Hein Kawkib Nazar Atein Hein Kuch

(hukhan, karachi)

Sab Tyaar Hu Jao Mosami Bateron Ki Tra Mosmi Noorani Chahray Ju Kay Bahutt Say Make Up Kay Baad Hi Asa Ban Patay Hein Wo Ramzan Transmission Kay Naam Par Humaray Emaan Say Khelein Gay Wo Hi Ju Nachtay Gatay Hein Kabi Larki Kabi Shrabh Kay Sath Pakray Jatay Hein Thumkay Maar Maar Kay Thumkay Jasay Munh Lay Kar Subah Shaam Shaitaan Ki Tra Humaray Emaan Say Kheilein Gay Baray Baray Ulma E Soo In Naa Mehram Larkion Kay Samnay Ba Adabh Baith Kar Rozay Islam Or Emaan Ko Nai Nai Tashreehaat Or Tashbihaat Dein Gay Ya Larkian Ju Baree Mushkil Say Apna Dupata Poray Sar Par Bardasht Kar Rahee Hutein Hein Chaand Raat Ko Asay Thumkay Maar Rahee Hutein Hein Kay Kia Meera Kia Karina ....Bas Mujhay Apnay Emaan Ki Kimaat Chaiye Chahay Emaan Kay Daam Na Hunay Kay Barabar Hun.Bas Ap Jabh Bee Tv Kholein Gay Ye Logh Aap Kay Emaan Say Asay Asay Behropon Say Ap Ko Maat Dein Gay Kay Allah Ki Panah,,,Koi Kahay Ga Mein Farishta Koi Kahay Gee Mray Abaoejhdaad Adhay Asay Kay Farishaty Bee Un Kay Pani Say Wazoo Kartay Thay Koi Asee Siaasi Jamaat Ka Hu Ga Jis Nay Musalmano Mein Tafarqa Dala Ya Gala Kaat Dala Magar Hun Gay Islaam Kay Thekaydaar Masoom Awaam Naikian Chore Kay Un Kay Programes Mein Ek Motor Cycle Ya Mobile Phone Kay Liye Emaan Ka Soda Kar Kay Baithay Hun Gay,,,,Janay Sajhdon Say Tujhay Kasay Fursat Mil Jaty Hay,,,,,Shaitaan Kay Darbaar Mein Matha Taiknay Aa Jatay Hu.Ye Sab Bhnadh Meraasi Teli Ayaash Andar Say Zahrilay Ramzan Ko Bahut Se Khubhsorat Naam Dey Kar Emaan Par Hamla Awar Hutay Hein Likhi Hui Duaein Acting Kar Kar Kay Asay Zaaar O Qataar Rotein Hein Jasay Shaitaan Kici Ko Sajhday Mein Dekh Kar Rota Hay Camera Band Hutay Hi In Kay Anso Khushk Hu Jatay Hein.Fer Ye Channel Say Cheque Lay Kar Kehtay Hein Jabh Tak Baywaqoof Zinda Hein Hum Moulana Painda Hein.Ajh Ka Insaan Makro Faraib Mein Bhut Agay Hay Magar Kia Wo Allah Ko Dhuka De Sakta Hay Janay Pher Wo Iss Chand Din Ki Zendeghi Kay Liye Qun Iss Qadar Mehangha Soda Karlaita Hay . Abdhi Zendeghi Jis Mein Hamesha Rahay Ga,,Qun Iss Qadar Anjaan Hay Aye Insaan Samnay Tera Anjaam Hay Aye Insaan.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254684 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.