Hazrat Imam Shafai (Rehmaullah
Alaih) Aaimma-E-Arbaeen Mein Sey Ek Imam Hein, Tamam Sunni Musalman, Kisi Na
Kisi Imam Key Muqallid Hein; Yani, Imam-E-Azam, Hazrat Imam Abu Hanifa (Jinka
Asli Naam NAUMAN BIN SAABIT HEY, Aapki Dukhter-E-Naik Akhtar Ka Naam HANIFAH
Hey, Jinki Nisbat Sey Hazrat Nauman Bin Sabit (Reh.A.) Ki Kunniyet ABU HANIFAH (Yani
Hanifah Key Walid) Hogai Aur Aap (Reh.A.) Isi Naam-E-Mubarak Sey Mash’hoor Huwey,
(Aap Tabaeen Mein Sey Hein Yani Aap Ne Sahaba-E-Kiram (R.A.) Ko Dekha Hey Aur
Direct Unsey Ahadees Hasil Ki Hein Jabkeh Baqya 3 Aaimma-E-Kiram, Yani, Hazrat
Imam Shafai, Hazrat Imam Malik Aur Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal (Reh.A.) Yeh
Teeno Imam Sahibaan Taba Tabaeen Mein Sey Hey Yani Inhon Ney Na Tau
Sahaba-E-Kiram Ko Dekha Hey Na Hi Direct Unsey Ahadees Naqal Ki Hein Balkeh In
Hazraat Ney Tabaeen Sey Ahadees Naqal Fermai Hein.
Hazrat Imam Shafai (Reh.A.) Sey Kisi Ney Puchha Keh Aap Ney ALLAH PAK Ko Kaisey
Pehchana Tau Aap (Reh.A.) Ney Jawab Dia Keh Mein Ney ALLAH PAK Ko SHEHTOOT Key
Pattey Sey Pehchana, Yani Jab Shehtoot Ka Patta Bakri Khati Hey Tau Mengnian
Nikalti Hein, Hiran Khata Hey Tau Mushk Nikalta Hey, Ab Resham Ka Keera Khata
Hey Tau Raisham Nikalna Shuroo Ho Jata Hey. Patta (Leaf) Ek Hi Hey Jabkeh Iskey
Khaney Sey Mukhtalif Janwero Key Pait Sey Mukhtalif Cheezein Nikal Rahey Hein.
Yeh Pattey Ki Taseer Nahi Na Hi Un Janwaron Ka Koi Kamal Hey Balkeh Yeh Uss
Maalik Ka Kamaal Hey Keh Jis Ney Mukhtalif Janweron Ke Pait Mein Sey Mukhtalif
Cheezein Nikalein Jabkeh Patta Sab Ney Shehtoot Ka Hi Khaya Tha.
Hazrat Imam Shafai (Reh.A.) Ney Fermaya Keh Mein Ney Iss Chhotey Sey Pattey
(Leaf) Sey ALLAH Ko Pehchana Keh Yeh Kaam Sirf Wohi Ker Raha Hey, Koi Doosra
Nahi.
FAEDA:
Agar Insaan Samajhna Chahey Tau Ek Pattey Sey Bhi Apney Khaliq O Maalik O Rabb
Ko Pehchan Sakta Hey Aur Na Samajhna Chahey Tau AMBIYA (Alaihis Salam-O-Tasleem)
Ney Wujood-E-Khudawandi Per Barey Barey Dalail Paish Ker Deye Lekin Cor
Maghaz-O-Cor Batin Logon Ney Phir Bhi Inkaar Kia. Jinhon Ney Maan Lia ALLAH PAK
Ney Unkey Saron Per TAJ-E-SADAQAT Saja Ker SIDDIQUE (R.A.) Banadia Aur Jinhon
Ney Inkaar Kia Unhein Zindeeq Banadia. Agar Insaan Na Manney Ka Qasad Kerley Tau
Peghamber (A.S.) Bhi Nahi Menwa Saktey Aur Jab Manney Per Aajaey Tau Shehtoot
Key Ek Pattey Sey Bhi Apney Rabb Ki Pehchan Ker Leta Hey.
Ek Panjabi Sha’ir Ney Kaha:
AAQIL NOO EK NUKTA KAAFI
LORR NAHI DAFTER DI
BE AQLAAN TEY ASAR NA KERDI
PIND NABI SERWAR DI
Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal (Reh.A.) Sey Kisi Ney Puchha Keh Kia Aap Musalman
Hein? Aap Ney Fermaya ALHAMDU LILLAH Mein Musalman Hoon, Phir Uss Ney Puchha Keh
Musalman Kisey Kehtey Hein? Tau Aap Ney Fermaya Keh Wo Jo ALLAH (Jalla Jala Lahu
Wa Amma Nawa Lahu) Ki Wahdaniyet Ka Qa’il Ho Yani Yeh Keh Woh Ek Hey Aur Uska
Koi Shareek Nahi. Us Shakhs Ney Puchha Keh Aapko Kaisey Maloom Huwa Keh ALLAH EK
HEY? Tau Imam Sahib Ney Socha Keh Agar Mein Iskey Saamney Qurani Dalail Rakhoon
Ga Tau Yeh Shakhs Maneyga Nahi Kiyoon Keh Yeh Jahil Hey; Shara’ii Dala’il Iski
Samajh Mein Nahi Aa’aein Ge Isliye Iski Zehni Istedaad Keh Mutabiq Agar Jawab
Dia Jaey Tau Yeh Shakhs Ba-Aasani Samajh Lega. (Yahan Ek Masla Yeh Bhi Hal
Hogaya Keh…Hamein Sawal Kerney Waley Ki Zehni Istedaad Ko Dekhtey Huwey Uskey
Sawal Ka Jawab Dena Chaheye Takeh Wo Apney Sawal Ka Jawab Bhi Hasil Kerley Aur
Fuzool Qism Ki Behes Mein Bhi Na Uljhey) Chunacha Imam Sahib Ney Sa’il Ki Zehni
Istedaad Key Mutabiq Usey Iss Tarah Samjhaya:
Aap Ney Fermaya Keh; “Mein Ney Ek Mahal Dekha Jo Chandi Ka Bana Huwa Hey Usmein
Na Koi Soorakh Hey Na Koi Roshandan, Na Koi Khirki Na Koi Derwaza. Iss Mahal Key
Ander Ek Aur Mahal Hey Jokeh Soney Ka Bana Huwa Hey, Ismein Bhi Kisi Qism Ka Koi
Soorakh Nahi, Yeh Dono Mahal Esey Hein Keh Koi Cheez Na Tau Inkey Ander Jasakti
Hey Aur Na Hi Insey Bahar Aasakti Hey, Yahan Tak Keh Hawa Key Aney Janey Ka Bhi
Koi Raasta Nahi, Mein Heerani Sey Us Mahal Ko Dekh Raha Tha Keh Achanak Uss
Mahal Ki Deewar Tooti Aur Usmein Sey Ek Zinda Janwer Nikla Jis Ney Bahar Aatey
Hi Dana Chugna Shuroo Kerdia; Mujhey Yeh Dekh Ker Bari Hairat Huwi Keh Jab Iss
Be-Soorakh Mahal Mein Koi Gaya Hi Nahi Tau Yeh Janwer Wo Bhi Zinda Salamat Ander
Sey Baher Kiyooker Nikla? Tau Wo Konsi Zaat Hey Keh Jis Ney Ek Bilkul Band Mahal
Mein Sey Ek Zinda Janwer Ko Paida Fermadia; Chunacha Merey Dil Ney Yeh Manzer
Dekh Ker Gawahi Di Keh “WOH ALLAH KI ZAAT HI HEY KEH JIS NEY ISS JAANDAAR KO
BILKUL BAND JAGAH MEIN TAKHLEEQ BAKHSHI”.
SA’IL Ney Arz Kia Keh Ham Ney Tau Aaj Tak Aisa Koi Mahal Dekha Nahi Aap Ney
Kahan Dekh Lia? Tau Imam Sahib Ney Fermaya Keh Yeh Mahal Tau Taqreeban Her Jagah
Mojood Hey…..Kia Tum Ney Kabhi Murghi Ka Anda Nahi Dekha? Woh Chandi Ka Ek Mahal
Hey, Ismein Jo Zerdi Hey Wo Soney Ka Mahal Hey In Dono Mein Koi Derwaza Ya
Soorakh Nahi, Murghi Inn Andon Ko Leker Ek Mo’ayyana Muddat Tak Beth Jati Hey,
Phir Us Muddat Key Khatam Honey Key Baad Un Dono Mehloon Ki Deewarein Tooti Hein
Aur Un Mein Sey Jeetey Jaagtey Khoobsoorat Bachey Nikal Aatey Hein. Baghair
Rozan Key Andey Sey Zinda Choosey Ka Nikal Aana Iss Baat Ki Daleel Hey Keh Wo
Khud Bakhud Nahi Bann Gaya Balkeh Koi Hey Keh Jis Ney Usey Wujood Bakhsha? Aur
Woh ALLAH Hey; Baqol Shair, Koi Tau Hey Jo Nizaam-E-Hasti Chala Raha Hey, Wohi
Khuda Hey.
Ek Tau Yeh Keh Andey Sey Zinda Salamat Bacha Nikal Aaya Aur Doosrey Yeh Keh Usko
Kis Ney Bataya Keh Tooney Baher Nikeltey Hi Dana Chugna Hey Aur Kaisey Chugna
Hey? Yeh Mera Apna Mushaheda Hey Keh Ek Zamaney Mein Ham Ney Ghar Mein Kabooter
Paley Huwe They (Bachpan Mein), Jab Kabootri Ney Anda Diya Tau Ham Ney Us Andey
Ki Jagah Murghi Ka Anda Rakhdia, Jab Time Pura Huwa Tau Andey Sey Chooza Nikla,
Kabooter Ka Kabak Zameen Sey Thora Ooncha Tha, Choozey Ney Nikaltey Hi Ooper Sey
Zameen Ki Taraf Chhalaang Lagai Aur Seedha Us Taraf Gaya Keh Jahan Lakrri Mein
Deemak Lagi Huwi Thi, Usneiy Apni Chonch Deemak Ki Matti Per Maari Tau Deemak
Key Keerey Usmein Sey Nikal Gaye, Choozey Ney Foran Un Deemak Key Keeron Ko
Khana Shuroo Kerdia. Ab Aap Yeh Bataein Keh, Us 5 Minute Pehley Paida Honewaley
Choozey Ko Kis Ney Bataya Keh Wo Saamney Deemak Lagi Huwi Hey Jis Mein Tumhari
Khoorak Hey Aur Tum Ney Kis Tarah Wahan Sey Apni Khoorak Hasil Kerni Hey Aur Kis
Tarah Jaker Apney Aap Ko Perwarish Kerna Hey? Yeh Aisi Batein Hein Keh Ham Kitni
Bhi Koshish Kerlein Unka Jawab Nahi Pa Saktey Ham Soch Soch Ker Pagal Tau
Hosaktey Hein Magar Iss Raaz Ko Pa Nahi Saktey Isliye Keh Yeh Kisi Inssaan Ka
Kamal Nahi Balkeh ALLAH PAK Ki Qudrat Hey………Jahan Insane Ki Aqal Ki Hadd Khatam
Hoti Hey Wahan Sey Ambiya-E-Kiram (A.S.) Ki Aqal Shuroo Hoti Hey Aur Jahan
Ambiya-E-Kiram (A.S.) Ki Aqal Ki Had Khatam Hoti Hey Wahan Sey ALLAH PAK Ki Hadd
Shuroo Hoti Hey, Jab Ham Ambiya-E-Kiram (A.S.) Ki Hadd Mein Daakhil Honey Per
Qadir Nahi Tau ALLAH PAK Ki Hadd Mein Kiyoon Ker Dakhil Ho Saktey Hein, Hamarey
Liye Yehi Behter Hey Keh Ham ALLAH PAK Ki Maan Lein, Maan Leney Hi Mein Hamara
Bhala Hey, Dunya Mein Bhi Aur Aakherat Mein Bhi. ALLAH PAK Hamein Bhi
Aql-E-Saleem Ata’a Fermaey Aur Uskey Mutabiq Zindagi Guzarney Ki Taufeeq Bhi.
Aameen.