Tatu Pohanch Kar Salphur Pond
Kay Samnay Ehsaas Hunay Laga Kay Kuch Gar Bar Hay Pait Mein Koi Ajeeb Ajeeb See
Harkatein Kar Raha Tha Jeep Say Utarnay Kay Baad Ki Uchal Kood Asar Dekha Rahee
Thee Hum Sab Ek Hee Time Mein Bhut Say Qad Awar Paharee Pathron Kay Pechay Ghaeb
Hu Gaye Bas Yun Samajh Lijiye Agay Oper Nechay Har Taraf Pathar Hi Pathar Thay
Bas Size Mein Farq Tha Behtay Pani Nay Bahut Kuch Saaf Kar Diya Humein Bee Kuch
Kuch Samajh Mein Anay Laga Ye Panio Kay Kinaron Par Or Pathron Par Phool Or
Ghaas Kasay Ugh Jatay Hein,,,,Kalim Nay Ek Lambee Mutmaien See Aah Bhuree
,,,Yaar Khulay Asmaan Talay Karnay Ka Apna Hee Maza Hay ,,Navid Nay Taeed Mein
Sar Hilaya Jabj Jahan Jasay Hee Ki Buniyaadon Par Banda Farigh Hu Jata Hay,,,Qun
Sohail ..Navid Ki Baat Par Sohail Or Hum Nay Thumbs Up Kiya.Tatu Ek Chota Sa
Qasba Numma Gaon Tha Jis Kay Pas Kasht Or Janwar Bara Sarmaya Tha Iss Key Elawa
Nangha Parbat Yahan Kay Loghun Ka Sab Say Bara Qudarty Sarmaya Tha Ju Yahan Kay
Loghu Kay Rozghaar Kaa Sab Sey Eham Or Mazboot Waseela Tha.Gaon Kay Zayda Tar
Ghar Iss Kachee Sarak Sey Dour Oper Ki Janib Thay September Mein Ye Logh Apna
Boriya Bestar Samaiet Kay Chilas Or Dosray Elaqoun Ka Rukh Kar Latay Or April
Kay Baad Fer Sey Iss Jagah Ko Abaad Karna Shuro Kar Detay Magar Pher Bee Yahan
Kay Loghun Kay Muashee Halath Qabil E Rushk Na Thay In Ki Zendeghi Mosamon Or
Ghurbat Say Lartay Guzaar Jaty,,,,Hum Is Janat Ko Chore Kay Na Jaein Agar Muaash
Ka Maslaa Na Hu Hum Tu Rukhee Sukhee Say Bee Guzara Kar Latay Magar Khushi Ghami
Or Beemaari Mein Humaree Zendeghi Mushkil Hu Jaty Hay.Chai Peetay Huay Jeep
Driver Nay Dukhi Lehjay Mein Kaha ,,Yaar Koi Baat Nahi Shaer Mein Bee Tu Logh
Rozgaar Kay Liye Dosray Shaer Ya Mulk Jatay Hee Hein Ye Tu Pori Duniya Mein
Chalta Hay Navid Nay Driver Kay Gham Ko Zara Kam Karnay Ki Koshish Ki,,,Allah Ka
Shukar Hay Ji,,,Koi Shikwa Nahi Allah Nay Humein Duniya Mein Hee Janat Dee Hui
Hay Driver Ki Paharee Spirit Jagh Gai Chai Kuch Khaas Naa Thee Na Iss Mein
Baqree Thee Naa Hi Us Ka Dodh Tha(Jaaree Hay)