London Yaatra(Tuu Chal Mein Aya)

(hukhan, karachi)

GHAREEB Mulk Kay Sab Leader London Sey Kam Kici Or Jagah Kay Liye Maan Kay Hee Nahi Detay Ju Bee Ulty Seedhi Ya Yun Keh Lein Ju Bee Kachi Paki Kechree Pakaani Hu London Mein Hee Pakatay Shukar Kaerin Ye Ek Bhut Hee Pasmanada Sey Ghareeb Mulk Kay Leaders Hein Jahan Na Bijli Na Gas Na Pani Na Dawaiee Naa Hee Hii Roty Hay Agar Ye Kici Ameer Mulk Kay Leader Hutay Tu Yaqeenan Inki Kechree Kam Se Kam Chand Par Hi Pakni Thee Mujh Say Or Bahut Sey Likhaarion Ko Inn Par Bahut Taras Ata Hay Kay Kam Se Kam In Ka Calaber Chand Tak Ka Hay Magar Hum Ghreebon Ki Waja Say Ye London Jatay Hein,,,Mera Daant Bee Dard Karay Tu London Jata Hun,,,,,Gorii Mame Sey Daant Bee Muskrar Kay Nikalwata Hun,,,Fer Watan Sey Itni Dour Baqi Gham Bee Bhula Pata Hun.Panama Leakes Nay Sab Ki Handiya Asay Beech Chorahay Phoree Hay Kay Har Ek Lota Hath Mein Liye London Dour Laga Raha Hay Kal Tak Ju Ek Dosray Kay Mulk Or Jamhooriat Kay Dushman Thay Ubh Ek Hee Ghaat Sey Pani Piyein Gay Galay Milein Gay Muskaraein Gay Fer Sab Mil Kay Apni Apni Jamhoriat Bachaein Gay ,,,,,Apnay Loot Kay Pason Ko Mein Jamhooriat Kehta Hun,,,,Kia Karun Jamhooriat Ka Naam Hi Pasa Hay.Panama Leak Nay Sab Ka Pajama Leak Kar Dia Hay Sab Ka Darzi London Baitha Hay ,,,,Har Jamaat Mein Corrupt Baitha Hay,,,Bahut Say Zameer Farosh In Choron Ki Himayat Mein Nikalna Shuro Hu Gaye Hein Qun Kay Un Ka Khiyaal Hay Kay Chori Pakistan Ka Sab Sey Acha Rozghaar Ya Zariya Maash Hay,,,,Bas Masla Ek Ye Be Hay Kay Choron Nay Bee Daarian Rakh Lee Hein,,,,,Munbir Par Khuray Hu Kay Kalma Parta Hun Assembly Mein Jaa Kay Kalma Bhool Jata Hun.Suna Hay Kay Kici Zee Hosh Insaan Nay Pm Sahib Ko Ek Sahib Mashwara De Dia Hay Kay Ap Step Down Kar Dijiye Jabh Se Pm Sahib Kay Dil Mein Takleef Hu Gai ,,,Meray Dil Mein Ajh Kiya Hay Tu Kahay Tu Mein Doctor Ko Bata Dn,,Kash Koi Asee Machine Ejaadh Hu Jaye Jis Se Niyat Ka Bee Xray Hu Sakay,,,Wesay Mera Khiyaal Hay Asee Machine Pakistan Ki Isi Kay Pass Hay,,,,Jin Jin Kay ISI Nay Xray Kiye Ya Tu Wo Andar Hein Ya Fer Mulk Se Baher.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253759 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.