On 16th July 2010, A Pamphlet
Distributed By Shobah Dawat-O-Terbiyet Of Tanzeem-E-Islami (Which Founder Is Dr.
Israh Ahmad – Marhoom) Among The People Near Karachi Office Of Tanzeem-E-Islami
At Burs Road, Pamphlet Named: JINSI BE RAH RAWI. The Context Of The Same Is As
Under:
Silsila Agahi-E-Munkiraat Bahawala Ma’asharti Nizaam,
“(Ey Peghamber (S.A.W.) Logon Sey Keh Dijiye) Merey Rabb Ney Fahashi Key Tamam
Kaam Haraam Qaraar Diye Chahey Elania Ho Ya Chhup Ker” Surah Al-A’araaf-33.
Islami Sariyet Jis Tarah Ma’ashrah Banana Chhahti Hey Uski Bunyaad Khandaan Per
Hey Aur Khandaan Ki Ibtida Mian Beevi Key Pakeeza Jinsi Ta’alluqaat Sey Hoti
Hey, Yeh Taalluq Jitna Pakeeza Aur Mazboot Hoga Us Sey Usi Tarah Ki Nasal Paida
Hogi Aur Us Achhi Nasal Sey Hi Achha Maashra Wujood Mein Aayega. Zina Ek Aisa
Gandah, Ghinaona Aur Qabil-E-Mazammat Fail Hey Jis Sey Na Sirf Jinsi Ta’alluq Ki
Pakeezgi Aur Hurmat Pamaal Hoti Hey Balkeh Iss Sey Khandani Nizaam Bhi Derham
Berham Hojata Hey, Phir Sharm-O-Haya Jo Insaan Ka Sab Sey Qeemti Zaiwer Hey Wo
Bhi Iss Sey Chin Jata Hey Aur Wo Nasl-E-Insani Ko Akhlaaq-O-Kirdaar Sey Bi Aari
Kerkey Usey Janwaron Ki Satah Sey Bhi Nichey Gira Daiti Hey. Isi Bina Per Islami
Shariyet Ney Na Sirf Zina Ko Sab Sey Qabeeh, Qabil-E-Nafrat Aur Bad-Tareen Jurm
Qaraar Dia Hey Balkeh Iskey Zara’ey Aur Moharrekaat Per Bhi Pabandi Aaid Kerdi
Hey Aur Iskey Liye Sakht Tareen Saza’ain Muqarrar Ki Hain.
Surah Al-Nahal Ki Aayet No. 90 Mein Umoomi Andaaz Mein Kuchh Naikiyoon Ka Hukm
Dia Gaya Aur Her Tarah Ki Behayai Aur Na-Pasandeedah Kaam Ki Burai Inn Alfaaz
Mein Bayaan Ki Gai; “ALLAH TA’ALA, Adl-O-Ehsaan Aur Qarabat Daron Sey
Husn-E-Sulook Ka Hukm Daita Hey Aur Be-Hayai, Burai Aur Zulm Sey Rokta Hey”.
Yahan Be-Hayai Sey Ishara Zina Ki Taraf Hey.
Surah Al-Furqaan Ki Aayet No. 68 Mein ALLAH TA’ALA Key Behtereen Bandon Ki
Pehchaan Batatey Huwey Yeh Kaha Gaya; “Jis Jaan Ko Qatl Kerna Haraam Hey Wo Usey
Na-Haq Qatl Qatl Nahi Kertey Aur Na Wo Zina Ka Irtikaab Kertey Hein Aur Jo Aisa
Kareyga Usey Gunah Miley Ga”.
Phir Surah Al-Mominoon Ki Aayet No. 5 Mein Ehl-E-Eemaan Ki Jo Sifaat Bataii
Gaeen Keh; “ Wo Apni Sharamgahon Ki Hifaazat Kertey Hein”.
Inn Sab Key Alawa Surah Bani-Israeel Ki Aayet No. 32 Mein Na Sirf Zina Sey Roka
Gaya Balkeh Unn Zara’ey Sey Bhi Door Rehney Ka Hokum Dia Gaya Jo Zina Key Liye
Moharrak Ban Saktey Hein; “Zina Key Qareeb Bhi Na Jao, Yeh Khuli Huwi Be-Hayai
Aur Bad-Tareen Raasta Hey”.
Iss Hawaley Sey Rasoolullah (SallALLAHu Alaih-E-Wa-Sallam) Key Farameen Derj
Zail Hein:
Teen Qism Key Aadmi Aisey Hein Jin Sey ALLAH Ta’ala Qiamat Key Din (Ghussa Aur
Naraazgi Ki Wajah Sey) Nah Tau Guftugoo Kareyga, Nah Unhein Paak Karaiga Aur Na
Hi Unki Taraf Rahmat Ki Nigah Sey Daikheyga :- (1) Boorrha Zaani, (2) Jhoota
Badshah, (3) Mutakabbir Faqeer, (Ba-Hawala Muslim Shareef),
Rasoolullah (S.A.W.) Ney Sahaba-E-Kiram (Rizwanullahe Alaihim Ajmaeen) Sey Bait
Li Keh = ALLAH Key Saath Kisi Ko Shareek Nah Kerna, = Chori Na Kerna, = Zina Na
Kerna = Apni Aulaad Ko Qatl Na Kerna, = Na Kisi Per Bohtaan Baandhna, Aur =
Maroof Mein ALLAH Aur Uskey Rasool (S.A.W.) Ki Nafermani Na Kerna. (Ba-Hawala
Bukhari Shareef),
Jari Hey………………………………..