Great China Great Offer

(hukhan, karachi)

Social Meida Mein Ye Khabar Tandoori Aagh Ki Tra Say Pheli Hui Hay Kay China Nay Pakistan Ko Offer Ki Hay Kay Wo Pakistani Gdahay Humein Export Kar Dey Ubh Ball Hakoomat Kay Court Mein Hay Kay Wo Kasay Response Karty Hay Kuch Advisors Kaa Khiyaal Hay Kay Iss Tra Say Hum Ek Behtreen Exporter Ban Saktay Hein Yeni Gadhun Say Jaan Bee Chhoth Jaye Gee Or Pasa Bee Mil Jaye Ga Iss Tra Say Hakoomat Kaa Tejhaarty Khasaraa Bee Kam Hu Jaye Ga Yeni Aam Kay Aam Ghuthlion Kay Daam Ya Yun Keh Lein Kay Hakoomat Kaa Sar Bee Karhaiee Mein Hu Ga Iss Sey Acha Moqa Kia Hu Ga Magar Ek Mushkil Aa Gai Hay Kay China Ki Hakoomat Ko Gadha Quotation Kasay Bana Kay Dee Jaye Or Kici Maher E Gdha(Khootaa Specialist) Ko Bulla Kar Gadhun Ki Iqsaam Kaa Pocha Jaye Kay Konsa Kasa Gadha Kahan Kaa Gadha Ye Sab Kasay Or Qun Kar Likha Jaye Or Konsa Mehangha Hu Or Konsa Gadha Sastaa Hu Ga Ek Sianay Wazeer E Batdabeer Nay Kaha Hay Iss Tra Say Quotation Naa Bnaiye Ga Iss Tra Gadha Sasta Bikay Ga Ubh Suna Hay Pori Hakkoomaty Machinery Nay Kai Din Tak Sar Jor Kay Baithnay Kay Baad Ye Faisla Kia Hay Kay Gadhay Zayda Say Zayda Damun Farokhat Karnay Ubh Hakoomat Nay Ye Tay Kar Lia Hay Kay Gadhun Ko Siassi Gher Siaasi Sarkaree Gher Sarkaree Gadha Bana Kay China Ko Export Kiye Jaein Gay Hum Hakoomaty Faislay Say Sad Feesad Etifaaq Kartay Hein Iss Tra Say Hum Bhaut Say Nikamay Gadhun Say Nijaat Hasil Kar Paien Gay Magar Humara Khiyaal Hay Kay Gher Siaaasi Or Gher Sarkaree Gadhun Kay Achay Daam Mill Jaien Gay Or Minister Ya Bearuecratic Type Gadhay Ko China Walay Zayda Pasand Nahi Karein Gay Ye Humaree Zaaty Raye Hay Iss Ka Hakomaty Raye Say Koi Laina Dena Nahi Barhaal Hum Ek Baat Soch Rahay Hein Kay Agar Saray Gadhay Hee Export Hu Gaye Tu Sarkaar Or Sarkaaree Umoor Kasay Chalaein Gay Hakoomat Ko Darkaar Gadhay Hath Say Nahi Chornay Chaiye Issi Liye Soch Samajh Kay Gadhay Export Karnay Chaiye,,, Qun Kay Har Gadha Bilkul Hee Gadha Nahi Huta,,,,,Wo Tu Piaar Say Logh Kehtay Hein Kay Dekhu Wo Aa Gia Khottaaa

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1255126 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.