Humaray Eik Dost Ju Khawateen
Say Bahu Hee Naalaan Rehtay Hein Hum Nay Jabh Is Ki Waja E Tasmia Pochee Tu
Unhun Nay Iss Ki Bahut See Wajoohat Bata Dein Jin Mein Sey Ek Waja Bahut Hee
Dilchasbh Thee Kehnay Lagay Hazrat Kay Aurtein Bahut Hee Mutasibh Hutein Hein
Hum Nay Waja Pochi Tu Kehnay Lagay Un Ki Babhi Hein Ju Dosray Shaer Rehtein Hein
Wo Jabh Bhee Bahi Kay Ghar Gaye Or Chacha Or Bachun Or Mamon Bachun Kay Reshtay
Kay Mutaliq Pocha Tu Bachun Nay Kaha Ammi Hamesha Kehty Hein Channda Mamaa Kabhi
Chanda Chacha Nahi Kaha Jabh Kay Hum Un Kay Mamon Say Kahein Zayda Chaand Hunay
Kay Qareeb Hein Magar Humaray Liye Ye Alfaaz O Alqaabh Istemaal Nahi Huay Jis Ki
Waja Say Aurat Ka Apnay Susraalion Sey Ye Ek Mutasibh Rawiya Hay Jis Ki Jitni
Muzamat Ki Jaye Kam Hay.Wesay Ye Itni Zayda Buree Baat Nahi Hay Humaree Iss Baat
Par Dost Sahibh Nay Bahut Ghusay Sey Humein Dekha Yaar Dekhu Ap Ki Behan Apnay
Bachun Say Aap Ko Chanda Mamaa Kahein Gee Yaar Meri Behan Mujh Say 12 Saal
Chotee Hay Jabh Tak Uss Ki Shadi Or Bachay Hun Gay Mein Chaand Saa Serf Apnay
Sar Se Nazar Aon Ga Ju Kay Kici Bulbh Ki Tra Chamak Rahee Hu Gee Mujhay Abhee
Chanda Kahalwana Hay Hum Uss Ki Jazbaaty Batein Sun Kar Khud Bee Afsurdha Say Hu
Gaye Qun Kay Humaray Paas Uss Kay Maslay Kaa Hal Nahi Tha Or Iss Tra Humaree
Khudskhta Daniswari Shadeed Khatray Mein Par Gai Thee Or Hum Itna Bara Nuqsaan
Uthana Nahi Chahtay Thay Hum Baree Mushkil Say Sabh Ko Chai Pila Pila Kay
Hazaroun Kharch Kar Kay Danishwar Banay Thay Hum Nay Usay Kafi Yaqeen Delanay Ki
Koshish Bhee Ki Chand Mein Tu Khud Bahut Say Dagh Hein Wo Kaha Say Khubhsorat
Hua Magar Uss Nay Humein 20 Asay Ganay Suna Diye Jis Mein Chand Ki Tareef Hi
Tareef Thee,,,,Ufff Qun Tray Waday Par Etebaar Kiya Tujhay Kahaaa Chand ,,Chaand
Nay Bhee Etraaz Kia,,,,,,Meri Sabh Apnay Parnay Walon Say Modhbhana Guzarish Hay
Kay Humaree Daniswaree Ko Bachanay Ki Khatir Koi Asa Mashwara Dein Jis Say
Humaray Dost Ko Sakonn Mil Jaye Or Humaree Daniswaree Bhee Qaim Reh Jaye.