Nikah Ka Maqsad Aur Mafhoom

(Mohammad Mubeen, Karachi)

(Yeh Mazmoon Me Ne Aik Islami Akhbar Me Perha Tha Mujhe Pasand Aya To Socha K Isay Mazeed Logon Tak Pohanchana Chahiye)

ALHAMDULILLAH! Bohat Sare Musalman NIKAH K Asal Mafhoom Aur Maqsad Ko Samajh Chuke Hain Aur Woh Apni Garden Se In Zalimana Aur Jahilana Rasoomat Ka Toaq Utarna Chahte Hain, Jinhoan Ne Hamara Maashre Ki Khushyoan Ko Gham Mein Aur Hamari Nekyoan Ko Buraiyoan Mein Badal Akha Hai.

NIKAH ALLAH TABARAK WA TAALA Ka Hukum HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ki Sunnat Or Insan Ki Ahem Tareen Zaroorat Hai. Deen E Islam Ne Insani Maashray Ko Mehfooz Or Pak Banana K Liye NIKAH Ka Behtreen Asan Or Sada Tareeqa Insanyat Ko Ata Fermaya Hai, Lekin Aaj Aksar Musalmanoan Ne NIKAH Ko Aik Wabal Musibat Or Tijarat Bana Dia Hai Or NIKAH K Pakeeza Chashme Me Gandi Rasoomat Ki Ghalazat Ko Daal Dia Hai, Chunancha Aaj Har Taraf Be Hayai K Woh Dilsoaz Manazir Nazar Aa Rahe Hain Jinhain Dekh Ker Janwar Bhi Sharam Mehsoos Kerte Hoan Gay. Maloom Nahin Kitni Bachyan Shadi K Intizar Me Boorhi Ho Rahi Hain Or Inki Pakeeza Aahain Gharoan K Sukoon Ko Barbad Ker Rahi Hain? Malooom Nahin Kitne Nojawan, Khoobsurat Or Pakeeza Bandhan K Intizar Me Ghalat Or Be Haya Maashre K Hathoan Apna Bohat Kuch Ganwa Bethe Hain? Malooom Nahin Kitne Waldain Apni Bachyoan Ko Nojawan Hota Dekh Ker Ratoan Ko Rote Hain Ya Masjidoan Me Bheek Mangne K Liye Hath Phelate Hain Ya Kafiroan K Mulkoan Me Ja Ker Apna IMAN Khatre Me Daal Ker Mazdoorian Kerte Hain? Yeh Sab Khuli Aankhoan Se Dekhne Or Subah Sham Jhelne K Bawajood Koi Yeh Nahin Sochta:

(1) Aakhir NIKAH K Liye Card Chapwane Ki Kia Zaroorat Hai? Kia Masjid Ka Aelan Kafi Nahin?

(2) Aakhir Bhari Barhkam Jahez Hi Ko Nikah Ki Shart Kiyoon Qarar De Dia Gaya Hai? Kia Pakdaman Musalman Bachi Bagher Jahez Ki Rishwat K Kisi Ghar Ko Abad Nahin Kar Sakti?

(3) Ager Istitaat Nahin Hai To Phir Bahri Bharkam Waleemay Ki Kia Zaroorat Hai? Kia HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ne Sirf Aik Bakri Or Baz Auqat Mehmanoan K Apne Gharoan Se Laye Huay Khane Se Waleema Nahin Fermaya?

(4) Larki K Ghar Larke Waloan Ka Poora Mela Laga Ker Jane Or Wahan Khana Khane Ki Kia Zaroorat Hai? Kia Sunnat K Mutabiq Larki Ka Walid Khud Apni Bachi Ko Doolha K Ghar Nahin Pohncha Sakta?

(5) Kia Hamari Rishte Daryan Itni Kamzor Hain Keh Ager Shadi K Moqe Per Qarze Le Ker Poori Bradri Ka Pait Na Bhara Jae Tou Rishte Daryan Khatre Me Per Jati Hain? Kia Rishte Daryan Rehmat Hain Ya Wabal?

(6) Shadi K Moqay Per Tamam Rishte Daron Ka Jama Hona, Door Daraz Ilaqoan Se Ana Aakhir Kiyoon Zaroori Hai? Kia Is K Bagher NIKAH Nahin Ho Sakta? Kia Is K Bagher Khushi Hasil Nahin Ki Ja Sakti? Kia In Mawaqi K Ilawa Rishtedar Aik Doosre Se Nahin Mil Sakte?

KASH! Musalman In Umoor Per Ghoar Karen Tou Inhain Bohat Sari Musibatoan Se Chutkara Mil Jaye Or Cinemaoan, Dawa Khanoan Or Sarkoan Per Darindoan Ki Tarah Aankhian Phar Ker Phirne Wale Kitne Nojawan Sukoon Ki Zindagi Guzarne Lagen, Lekin Aaj Tou Poora Mahol Hi Badal Chuka Hai, Jahez K Saanp Nay Lakhoan Jawanyoan Ko Nigal Lia Hai Or Rishte Daroan Ki Naak Ne Lakhoan Bachyoan K Mustaqbil Ko Tareek Ker Dia Hai. In Halat Me Agar NIKAH K Asal Mafhoom Ko Samjhane Ki Koshish Ki Jaey Or Logon Ko Bataya Jaey Keh:

(1) NIKAH K Liye Yeh Tamam Paper Belny Ki Zaroorat Nahin Hai.

(2) Aur Behtreen NIKAH Who Hota Hai Jisme Kharch Kam Kia Gaya Ho.

(3) Aur HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Apni Majlis Me Bethe Bethe Ghareeb SAHABA Ka NIKAH Kara Dete They Aur Waheen Se Rukhsati Bhi Ho Jati Thi.

(4) Aur Baaz SAHABA E KARAM Ne Apnay NIKAH Ki Itla HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Tak Ko Nahin Di.

(5) Aur HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM, SAHABA E KARAM Aur Tabaeen Ka Mamool Tha Keh Larki Ko Is K Walid Ya Bhai Khud Doolha K Ghar Chhoar Atey They.

(6) HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM K Zamane Me NIKAH 2 Rakat Namaz Perhne Ki Tarah Asan Tha Aur Is K Liye Mahinoan Pehle Tayyari Aur Mahinoan Baad Tak Qarze Ki Musibat Nahin Jheelni Perti Thi.

Tou Yeh Saari Batain Sun Ker Akser Loag Manne Ki Bajaye Yeh Jawab Dete Hain:

(1) Aap Loag Koi Naya Islam Laey Hain, Ham Tou Baron Se Yahi Kuch Dekhte Aye Hain.

(2) Bare Bare Ulma Bhi Tou Bari Shano Shokat K Sath Apne Bachon Aur Bachyoan Ki Shadi Kerte Hain. Kia Aap Logon K Paas In Se Ziada Ilm Hai?

(3) Hum Ager Apki Baat Maan Lain Tou Sari Zindagi Bradri Ko Kia Munh Dikhaenge?

Aap Khud Ghoar Fermaiye Keh Mazkoora Bala Batain Waqai Uzar Hain Ya Mahez Bahane? Haqiqat Yeh Hai Keh Aaj Ghareeb Gharanoan Ki Halat Ko Qareeb Se Dekha Jaey Tou Dil Phatta Hai Aur Ander Se Awaz Aati Hai Keh Yeh Baten Sirf Aur Sirf Shetani Bahane Hain Jin Me Phans Ker Musalman Khud Ko Barbad Kerne Pe Tule Huay Hain. YA ALLAH Too Hi Ham Per Raham Ferma Aur HUZOOR E AKRAM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ki Ummat Ko Deen Ki Samajh Ata Ferma.

Aaj Ham Ne Ager Apni Bachyoan Ko Ghalt Rasoomat Ki Wajah Se Ghar Bithaya Aur Himmat Ker K Inka Ghar Nahin Basaya Tou In Mein Se Bohat Sari Bachyan Ngos K Makr O Fareb Ka Shikar Ho Jayengi Aur Bohat Sari Apni Rozi Roti Kamane Ki Fiker Me Apni Gharelo Zindagi Barbad Ker Bethengi Aur Bohat Sari Un Rahoan Per Chal Niklengi Jahan Unko Dekhna Aik Mualman K Bus Ki Bat Nahin Hai, Jab Keh Bohat Sari Ander Hi Ander Ghut Ker Tarah Tarah Ki Bemaryoan Ka Shikar Ho Jayengi.

AE MUSALMANO! ALLAH TAALA Gawah Hai Keh NIKAH K Liye Zewrat, Barat Naam Ki Musibat, Aali Shan Makanoan Aur Rishte Daroan K Ijtamaat Ki Koi Zarooorat Nahin Hai, Balkeh Aaj K Dard Naak Halat Ko Dekhte Huay Tou Aesa Mehsoos Hota Hai Keh NIKAH K Bohat Sare Mubah Akhrajat Bhi Band Ker Dene Chahiyain Ta Keh Hamara Maashra Ghareeboan K Saans Lene K Qabil Bhi Ban Sake.

AE MUSALMANO! Kia Aap Apne Bachoan Ko FILM, Colour TV, Be Hayai Se Bhare Literature Aur Tarah Tarah Ki Bemaryan Dene K Bajaey Aik Pak Daman Ba Hay Biwi Nahin De Sakte.

AE MUSALMANO! Kia Aap Apni Pyari Bachyoan Ko Gande Akhbar, Haya Soaz Novel, Uryan Filmain Aur Mardoan K Dermiyan Nokryan Dene K Bajaye Usay Aik Jawanmard, Shareef Aur Mazboot Shohar Nahin De Sakte.

SOCHYE! Khudara Thora Sa Sochye Keh Aaj Buraiyan Kis Tarah Se Gharoan Per Dastak De Rahi Hain? Ager Aap Me Himmat Hai Tou Phir Apne Bachoan Aur Bachyoan K Takyoan K Neechy Rakhe Huay Novels Per Aik Nazar Daliye Keh Kitna Khatarnak Zaher Is Nai Nasal K Dilon Me Undela Ja Raha Hai? Kuch Din Pehle Aik Novel Dekhne Ka Ittifaq Hua Jisay Perh Ker Aankhoan K Samne Andhera Cha Gaya. Jee Haan! In Ghaleez Novels Me Behnoan Ko Bhaiyoan K Sath Munh Kala Kerne Ki Tergheeb Di Gai Hai Aur Is Ganday Or Qayamat Khez Gunah Ki Manzar Kashi Bhi Ki Gai Hai.

YA ALLAH! Hamre Nojawan Bhai Aur Behan Kahan Jayen? In K Bare Bagher Zewar, Jahez Aur Dawatoan K Inhain Shadi K Muqaddas Bandhan Mein Nahin Jortay Jab Keh Iman Farosh Loag Gande Novels, Gandi Websites Aur Ghaleez Films K Zareae In K Iman Per Daka Maar Rahe Hain.

Is Poore Cancer Ka Ilaj Tou JIHAD K Zareae Qaim Hone Wali Islami Hukoomat Hi Ker Sakti Hai Albatta Filhal Hamare Liye Zaroori Hai K Hum:

(1) Soorat E Haal Ki Sangeeni Ka Andaza Lagayen.

(2) Jahan Tak Mumkin Ho Sake NIKAH K Muamle Ko Asan Aur Sada Banayen.

(3) Aur Hum Mein Se Sahib E Hesyat Loag As Silsile Mein Pahel Ka Aelan Karen.

(4) Aur Her Nojawan Khul Ker Yeh Aelan Kare Keh Mein Hergiz Hergiz Jahez Nahin Loonga, Balkeh Khud Kama Ker Biwi Ka Zaroori Saman Poora Karoonga.

(5) Aur Rishtedar Tanay Dene K Bajaye Taawun Ka Tarz Ikhtiar Karen, Jab INSHAALLAH Hamain Aasman Se Barkatain Utarti Hui Nazar Ayengi.


ALLAH TAALA Tamam Musalmanoan Ko Deen Ki Sahi Samajh Ata Fermaye Aur Deen Per Chalna Asan Fermaye. (Aameen)

Mohammad Mubeen
About the Author: Mohammad Mubeen Read More Articles by Mohammad Mubeen: 24 Articles with 83382 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.