Saffar Shumaal Kay(Episode 108)

(hukhan, karachi)

Samnay Kala Siaah Pahaar Jis Ka Sar Kici Buzargh Kay Balon Ki Trah Barf Say Safied Hu Raha Tha Uss Kay Glacier Say Bahta Hua Thanda Barfeela Pani Paeron Ko Yakhbsta Kar Raha Tha Pakistan Kay North Ki Shaan Ye Azeem Pahaar Seena Tanay Siahun Ko Fakhar Or Ghroor Say Dekh Raha Tha Ju Uss Ki Buland Peak Ko Salaami Denay Aye Huay Thay Dhoop Hunay Kay Bawajoodh Glacier Say Takraa Kay Anay Wali Hawa Asee Thee Ju Kay Karchi Ki Janwary Mein Bee Naseeb Nahi Huty Fazaa Mein Khunki Kay Sath Sath Bheeni Bheeni See Khushbu Bee Sanson Ko Moatar Karty Thee Hum Jis Qadar Rakaposhi Kay Qareeb Jaa Saktay Thay Chaltay Chalay Gaye Magar Qareeb Tar Nazar Anay Wala Paharr Qareeb Janay Par Mazeed Dour Hu Jata Tha 1 Ghantay Ki Paidal Mushaqat Kay Baad Glacier Say Anay Walay Pani Nay Humein Agay Janay Say Rok Dia Hum Qadray Mehfooz See Paharee Chitaan Par Baith Gaye Saans Phooli Hui Thee Pani Bahut Ghusay Mein Tha Baqol Navid Kay Ye Kalim Ki Qurbaani Maangh Raha Hay ,,,Sohail Nay Kalim Ko Eshara Kiya ,,,Kalim Kudh Jaa,,Yar Koi Mera Intezaar Kar Raha Hay Wesay Tum Teenu Fazool Say Hu,,,,,,,,,Try Qun Nahi Kartay ,,Apnay Chand Takon ,Boseeda Say Kapron Ki Fiqar Naa Karo Wo Mein Agh Mein Jala Dun Ga Or Tum Teenu Kay Marnay Ki Khushkhubri Poray Muhalay Kia Poray Shaer Mein De Dun Ga,,,,,,,,Kalim Nay 7 Janamun Ka Badla Lay Lia,,,,,,,,Hum Nay Kalim Ki Taraf Faryadi Nazron Say Dekha...Kalim Bola Khan Sabh Ap Ruk Jao Abhi Aap Ko Bhut Azeem Or Baray Baray Kaam Karnay Hein,,,Hum Nay Seena Phula Kay Navid Or Sohail Ki Taraf Dekha,,,,Acha Yaar Iss Nay Asay Kon Kon Say Kaam Karnay Hein Sohail Say Humaree Ye Azmaty Shaan Bardasht Nahi Hui.Yar Iss Nay Fazool See Koi Book Likhni Hu Gee,,,Bank Ka Loan Wapis Karna Hay ,,,,,Perosan Ko Ubh Tak Nahi Chehraa Uss Ko Ankh Marni Hay Uss Kay Bahion Se Pittna Hay Masters Karna Hay ,Kalim Nay Ptv News Start Kar Dee,,,,Yaar Thand Bar Rahee Hay So Marna Cancil Navid Nay Pent Saaf Karnay Ki Nakaam Koshis Ki,,,,Hum Nay Na Chahtay Huay Bee Rakaposhi Ki Taraf Peeth Kar Kay Uss Ki Shaan Mein Gustaakhi Ki7788m Buland Ye Pahaar Pakistan Ki Shaan Or Qudrat Ka Azeem Tuffa Hay(Jaaree Hay)
 

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1200125 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.