Hum Din Mein Kaiee Dafa Ye
Jumla Suntay Hein Kay Maaf Kijiye Ga Angrez Qunkay Zara Masroof Rehtay Hein Wo
Serf Sorry Keh Kar Daein Baein Hu Jatay Hein Magar Humaray Yahan Zara Culture
Badlata Jaa Raha Hay Iss Ki Waja Humaree Hakoomatein Hein Wo Ju Koi Bee Ghaltee
Karein Kabi Ye Nahi Khtay Kay Maaf Kijiye Ga Balkay Wo Ye Kah Kar Jaan Bacha
Latay Hein Kay Ye Sab Pechli Hakoomat Ka Kiya Dhura Hay Jabh Kay Un Hee Ki
Hakoomat Pechlee Hakoomaton Mein Bee Shumaar Hu Rahee Huty Hay .Hum Ap Ko
Demostration Say Samjha Detay Hein..Bijli Nahi Hay,,,Pani Nahi Hay ,Aman O Amaan
Nahi Hay,,Mehanghaiee Hay,,,,Rozghaar Nahi Hay,,,,Taleem Nahi Hay,Sehat Nahi
Hay,,,,Gas Nahi Hay,,Merit Nahi Hay,,,,Ye Sab Problems Pechlee Hakoomat Ki Waja
Say Hein Hum Ko Ye Sab Kuch Versay Mein Hee Tuu Mila Hay Ju Hum Anay Wali
Hakoomat Ko Dey Kar Jaien Gay Har Hakoomat Ko Ek Sab Sey Zayda Hunay Wali
Khushfehmi Ye Bee Hay Kay Unn Ko Awaam Mein Bhut Maqbooliat Hasil Hay Iss Liye
Aghlay 5 Saal Fer Sey Un Hee Ki Lotry Hay,,,Pm Sahib Ko Asay Kiya Infomation Dee
Jaty Hein Kay Jin Ki Waja Say Wo Khud Ko Saree Umar Kay Liye Wazart E Uzmaa Par
Faiez Samjhnay Laghtein Hein Iss Ki Chotee See Misaal Ye Hay Kay Pm Sahib Ko Ye
Info De Gai Kay Aloo 5 Rupay Kilo Hein Bas Ap Iss Baaat Sey Andaza Laga Lijiye
Kay Aas Paas Konsay Logh Hein Fer Agar Wo Kici Bee Ghalty Par Maaf Kijye Ga Nahi
Kahtay Tu Un Se Zayda Masoom Kon Hay .Duniya Ki Taqatwar Tareen Hakomoton Kay
Logh Un Kay Leader Sorry Keh Latay Hein Wo Gordon Brown Hu Ya Obama Magar
Humaree Chotee Chotee Naak Walay Logh Apni Naak Par Makhee Nahi Bathnay Detay
Naaa Hee Mazee Se Sabaq Latay Hein Awaam Bee Asee Kay Un Hee Kay Waree Sadqay
Jaty Hay Kash Awaam Hee Kuch Asee Jurat Mand Ban Jaye Kay Jabh Wo Hee Chahray Un
Kay Darwazay Per Vote Manghnay Ayein Tu Bas ,,,,,,,,,Maaf Kijiye Ga,Keh Dein Bas
Ek Dafa Hee Sahi.,,,,Mein Kia Karon Meray Halaath Hee Nahi Badaltay,,,,Shaied
Mein Hee Hun Qasoor Waar Hun,,,,,Fer Bee Bas Khudara Mujhay Maaf Kijiye Ga