahi Take Off Naa Kar Sakein Ajh P I A Kay Mlaazim Sarapa E Ehtejhagh Hein Ajh
Tu Karachi Mein 2 Fard Haalak Bee Hu Gaye Du Khandaan Tabah Hu Gaye Bachay
Yateem Hu Gaye Kal Tak Ju Suhaaghan Thee Ajh Bewwaa Hu Gein Kuch Ansoo Ju Ankhon
Kay Dour Kici Goshaay Mein Gum Thay Wo Bah Gaye Hun Gay Oragi Town Mein Ek Shadi
Haal Mein 1 Bachi Jis Ki Umar Serf 6 Bars Thee Jis Nay Abhee Sahi Se Bolna Or
Sochna Bee Shuro Nahi Kia Hu Ga Us Ko Behurmat Kar Kay Qatal Kar Dia Bahut See
Maaein Apni Bachion Ko Seenay Se Laga Kar Serf Ye Soch Rahein Hun Gee Kay Janay
Kab Unn Kay Kalajhay Kay Tukray Ko Cheen Kar Noch Na Diya Jaye ,,,Har Traf Khoon
Ki Laali Hay Izaaton Kee Bee Pamaali Hay Janay Kal Kis Ki Baari Hay ,, .Iss Liye
Hum Nay Ye Mulk Hasil Kiya Tha Iiss Liye Humaray Buzarghun Nay Qurbaania Dein
Thee Kitni Izzatein Ajh Par Qurbaan Kee Hun Gee,,,,Kia Munh Dekhow Gay Jabh
ALLAH Kay Hazoor Pesh Kiye Jao Gay.Hakkomat Hun Yaa Awaam Dono Hee Behisee Ki
Mairaajh Ko Chu Rahay Hein P I A Hu Steel Mill Hu Railway Hu Sab Ko Awaam Or
Hakoomaton Nay Noch Noch Kay Khaa Lia Ajh Ye Oxygen Tank Say Hut Kar Hee Nahi
Detay Koi Kaam Karna Hee Nahi Chahta Koi Iss Ko Apna Hee Nahi Samjhta Ubh Sab
Sarkon Par Hein Hakoomat Bee Inn Kay Mulaazim Bee Jabh Wo P I A Ki Hadian Noch
Noch Kay Khaa Rahay Thay Tabh Kici Ko Ehsaas Naa Tha Kay Qaroon Ka Khazana Bee
Ek Din Khali Hu Jata Hay Millions Of Rupee Kay Salanaa Khasaray Mein Janay Wala
Edara Mulki Maishiat Par Safaied Hath Ki Tra Thaa Koi Tu Sochta Wo P I A Ki Nahi
Pakistan Ki Hadian Noch Rahay Hein Hakoomat Bee Asee Asee Siasee Bhartian Karty
Rahee Kay Ju Sooted Booted Daku Thay,,,Chore Ko Hee Koutuwaal Bana Dia Hay Shaer
Ka ALLAH Hee Hafiz Ajh Dono Pareeshaan Hein Kay Asay Halath Se Kasay Nipta Jata
Hay Na Hakoomat Ko Pata Hay Naa Hee P I A Kay Mulaazmeen Ko Pata Hay,,Har Jhaaaz
Mein Uloo Baitha Hay Anjaam E Parwaaz Kia Hu Ga