Order Order Order ,,,,Ye Wo
Alfaaz Hein Jin Ki Pori Duniya Mein Dehshat Hay Magar Ye Alfaaz Koi Villain Nahi
Balkay Hero Kay Hutay Hein Ajh Kal Panama Leakes Ka Bahut Charchaa Hay Kici Nai
Naveli Chamakty Damakty Filmi Heroine Ki Tra Panama Leakes Kici Miss Panama Ki
Tra Zuban Zad E Aam Huty Jaa Rahee Hay Panama Nay Apna Safar Panama Say Shuro
Kia Pher Ye Pakistan Kay Ounchay Tareen Aiwaanu Say Hutay Huay Mahalon Tak Gaye
Pher Panama Pakistani Sarakun Par Aa Gai Magar Ubh Ye Order Order Order Yeni
Pakistan Ki Supreme Court Kay Paas Pohanch Chuki Hay Baray Baray Leader Un Kay
Chamchay Darbaari Siassi Lotay Kisam Kay Leader Baray Baray Wakeel Ju Har Taraf
Shor Sharabay Mein Apni Misaal Aap Hutay Hein Daroga E Insaaf Ki Order Order Par
Un Ko Asay Sanp Songh Jata Hay Jasay Un Kay Munh Mein Zubaan Naam Ki Koi Chese
Paiee Hee Nahi Jaty Wahan Serf Qanoon Or Uss Ki Clause Boltein Hein Jis Ki Soch
Jis Ka Ilam Jis Ki Command Qanoon Ki Baareeq Beeniuon Par Zayda Huty Hay Wo
Kalay Coat Mein Bee Apna Munh Kala Hunay Say Bacha Laita Hay Werna ,,,,Logh
Mujhay Shaitaan Samajhatay Hein Jabh Kay Mein Tu Bas Haraa Hua Ek Insaan Hun
Wala Mamla Huta Hay.Hum Qanoon Par Koi Aboor Ya Iss Kay Mutaliq Zayda Nahi
Jantay Bas Hum Qanoon Kay Baray Mein Iss Qadar Hi Jantay Hein Jitna Primary
School Ka Teacher Ilm Kay Baray Mein Janta Hay Ya Jasay Koi Wazeer E Khazana
Jitna Loot Maar Kay Baray Mein Kam Say Kam Ilm Ya Knowledge Rakhta Hay Ya Yun
Keh Lein Qanoon Kay Baray Mein Bas Itna Hee Jantay Hein Jitna Hum Trafic Signal
Tor Kay Kaka Sipahee Kay Liye 100 Ka Note Tayar Rakhtay Hein Jis Din 100 Rupay
Pas Naa Hun Tu Hum Trafic Qawaneen Ki Itni Hee Pasdari Kartay Jasay Hum Sa Koi
Danishwar Kar Sakta Hay.Pakistan Ka Future Or Sath Mein Corruption Ka Future Ubh
Aalla Tareen Adliya Kay Paas Hay Jisay Har Sacha Pakistani Piaar Karta Hay Jis
Par Humein Naaz Hay Humara Kal Ajh Kay Faislay Say Hee Mehfooz Aur Roshan Hu
Paye Ga Yeni Humaray Kal Mein Ajh Kay Faislay Bolein Gay.Qun Kay Iss Mein Koi
Shaq Nahi Jis Mulk Mein Courts Kaam Kar Rahee Hun Insaaf Hu Raha Hu Uss Ko Agay
Bahrnay Say Koi Rok Nahi Sakta Pher Hum Tu Uss Umat Kay Logh Hein Jis Mein
Insaaf Kay Taqaazun Ko Pora Karnay Kay Liye Khalifa E Waqt Kay Khilaf Ek Yuhudhi
Kay Haq Mein Faisla De Dia Gia Tha Or Wo Serf Insaaf Kay Faislay Say Hee Emaan
Lay Aya Tha Emaan Humaree Zindeghi Ka Lazmi Juz Hay Iss Liye Humray Faislon Mein
Emaan Or Emaaandaari Lazim O Mulzoom Hain.