MERAY DOSTU
(hukhan, karachi)
MY SPEECH FOR FUTURE CHAMPIONS
MERAY Doston Mein Har Kisam Kay
Dost Paye Jatay Hein Un Mein Bhut See Khubiaan Maa Baap Nay Ya Fer Kici Ki Bv
Nay Kooot Koot Kay Bhuree Hein Ubh Humein Sewaye Chand Kay Zayda Kay Mutaliq
Nahi Pata Kay Un Ki Kootaiee Kis Chese Se Ki Gai Hay Kher Humein Iss Se Kia Hum
Bhut Positive Hein Iss Liye Hum Un Ki Khubion Kaa Zayda Parchaar Kertein Hein Or
Jis Tra Wo Humein Zayada Tar Mashwaray Detein Hein Jasay Ek Dafa Hum Nay Pocha
Kay Hum Konsay Profession Mein Jaein ,,Humaray Dost Nay Humein Ghor Se Dekha Fer
Khudkalami Ki Sar Hilaya Jasay Maraqbay Mein Gaye Hun Fer Un Ki Wapsi Hui Bolay
Aap Ki Khubion Par Nazar Douraee Jaye Tu Ap Had Sey Zayda Kaam Chore Beaqal
Indisciplined Hu Aap Ko Sarkaar Ka Numainda Huna Chaiye Qun Kay Kici Or Jagah Ap
Ko Koi Ek Lamha Bee Bardasht Na Karay Ga Hum Nay Un Ki Bhut See Baton Se
Ekhtelaaf Kay Bawajood Bee Sar Taslim E Kham Kia Or Sarkaar Par Bojh Ban Gaye
Baad Mein Pata Chala Kay Hum Awaami Bojh Hein Kher Its Too Personal Hum Ubh
Doston Ko Aqsar Advise De Hee Detay Hein Jabh Kay Wo Baar Baar Mana Bee Kertein
Hein Hath Jor Kay Mafi Bee Manghtay Hein Magar Hum Iss Naiki Se Mehroom Rehna
Nahi Chatay Ubh Jasay Humaray Ek Dost Jhoot Bhut Ala Nasal Ka Boltay Hein Hum
Aqsar Kehtay Hein Kay Tum Mein Ek Kamiyabh Politician Or Husband Chupa Hua Hay
Politician Tu Wo Ban Nahi Sakay Magar Husband Ban Hi Gaye Ek Adad Mohtarma Kay
Roz Pitay Jatay Hein Maar Khatay Hein Un Dost Sahib Nay Hum Say Bhut Hee Shikway
Kiye Kay Humaree Baat Sach Nahi Sabit Hui Hum Bolay Ap Na Shukray Hu Bv Ki Maar
Yaad Rehty Hay Ghusa Yad Rehta Hay Uss Kay Hath Kay Garam Garam Parathay Yaad
Nahhi Rehtay,,,Wo Bola Kabi Parathun Ka Ata Gondhna Fer Pata Chal Jaye Ga,,,,Hum
Apnay Tajharbaat Aqsar Noujawano Ko Transfer Kaartay Rehtay Hein Jin Ki Video
Koi Na Koi Mail Kar Hi Deta Hay Ajh Bee Logh Humaree Speech Kay Ekhtamaam Par
Zyda Talian Bajhtay Hein Janay Qun Asa Hay Anay Par Koi Nahi Bajata Janay Par
Itni Khushi Qun.