8 July 2016 Ki Fiza Abdul
Sattar Ehdi Sahab Ki Wafat Par Har Aankh Ash Baar Thi.Aur Ho Bhi Que Na Mohsin E
Pakistan, Fakhar E Pakistan ,Jo Un Ko Sahara Daitay Thai Jin Ko Zamana Thukra
Dia Karta Tha,Un Kaliyoun Ko Sawara Kartay Thai Aur Un Ka Sahara Bantay Thay Jin
Ko Unkai Apno Mai Nae Murjhanay Ki Boujhanay Ki Koshish Ki Thi.Zinda Tou Zinda
Ehdi Sahab Tou Laash Kai Tokro Ko Bhi Jama Ker Kai Un Ko Adab Ahtram Kai Sath
Kafnatay Aur Dafnatay Thai.Us Shakh Ki Misaal Humay Tareek Mai Nahi Milti Kai Jo
Sirf Hath Is Liae Phalata Tha Kai Baba E Quom Ki Qoum Ka Koe Fard Bhooka Na
Soue.Koe Quaid Sai Muhabat Karnay Wala Sirf Is Liae Na Marjae Kai Kai Ambulance
Nahi Hai Wah Ehdi Sahab Tumhay Watan Ki Hawain Salam Kahti Hai.
Darhaqiqat Abdul Sattar Ehdi Hum Mai Nahi.Laikin Woh Phir Bhi Humaisha Zinda
Rahay Gae Un Kai Nazaryaat Rahay Gae Humasha Un Ki Soch Humaisha Zinda Rahay Gae
Aur Un Ki Ankhay Bhi Daikhay Gae.Abdul Sattar Ehdi Is Dunya Sai Tou Chalay Gae
Laikin Tamam Noujawano Mai Aik Umang Chor Gae Aik Jazba Chor Kar Chalay Gae
Kidmat E Insaniyat Ka,Bhai Charay Ka ,Mohabaat Ka ,Mehnat Ka Aur Insaayat Ki
Khidmat Kernay Ka Zarya Banae Ka.
Jis Tarha Labour Day ,Kashmir Day Mother Day Manaya Jata Hai Mai Hukumat Sai
Apeel Karti Ho Kai Saal Mai Aik Din Ehdi Day Kai Naam Sai Bhi Ho.Jis Mai Aam
Tateel Na Ho Balkay Her Fard Apnay Mulk Kai Liae Kuch Buhat Chota Hi Sahi Laikin
Kuch Kaam Karay.Is Din Annay Wali Nasal Ko Insaan Aur Insaaniyat Ka Matlab
Samjhaya Jae.Is Din Her Pakistani Chahay Woh Ameer Ho Ya Ghareeb Aik Rupay Hi
Sahi Laikin Mulk Kai Liae Aur Ehdi Foundation Ko Atia Dai Zaroor .Us Din Ehdi
Sahab Ka Kaam Talib E Alm Karae Aur Jis Tarha Tou Gareeb Bachoun Kai Liae Paisay
Jama Kartay Thai Tamam Talib E Ilm Bhi Paisay Jama Karay.Ehdi Kai Sabaq Ko Na
Sirf Yaad Kiya Jae Balkay Us Per Amal Kiya Jae.Allah Humay Un Kai Tarha Naik
Kaam Karnay Karnay Ki Toufeeq Atta Farmae Aur Abdul Sattar Sahib Kai Darjaat Ko
Buland Farmae Ameen.