Masley Ka Hal

(Chiraghdeen, Karachi)

Ek Shakhs Bargah-E-Risalat (S.A.W.) Mein Hazir Huwa Aur Apney Parosi Ki Shikaayet Kertey Huwey Arz Kia Keh Merey Parosi Ney Meri Zindagi Ajeeran Banadi Hey, Iski Sharaarton Sey Mein Aajiz Aa Chukka Hoon, Usko Baarha Samjhaya, Uski Minnatein Keen, Uskey Aagey Haath Jorey Lekin Beysood Wo Nahi Manta, Uski Iza Rasanion Sey Mein Bohot Pareshan Hoon….Ab Aap Hi Mujhey Bataein Keh Mein Kia Karoon?

Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ney Fermaya Keh Mein Tujhey Ek Tadbeer Batata Hoon, Tau Us Per Amal Kerley, Teri Pareshani Insha ALLAH Door Hojaeygi. Fermaya Keh Apney Ghar Ka Saara Saaman Nikal Ker Gali Mein Rakh Dey Aur Uskey Ooper Charh Ker Beth Ja, Jab Koi Tujh Sey Poochey Keh Tujhey Kia Huwa Hey Keh Ghar Hotey Huwey Too Ghar Key Bahar Kiyoon Betha Hey Aur Ghar Ka Samaan Gali Mein Kion Rakha Hey Tau Jawaab Dena Keh Parosi Sey Tang Hoon; Isney Mera Ghar Mein Rehna Dushwar Banadia Hey Aur Mujhey Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ney Yehi Mashwara Dia Hey Keh Ghar Chhorr Doon Aur Bahar Baith Jaoon Chunacha Mein Ney Rasool-E-Pak (S.A.W.) Key Mashwarey Per Amal Kertey Huwey Ghar Chhorney Ka Faisla Kerlia Hey.

Ehley Mehellah Ney Jab Usey Iss Haal Mein Dekha Tau Poochhna Shuroo Kia Keh Bhai Kia Huwa? Tau Us Ney Logon Ko Wohi Bataya Keh Jiska Mashwara Aap (S.A.W.) Ne Dia Tha, Jis Jis Ney Bhi Suna Us Ney Uskey Parosi Ko Laanat Malamat Ki. Jab Subh Sey Shaam Tak Beshumaar Lanatein Us Per Parr Chukein Tau Aakhir Kaar Uska Wohi Parosi Uskey Paas Aaya Aur Uskey Aagey Haath Jorr Ker Kehney Laga Keh Bhai Mein Ma’afi Chahta Hoon; Meri Tau Zindagi Azaab Hogai, Jo Bhi Aaraha Hey Mujhey Malamat Ker Kaha Hey; Aap Apna Samaan Apney Gher Mein Rakhein, Mein Wada’a Kerta Hoon Keh Ab Kabhi Aapko Shikayet Ka Moqah Na Doon Ga? Uss Ney Kaha Keh Pakka Wadah Ker Keh Aainda Kabhi Merey Saath Bura Sulook Nahi Kareyga Aur Na Hi Mujhey Zindagi Mein Kabhi Tang Karey Ga? Tab Mein Yeh Samaan Ghar Mein Rakhoonga Warna Nahi? Tau Us Shakhs Ney Pakka Wadah Kia Keh Aainda Mein Aapka Pura Pura Khayal Rakhoonga Aur Bilkul Nahi Sataoonga…Iskey Baad Phir Uskey Saath Milker Uska Samaan Gher Mein Rakhwaya Aur Usey Sataney Key Bajaey Uski Khidmat Shuroo Kerdi.

FA’EDAH:
Ulma-E-Kiraam Fermatey Hein Keh Yeh Hal Aap (S.A.W.) Ney Wahi Key Zeriye Nahi Balkeh Apni Zahanat Sey Bataya…Haqeeqat Yeh Hey Keh Dunya Key Tamam Logon Sey Ziadah Fehm-O-Farasat ALLAH Ta’ala Ambia-E-Kiram (Alaihis Salam-O-Tasleem) Ko Ata’a Fermata Hey. Tau Lehaza Aqalmandi Ka Taqaza Hey Keh Ham Ambia-E-Kiram (A.S.) Ki Taalimaat Ko Apni Zindagi Ka Nasbul Ain Bana’ain. Yaqeenan Iss Insaan Sey Ziadah Sahib-E-Aql-O-Danish Aur Koi Nahi Jo Taleemat-E-Mustafawi (S.A.W.) Mein Dunya-O-Aakhirat Ki Kaamiabi Ko Yaqeeni Samajhta Hey.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196264 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.