Saffar Shumaal Kay(Episode 76)
(hukhan, karachi)
nanagha parbat view from silk road
Hum Nangha Parbat Kay Sehar Sey
Baher Hii Nahi Nikal Paa Rahay Thay Jeep Agay Bar Gai Magar Hum Jeep Ko Sakhtee
Sey Thamay Daien Baein Hu Kar Nangha Parbat Ko Dhundhtay Rahay Kabi Wo Ek Jhalak
Dekha Kar Fer Sey Ghaieb Hu Jata Magar Dil Ko Ek Tasalee Thee Kay Kuch Din Or
Raat Kay Pal Hum Iss Kay Daman Mein Basar Karnay Walay Thay Or Iss Ka Deedaar
Din Raat Kay Har Pal Kar Paein Gay Sorajh Kee Pehli Kiran Iss Ki Chotion(Peaks)
Ko Jabh Chuaye Gee Tu Hum Iss Milaap Ko Dekhein Gay ,,,Teri Chandni See Barfon
Ka Hum Nazaraa Karein Gay,,,Uff Ye Nazaraa Hum Baar Baar Hazaar Baar Kerein
Gay.Jeep Musalsal Humein Tennis Ki Ball Ki Tra Uchaal Rahee Thee Samajh Nahi Aa
Raha Tha Kay Gurday Kaha Hein Or Liver Kaha Hay Sab Apus Mein Takraa Rahay Thay
.Kabi Kabi Sath Chltay Huay Teelay Par Khubhsorat Phool Nazar Aa Jatay Ajeeb Sey
Phool Bhut Hee Dilkash Jin Ka Pehlay Kabi Deedaar Na Hua Tha Isi Douraan Samnay
Sey 3 Jeeps A Gein Siah Nahgha Parbat Ki Yatraa Kay Baad Wapis Jaa Rhay Thay
Humaree Jeep Humaree Shadeed Khahish Kay Bawajood Kay Isay Teelay Ki Traf Kar
Kay Samnay Walon Ko Raasta Diya Jaye Magar Humaree Jeep Ko Khaiee Ki Janib Hee
Huna Par Giya Humara Dil Seenay Say Baher Anay Ko Tha Di L Kiya Kay Jeep Sey Hee
Utar Jaien Magar Hum Nay Anay Walay Jumlon Ko Life Threat Say Zayda Ehmiat Dee
Humaree Nazar Ahista Ahista Kahiee Kay Janib Jatay Jeep Kay Left Wheel Par Jumh
See Gein Humara Jisam Ek Dam Say Akar Sa Gia Jeep Par Humaray Hathon Ki
Grift(Grip) Asee Mazboot Huty Chali Gai Jasay Jeep Agar Khaiee Mein Geree Bee Tu
Hum Apnay Hathon Par Isay Utha Lein Gay Samnay Wali Jeep Jasay Jasay Qareeb
Atein Gaein Humaree Jeep Mazeed Left Side Ki Traf Jhukty Gai Hum Nay Pehli Dafa
Socha Kay Ye Safar Bee Paidal Hi Huna Chaiye Qun Kay Khoon Jisam Mein Barnay Kay
Bjaye Or Khushak Hu Raha Tha,,,,Ahista Ahista ,,Theek Hay Theek Hay Ki Awazon
Kay Sath Ek Ek Kar Kay Teeno Jeeps Humaray Perose Say Guzar Gein Magar Hum Ubh
Tak Coma Mein Hee Thay Sab Nay Hath Hilaye ALLAH Hafiz Kaha Humein Hosh Nhi Tha
Bas Hum Tyre Ko Asay Ghoor Rahay Thay Jasay Ye Isi Time Ki Ejaadh Hay Or Hum Iss
Kay Gawah Hein(Jaaree Hay)