Ye Rewayat Ubh Sadion Puraani
Huty Jaa Rahee Hay Jis Par Jis Qadar Naaz Kiya Jaye Maaf Kijiya Jis Par Jitna
Matam Kiya Jaye Kam Hay Kay Har Kici Maa Behan Ko Channd See Bahu Or Bahbhi Hee
Chaiye Taqay Unn Ki Nai Nasal Qadray Qabool Sorat Hu Har Jagah Beyshaq Unn Ki
Aqqal Par Matam Kiya Jaye Magar Unn Ki Khubsoraty Kay Chaar Soo Charchay Hun
Ghar Mein Beshak Uss Chaand Ki Waja Say Maidaaan E Jangh Bana Rahay Bartan
Bajhtay Rahaein Parosi Toubah Tobah Karttay Rahaein Kai Ek Dafa Humein Bee
Humaree Neem Danishwaree Ki Waja Say Asee Mehfil Mein Baithna Par Gia Hum Larki
Walon Ki Taraf Say Thay Qun Kay Koi Larkay Walay Humein Zayda Munh Nahi Lagatay
Qun Kay Humaree Waja Say Un Kay Larkay Ki Value Down Hu Jaty Hay Kher Miti
Daliye Mujh Par Haan Tu Baat Hu Rahee Thee Larkay Ki Maa Yeni Larki Ki Hunay
Wali Museebat Maaf Kijiye Ga Saas Ki Wo Apnay Hunay Wali Bahu Ki Khubsoraty Kay
Asay Asay Qaseeday Parnay Laghi Misaal Kay Tour Par Rangh Asa Hu Naak Wesi Hu
Baal Itnay Lambhay Hun Qadh Asa Hu Hath Asay Unghliaan Wesee Hun,, Ubh Ju Hum
Nay Tasuwar Mein Jaa Kar Unn Ki Bahu Ki Picture Banaiee Tu Kam Say Kam 12 Miss
Worlds Or 6 Miss Universe Koi 34 Kay Qareeb Miss Usa Ko Mila Kar Un Ki Ek Bahu
Ban Paty Hum Nay Bahut Hee Adab Say Arz Kia Mustaqbil Ki Saas Sahiba Asa Naa Hu
Kay Itni Piari Larki Kay Baad Aap Kay Baitay Kay Sath Hoor Or Langhoor Wala
Mamla Na Hu Jaye Saas Sahiba Subah Kay Murghay Wali Zoor Daar Azaan Jeci Awaaz
Mein Kaha ,Kia Matlab Ap Ka,,,,,,,Humaray Pairun Talay Say Qaleen Khisak Gia Hum
Jaldee Say Bolay ,,Humara Matlab Hay Kay Aap Kaa Larka Hoora Laghay Or Larki
Baycharri Langhoora Lagay,,,,,Bas Thoree See Garamar Mistake Nay Saas Sahiba Ko
Samjhnay Naa Diya Wo Bolien Shakal Say Aap Laghtay Nahi Aqalmand Magar Pher Bee
Aap Ki Baat Mein Wazan Hay Magar Mera Baita Hoora Tu Nahi Kher Magar Chaand Say
Kia Kam Hu Ga Magar Aghlay Hee Lamhay Humaree Ghalt Fehmi Yun Dour Kar
Dee,,,,,14 Salaa Larki Ki Tra Shaarmaaty Huein Boli Yun Samajh Lijiye Kay
Humaree True Copy Hay,,,,Humaray Kaanu Say Dhuwaan Saaa Nikalnay Laga Humara
Khulla Hua Munh Dekh Kar Bolien ,,Aap Ko Laghta Hay Yaqeen Nahi Aa Raha ,,,Hum
Foran Bolay Jee Bilkul,,,,,,,Larki Walay Bee Humein Ghusay Se Ghoornay Lagay Hum
Nay Socha Hamesha Ki Tra Hum Nay Kaam Khurabh Kar Dia ,,,,Magar Humaray
Danishwar Deemagh Nay Foran Situation Ko Sambhaal Lia ,,,Humara Matlab Hay Sach
Kahiye Hum Tu Aap Ko Larkay Ki Choty Behan Ya Pher Kanwaraa Hee Samajh Rahay
Thay Bas Iss Kay Baad Tu Saas (ALLAH Na Karay) Asay Sharmaein Kay Humein Sharam
Par Sharam Anay Laghi Hum Nay Pher Bee Larki Ki Qurbaani Ko Tyaar Thay Kay Kam
Say Kam 1 Rishat Tu Humaray Account Mein Huna Chaiye Hum Bolay Aap Apnay Chaand
Ki Tasveer Hee Dekha Dijye Jabh Tasveer Humaray Hath Ayee Tu Ek Ajjeeb O Ghreeb
Makhlooq Ju Kay Sar See Pori Ganjhi Thee Humein Asay Ghoor Rahee Thee Jasay
Qasaiee Baqray Ko Ghoorta Hay Hum Nay Dartay Dartay Poch Hee Lia Iss Kay Sar Par
Tu Ek Bee Baal Nahi Yeni Faarigh Ul Baal ,Saaas Jhat Bolien Isi Liye Hum Sabh
Kaa Chand Hay Ye,,,,,,,,,,,,Kon Kehta Hay Mera Baitaa Ganjha Hay Kabi Chand Kay
Sar Par Bee Baal Huay Hein