Hakoomat Hay Yaa Razia

(hukhan, karachi)

Ajh Kal Har Koi Hakoomat E Waqt Par Char Dour Raha Hay Kici Kay Hath Mein Danda Hay Kici Kay Hath Mein Jutta Koi Aaina Liye Pherta Hay Jis Ko Kuch Nahi Hath Ata Wo Go,,,,,,,Go Kaa Nara Hee Maar Kay Dil Ki Agh Ko Kam Kar Laita Hay Hakppmat Bee Becharee Kia Karay Kabi Sach Kabi Jhoot Bol Kay Jasay Ghreeb Maa Bachay Ko Behlaaty Hay Iss Tra Awaam Ko Behlaanay Yaa Yun Keh Lein Kay Behkanay Ki Koshish Karty Hay Magar Naas Pitay Oposition Leader Media Awaam Ko Sab Sach Sach Magar Namak Merch Laga Kay Bata Deta Hay Or Awaam Jaloos Ki Shakal Mein Hakoomat Ko Razia Samajh Kay Uss Kay Pechay Par Jaty Hay Ajh Kal Awaam Ghunday Or Hakoomat Razia Bani Hui Hay Koi Or Paper Aye Na Aye Panama Kaa Paper Aa Jata Hay Saray Hakoomaty Wazra Apna Kaam Shaam Chore Kay Safaiyaan Pesh Karnay Lagh Jatay Hein .Noon League Walay Bee Kia Karein Jabh Election Sar Par Tha Becharay Asmaan Sey Taray Tornay Or Pakistan Kay Har Chotay Baray Shaer Mein Doddh Ki Nehrein Baha Denay Kay Waday Kartay Rahay Ubh Media Wo Tapes Chala Chala Kay Becharee Razia Ki Musibat Laa Raha Hay Wesay Hakoomat Ko Chaiye ,,,Iss Rizaq Sey Mout Achi Jis Se Aty Hu Parwaaz Mein Kotaaahi,,,Par Amal Karein Or Hakomat Ko Chaore Kay Jungal Mein Nikal Jaien Or Sakoon Say Rahay Werna Pakistan Ki Hakoomat Kay Liye Itni Zilat Bardasht Karnay Sey Behtar Hay Jungal Kay Bandron Par Hakomat Kar Lein Bandar Na Adrak Na Bijli Na Pani Na Rozgaar Naa Hi Puranay Waday Yaad Delaein Gay Wesay Bee Hakoomat Walon Nay Itna Kama Lia Hay Har Ek Apni 12 Se 15 Off Shore Company Bana Sakta Hay Ju Un Ki Naslon Ki Haaraam Sey Abiyaari Kartein Rahaein Gi.Khamkha Har Ghareeb In Kay Mehlon Ki Taraf Munh Kar Kay Buduaein Deta Hay Gaaliaan Suntay Hein Inn Sab Say Jaan Choth Jaye Gi.Wesay Bee Bhut Sey Humaray Leader Hazraat Ju Kay Bahut Maal Bana Chukay Hein Unn Ki Politics Bahut Jald Dafan Hunay Wali Hay.,,,Pakistani Unn Ki Politics Ki Qabar Par Ekk Baar Zaror Kahien Gay,,,,,,,,,,Khass Kam Pakistan Paka

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253653 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.