Hum Jabh Bahut Chotay Say Thay
Ap Ye Na Samjhiye Ga Kay 1 Ya 2 Inch Kay Hum Hua Kartay Hun Gay Chotay Say
Matlabh Hay Jabh Humein Zara Zara See Hosh Or Samajh Thee Yeni Kay Ajh Say Zayda
Hum Hushiyaar Or Samajhdaar Thay Wesay Tu Bahi Logh Ya Yun Keh Lijiye Ju Hum Say
Zara Qareeb Hein Un Ka Khiyaal Hay Chunkay Hum Paidashi Tour Par Pathan Hein Iss
Liye Zayda Tar Imqaan Ye Hee Hay Kay Humaree Samjhdaree Kay Level Mein Koi Zayda
Farq Na Aya Hu Ga Kher Iss La Hasil Behas Ka Koi Faida Nahi Qun Kay Hum Apni
Marzi Say Pathan Paida Nahi Huay Balkay Koi Bee Apni Marzee Say Paida Nahi Huta
Werna Humein Yaqeen Hay Ye Duniya Sultana Daku Hitler Shekhspier Masulini Kabi
Iss Duniya Mein Nahi Atay .Baat Asal Mein Ye Hay Kay Jabh Say Hum Paida Huay
Hein Ankhun Kay Baray Mein Bahut Kuch Suntay Chalay Ayein Hein Kabi Songs Mein
Poetry Mein Adabh Mein Khas Kar Poets Nay Tu Ankhun Ki Asee Asee Tashreeh Ki Hay
Kay Hum Nay Ankhun Ko Hee Sabh Kuch Samajh Lia Tha Jasay,,Dewani Mastani Jheel
Samandar Kashty Darya Chand Badal Teer Kamaan Kahien Par Ankh Kahein Nishana
Mendak Jeci Ankh Ek Shaier Keh Raha Tha Ap Ki Ankhun Mein Kuch Mehkay Huay Say
Raaz Hein Ubh Hum Pareshaan Thay Kay Kia Sach Hay Kia Hay Jhoot Kia Sahii Hay
Kia Ghalt Kia Haqiqat Kia Fasaana Kia Naghma Kia Taranaa Medical Science Nay Tu
Ankh Ko Parda Putli Janay Kia Kia Cheezun Ka Majmoa Bata Dia Kici Nay Kaha Ankh
Khabh Dekhty Hein Jabh Kay Humara Experiecne Bilkul Alagh Hay Hum Nay Jabh Bee
Khabh Dekha Tu Humaree Ankhein Band Thein Ek Dafa Khuli Ankh Say Khabh Dekhnay
Ki Koshish Ki Tu Accident Hutay Hutay Bacha Poets Nay Tu Ankhun Ko Itni Zayda
Ehmiat Dee Hay Kay Hum Jabh Bee Safar Par Nikalaty Hein Hamesha Dar Rehta Hay
Kay Kahein Jaldi Mein Ankhein Ghar Hi Na Bhool Jaein Pher Pata Chalta Hay Bahi
Ye Fix Hein Bhool Nahi Saktay Ya Asa Bee Huta Hay Kay Dekhu Bahi Ja Tu Rahay Hu
Dekhna Ankhein Chaar Na Karna Hum Jabh Bee Baher Se Wapis Aye Tu Ghor Se Baar
Baar Counting Ki Kay Kahein Ankhein Chaar Tu Naa Hu Gein Kahein Bas Ubh Tak
Shukar Hay Kay 2 Hee Hein 4 Nahi Huein Kai Loghun Ki Ankh Mein Suna Hay Baal Bee
Aa Jata Hay Us Say Bee Bachna Chaiye Qun Kay Jis Kay Baal Kay Baray Mein Kaha
Jata Hay Wo Bara Hi Manhoos Kisam Ka Janwar Hay Ankhein Ki Bhut See Misaalein
Abhi Baqi Hein Ju Hum Pher Kabi Ap Ki Khidmat Mein Arz Karein Gay.