Sochta Hun Wo Asa Manzar Kaha
Say Laon ,,,Bahaar See Muskarahat Kaha Say Laon,,,,Janay Wo Chahra Uss Ki Udaasi
Kasay Bhulaown,,,,,Uss Kay Labun Ki Muskarahat Kasay Lotaown,,,Uss Kay Haseen
Palon Ka Qarz Mein Kasay Lotaown,,,,,Uss Ki Shabh Roz Duaon Ko Kasay
Bhulaown,,,,,Uss Kay Motee Jasay Ansoo Ankhon Ki Amanat Kasay Lotaown,,,,,Mein
Ye Sochtay Huay Heeraan Tha Kay Zendeghee Lamhon Mein Agay Bar Jaty Hay Insaan
Uss Tezee Sey Agay Nahi Bar Pata Isi Liye Insaan Zendeghi Sey Pechay Reh Jata
Hay.Kal Ki Hee Baat Hay Maa Ki Godh Ki Garmee Chand Ki Chandni Sey Bee Thandee
Laghty Thee Jasay Hee Uss Garmee Ko Maan Mein Basaya Tu Godh Choty Par
Gai,,,Bahaar Ayee Phool Hee Phool Fer Sawan Fer Andhee Khizaan Baar Baar Ye
Manzar Insan Kay Samnay Dhuraye Janay Lagay Asa Laghnay Laga Jasay Ubh Ye Sab
Manzar Hamesha Sey Zaat Ka Hisa Hu Gaye Fer Pata Chala Manzorn Ki Tra Kay Maa
Bee Bewafa Huty Hay ,,Usay Jitna Kahau Kay Maa Mein Ubh Bee Andharay Say Darta
Hun,,Maa Wada Karo Ap Baba Ki Tra Chore Kay Asmano Par Nahi Jao Gee Baba Kitna
Bee Bulaein Magar Wo Shohar Ki Chokhat Par Qurbaan Hunay Ayee Thee Bhula Meri
Kia Sunty Baba Kay Pas Chali Gai Asmano Par,,,,Ubh Tum Taqatwar Hu Baba Bohray
Hein Un Ko Meri Zayda Zarorat,,,Mein Bilakta Raha Kehta Raha Cheekhta Raha Mein
Tu Khud Un Kay Kandhay Ka Sawaar Hun Un Ki Unghli Nay Raasta Manzil Thokar Se
Bachna Sab Sekha Wo Kasay Kamzoor Hu Saktay Magar Maa Bewafa Nikli Bahaar Kay
Pholon Ki Tra Chand Ki Chandni Ki Tra Raat Ki Raani Ki Khushbu Ki Tra Or Safed
Sey Lebaas Ko Ye Keh Kar Pehan Lia Kay Baba Nay Bee Ye Hee Rangh Akhir Mein
Pasand Kia Meri Bee Pasand Ubh Yee Hee Hay,,,,Pher Wo Bahaar Ki Tra Tiki Hee
Nahi,,,,,,,,,Or Chal Dee Fer Bahaar Tu A Gai Magar Wo Nahi Ayee.Bahaar Jabh Bee
Aty Hay Sath Bhut See Yadon Ko Lay Atay Hay. Ye Bee Haqiqat Hay Kay Har Yad Kay
Sath Juree Ek Kahani Har Kahani Kay Bhut Sey Kirdaar .Zindeghi Asay Hee Agay
Barty Hay Iss Kay Qadam Se Qadam Mila Kar Chalo Tu Kamiyaab,,,,Magar Bhut Say
Logh Jin Ki Raftaar Kam Hu Magar Ju Ap Kay Apnay Hun Wo Pechay Reh Jatay Hein
Unn Kay Raftaar Ahista Ki Jaaa Sakty Magar Tham Jana Asa Hee Hay Jasay Saans Ruk
Jaye,,,Ruk Janay Walon Ka Wajood Sab Par Bojh Ban Jata Iss Liye,,,,,, Mein Ban
Kar Tera Khiyaal Tray Wajood Say Bandh Jana Chahata Hun Hun Tujh Say Alagah
Magar Tray Sangh Rehna Chahta Hun,,,,Yaad Mein Tum Rehtay Hee Hu Magar Mein
Teray Gumaan Mein Bee Rehna Chahta Hun,,,,,Kitnee Ajnabee See Khahish Hay Magar
Iss Khaish Sey Bandhay Rehna Chahta Hun,,,,Ubh Rukhsatee Bahaarr Kay Baad Bee
Muskarana Chahta Hun.Agar Zendeghi Ko Sahee Sey Jeena Hay Or Muskara Kay Anay
Walay Waqt Ko Khushamdeed Kehna Hay Tu Zendeghi Ko Us Kay Har Lamhay Mein Geo
Sahe Waqt Par Sahi Fasalay Ap Kay Sfar Ko Asaan Kar Detay Or Thakaan Ko Bee Kam
Kar Detay Sab Sey Behtar Kamal Ya Kay Zendeghi Kay Har Rangh Ko Har Sitam Har
Rangh Har Gham Ko Geena Sekhu Zendeghi Kabi Subah Ki Tra Naram Kabi Raat Ki
Chnadni Ki Tra Pur Sakoon Kabi Sardee Ki Zard Shamon Ki Tra Ranjeeda Or Kabi
Sehra Ki Dhoop Ki Tara Jhulsaa Dety Hay Magar Ye Safar Malik A Kainaat Kay Hukam
Kay Begher Rukna Nahi Chiaye.Zendegi Mein Chotay Chotay Goal Bana Liye Fer
Kamiyabi Samatnay Kay Baad Iss Ka Chota Sa Jasahan Bee Zaror Manaiye.Har Pal Ko
Jeena Chahta Hun Har Lamha Khud Ko Khujhna Chahta Hun,,,,Apnay Andar Leader Ship
Ki Khasiat Paida Kijiye Agar Asa Mushkil Lagay Tu Acha Sa Leader Chunay Mein Hee
Maher Hu Jaiye Iss Tra Time Or Kamiyabee Dono Mil Saktay Hein.Chotee Chotee
Preshanian Asee Hee Hein Jasay Sarak Par Speed Breakers Bas Apni Raftaar Mein
Tabdeli Paida Kijiye Jhtkaa Naa Khaiye Or Matwazaan Safar Jaree Rakhiye.Tanqeed
Sa Na Gyhabraie Ghaltee Bee Kijye Qun Kay App Insaan Hu Farishta Nahi Magar
Ghaltee Na Dhuraaiye Qun Kay Ap Insaan Hein Shaitaan Nahi,Apnay Buzarghun Bachon
Doston Ko Hamesha Sath Rakhiye Qun Kay Yaad Rakhiye Kay Safar Mein Uktahat
Kamzori Ki Neshani Hay Humsafron Kay Sath Safar Hamesha Asasan Or Dilchasb Rehta
Hay Iss Liye Allah Nay Bee Juray Paida Kiye Qun Kay Wo Janta Hay Safar Mein
Humsafar Huna Be Had Zarori Hay.Kamzoor Loghun Ko Dekh Kar Bhaghiye Nahi
Taqatwar Ko Dekh Kar Dariye Nahi....Asa Na Hu Kay Ap Ko Dekh Kar Koi Ye Sheir
Paray,,Pehalwaan Ko Dekh Kar Dour Jata Hun Kamzoor Ko Dekh Kar Akar Jata
Hun,,Meri Tarbiat Dekhiye Ye Mein Kia Chahta Hun.Yaad Rakhiye Zendegi Guzarnay
Kay Liye Ap Ko Daily Kuch Khuraak Chand Kapray Or Chotee See Sawaree Darkaar Hay
Apnay Ajh Ko Kal Kay Liye Itna Qurbaan Na Kijiye Ga Kay Freezer Gosh Sey Bhura
Hu Magar Aap Na Hun Kahanay Kay Liye,,,Ajh Darya Ko Kozzay Mein Band Kiye Deta
Hun,,,,Kozza Na Bahaiye Ga Werna Abee Sey Sailaab Ki Khabar Deta Hun.